Wednesday, 4 May 2016

22-Soorah-e-al-Hajj-Aayaat-78




Soorah-E-Al-Hajj

Aayaat 76

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat  Rehem Farmane Wala Hai.

1
Lougo! Apne Parwardigaar Se Daro. Keh Qiamat Ka Zalzala Aik Haadsa-E-Azeem Hai.

2
Ae Mukhatib Jis Din Tu Us Ko Daikhe Ga Us Din Ye Haal Hoga Ke Tamaam Doodh Pilane Wali Aurtain Apne Bachoun Ko Bhool Jaye Gi .Aur Tamaam Hamal(Pragnent) Waliyoun Ke Hamal Girr Parainge. Aur Loug Tujh Ko Matwaale Nazar Aayenge Magar Wo Matwaale Nahi Hounge, Balke Azaab Daikh Kar Madhosh Ho Rahe Hounge. Be Shak Khuda Ka Azaab Bara Sakht Hai.

3
Aur Baaz Loug Aise Hain Joh Khuda Ki Shaan Main Ilm-O-Danish Ke Bagair Jhagarte Aur Har Shaitaan Sarkash Ki Pairwi Karte Hain.

4
Jis Ke Bare Main Likh Dia Gaya Hai, Ke Jo Usse Dost Rakhe Ga Toh Wo Usse Gumraah Kar De Ga Aur Dozakh Ke Azaab Ka Rasta Dikhaye Ga.

5
Lougo!  Agar Tumko Marne Ke Baad Ji Uthne Main Kuch Shak Ho Toh Ham Ne Tum Ko Pehli Baar Bhi Toh Paida Kia Tha Yaani Ibtidaa Main Matti Se, Phir Us Se Nutfa Bana Kar. Phir Us Se Khoon Ka Lothra Bana Kar. Phir Us Se Boti Bana Kar Jis Ki Banawat Kaamil Bhi Hoti Hai Aur Naqis Bhi, Taa-Ake Tum Par Apni Khaailqiyat Zaahir Kar Dain. Aur Ham Jis Ko Chahte Hain Aik Mayaad-E-Muqarrar Tak Pait Main Thehraye Rakhte Hain, Phir Tum Ko Bacha Bana Kar Nikaalte Hain. Phir Tum Jawani Ko Pohonchte Ho. Aur Baaz Qabal  Az Pairi Mar Jate Hain Aur Baaz Sheikh Faani Ho Jate Aur Burahape Ki Nihayat Kharaab Umar Ki Taraf Loutaye Jate Hain, Ke Bohot Kuch Jaan-Ne Ke Baad Bilkul Be Ilm Ho Jate Hain. Aur Ae Daikhne Wale Tu Daikhta Hai Ke Aik Waqt Main Zameen Khushk Pari Hoti Hai Phir Jab Ham Us Par Meenh Barsate Hain Toh Shadaab Ho Jati Aur Ubharne Lagti Hai Aur Tarha Tarha Ki Ba Ronaq Cheezain Ugaati Hai.

6
In Qudrattoun Se Zahir Hai Ke Khuda Hi Qaadir Mutliq Hai Joh Bar Haq Hai Aur Ye Ke Wo Murdoun Ko Zinda Kar Deta Hai. Aur Ye Ke Wo Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai.

7
Aur Ye Ke Qiamat Aane Wali Hai. Is Main Kuch Shak Nahi. Aur Ye Ke Khuda Sab Lougon Ko Joh Qabroun Main Hain Jila Uthaye Ga.

8
Aur Lougon Main Koi Aisa Bhi Hai,  Jo Khuda Ki Shaan Main Bagair Ilm-O-Danish Ke Aur Bagair Hidayat Ke Aur Bagair Kitaab-E-Roshan Ke Jhagarta Hai.

9
Aur Takkaburr Se Garden Mour Leta Ha,i Taa-Ake Lougo Ko Khuda Ke Raste Se Gumrah Kar De. Us Ke Liye Dunia Main Zillat Hai. Aur Qiamat De Din Ham Usse Azaab-E-Aatish Soozaan Ka Mazah Chakhayen Ge.

10
Ae Sarkash Ye Us Kufur Ki Saza Hai Joh Tere Hathoun Ne Aage Bhaija Hai Aur Khuda Apne Bandoun Par Zulm Karne Wala Nahi.

11
Aur Lougon Main Baaz Aisa Bhi Hain Joh Kinare Par Khara Ho Kar Khuda Ki Ibaadat Karta Hai. Agar Us Ko Koi Dunyawi Faaida Pohonche Toh Us Ke Sabab Muttmain Ho Jaye  Aur Agar Koi Aafat Pare Toh Moonh Ke Bal Lout Jaaye Yaani Phir Kafir Ho JayeUs Ne Dunia Main Bhi Nauqsan Uthaya Ur Aakhrat Main Bhi. Ye Hi Toh Nuqsaan Sareeh Hai.

12
Ye Khuda Ke Siwa Aisi Cheez Ko Pukaarta Hai Joh Na Usse Nuqsaan Pohonchaye Aur Na Faida De Sake.Ye Hi Toh Parle Darje Ki Gumrahi Hai.

13
Balke Aise Shakhs Ko Pukaarta Hai Jis Ka Nuqsaan Faaide Se Ziada Qareeb Hai. Aisa Dost Bhi Bura Aur Aisa Ham Sohbat Bhi Bura.

14
Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Khuda Un Ko Behshatoun Main Dakhil Kare Ga,  Jin Ke Neeche Nehrain Chal Raheen Hain. Kuch Shak Nahi Ke Khuda Joh Chahta Hai Karta Hai.

15
Joh Shakhs Ye Gumaan Karta Ho Ke Khuda Us Ko Dunia Aur Aakhrat Main Madad Nahi De Ga Toh Us Ko Chahiye Ke Oopar Ki Taraf Yaani Apne Ghar Ki Chat Main Aik Rassi Baandhe Phir Us Se Apna Gala Ghount Le. Phir Daikhe Ke Aaya Ye Tadbeer Is Ke Ghusse Ko Door Kar Deti Hai.

16
Aur Issi Tarha Ham Ne Is Quraan Ko Utara Hai Jis Ki Tamaam Batain Khuli Hui Hain Aur Ye Yaad Rakho Ke Khdua Jis Ko Chahata Hai Hidyat Deta Hai.

17
Joh Loug Momin Yaani Musalmaan Hain Aur Joh Yahoodi Hain Aur Sitaara Parast Aur Eesaaye Aur Majhoosi Aur Mushrik . Khuda Un Sab Ko Qiamat Ke Din Faisla Kar De Ga. Be Shak Khuda Har Cheez Se Bakhabar Hai.

18
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Joh Makhlooq Aasmaanoun Main Hai Aur Joh Zameen Main Hai Aur Sooraj Aur Chaand Aur Sitare Aur Pahaar Aur Darakht Aur Chaar Paye Aur Bohot Se Insaan Khuda Ko Sajda Karte Hain, Aur Bohot Se Aise Hain Jin Par Azaab Saabit Ho Chukka Hai. Aur Jis Shakhs Ko Khdua Zaleel Kare Us Ko Koi Izzat Dene Wala Nahi. Be Shak Khuda Jo Chahta Hai Karta Hai.

19
Ye Do Fareeq Aik Doosre Ke Dushamn Apne Parwardigar Ke Bare Main Jhagarte Hain. Toh Joh Kaafir Hain Un Ke Liye Aag Ke Kapre Qataa Kiye Jaaye Ge Aur Un Ke Sirroun Par Jalta Hua Paani Dala Jaye Ga.

20
Us Se Un Ke Pait Ke Andar Ki Cheezain Aur Khaalain Gall Jaye Gi.

21
Aur Un Ke Maarne Thokne Ke Liye Lohe Ke Hathoure Hounge.

22
Jab Wo Chahain Ge Ke Us Ranj-O-Takleef Ki Waja Se Dozakh Se Nikal Jaaye Toh Phir Issi Main Louta Diye Jaye Ge. Aur Kaha Jaye Ga Ke Jalne Ke Azaab Ka Mzaah Chakhte Raho.

23
Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Khuda Unko Behshatoun Main Daakhil Kare Ga, Jin Ke Tale(Under) Nehrain Beh Rahi Hain, Wahan Un Ko Sone Ke Kangan Pehnaye Jaaye Ge Aur Moti. Aur Wahan Un Ka Libaas Raishmi Hoga.

24
Aur Un Ko Paakeeza Kalaam Ki Hidayat Ki Gai Aur Khudaa-E-Hameed Ki Raah Batayee Gai.

25
Joh Loug Kaafir Hain Aur Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Aur Masjid-E-Mohtaram Se, Jisse Ham Ne Lougon Ke Liye Yaksaan Ibadat Gaah Banaya Hai , Rokte Hain. Khuah Wo Wahan Ke Rehne Wale Houn Ya Bahar Se Aane Wale. Aur Joh Us Main Shararat Se Kujj Rawi-O-Kufur Karna Chahe Us Ko Ham Dard Dene Wale Azaab Ka Mazaah Chakhaye Ge.

26
Aur Aik Waqt Tha Jab Ham Ne Ibraahim Ke Liye Khaana Kaaba Ko Maqaam Muqarrar Kia,  Aur Irshaad Farmaya Ke Mere Sath Kisi Cheez Ko Shareek Na Kijiyo Aur Tawaaf Karne Waloun Aur Qiaam Karne Waloun Aur Rukoo Karne Waloun Aur Sajda Karne Waloun Ke Liye Mere Ghar Ko Saaf Rahka Karo.

27
Aur Lougon Main Hajj Ke Liye Nida Kar Do, Ke Tumhari Taraf Paidal Aur Duble Duble Oontoun Par Joh Door Daraz Rastoun Se Chale Aate Houn Sawar Ho Kar Chale Aayen.

28
Taa-Ake Apne Faaide Ke Kaamoun Ke Liye Haazir Houn. Aur Qurbaani Ke Ayaam  Maloom Main Chahar Paayaan Mawaishi Ke Zibbah Ke Waqt Joh Khuda Ne Un Ko Diye Hain Un Par Khuda Ka Naam Lain. Us Main Se Tum Khud Bhi Khao Aur Faqeer Darmaanda Ko Bhi Khilaao.

29
Phir Chahiye Ke Loug Apna Mail Kuchail Door Karain Aur Nazrain Poori Karain Aur Khaana-E-Qadeem Yaani Bait-Ullah Ka Tawaaf Karain.

30
Ye Hamara Hukum Hai Aur Joh Shakhs Adab Ki Cheezoun Ki Joh Khuda Ne Muqarrar Ki Hain Azmat Rakhe Toh Ye Parwardigaar Ke Nazdeek Us Ke Haq Main Behtar Hai. Aur Tumhare Liye Mawaishi Halaal Kar Diye Gaye Hain. Siwa Un Ke Joh Tumhain Parh Kar Sunaye Jate Hain Toh Buttoun Ko Paleedi Se Bachao Aur Jhooti Baat Se Ijtinaab Karo.

31
Sirf Aik Khuda Ke Ho Kar Aur Us Ke Sath Shareek Na Thehra Kar. Aur Joh Shakhs Kisi Ko Khuda Ke Sath Shareek Muqarrar Kare Toh Wo Goya Aisa Hai Jaise Aasmaan Se Girr Pare,  Phir Us Ko Parinde Uchak Le Jaayen Ya Hawa Kisi Door Jaga Ura Kar Phaink De.

32
Ye Hamara Hukum Hai Aur Joh Shakhs Adab Ki Cheezoun  Ki Joh Khuda Ne Muqarrar Ki Hain Azmat Rakhe Toh Ye Fail Diloun Ki Parhaizgaar Main Se Hai.

33
In Main Aik Waqt-E-Muqqarrar Tak Tumhare Liye Faaide Hain Phir In Ko Khaana-E-Qadeem Yaani Bait-Ullah Tak Pohonchana Aur Zibah Hona Hai.

34
Aur Ham Ne Har Aik Ummat Ke Liye Qurbaani Ka Tareeq Muqarrar Kar Dia Hai, Taa-Ake Joh Mawaishi Chaar Paaye Khuda Ne Un Ko Diye Hain Un Ke Zibbah Karne Ke Waqt Un Par Khuda Ka Naam Lain. So Tumhara Maabood Aik Hi Hai, Toh Ussi Ke Farmabardar Ho Jaao. Aur Aajzi Karne Waloun Ko Khushkhabri Suna Do.

35
Ye Wo Loug Hain Ke Jab Khuda Ka Naam Liya Jata Hai Toh Un Ke Dil Dar Jate Hain Aur Jab Un Par Museebat Parti Hai Toh Sabar Karte Hain, Aur Namaz Aadaab Se Parhte Hain Aur Joh Maal Ham Ne Un Ko Ata Farmaya Hai Is Main Se Naik Kaamoun Main Kharch Karte Hain.

36
Aur Qurbaani Ke Oontoun Ko Bhi Ham Ne Tumhare Liye Shoaair-E- Khuda Muqarrar Kia Hai. In Main Tumahre Liye Faaide Hain. Toh Qurabani Karne Ke Waqt Qattaar Bana Kar Un Par Khuda Ka Naam
Lo Jab Pehlo Ke Bal Girr Parain Toh In Main Se Khaao Aur Qannaat Se Baith Rehne Waloun Aur Sawaal Karne Waloun Ko Bhi Khilaao. Is Tarha Ham Ne In Ko Tumhare Zair-E-Farmaan Kar Dia Hai Taa-Ake Tum Shukar Karo.

37
Khuda Tak Na Un Ka Gosht Pohonchta Hai Aur Na Khoon. Balke Us Tak Tumhari Parhaazgaari Pohonchti Hai . Issi Tarha Khdua Ne In Ko Tumhara Maskhar Kar Dia Hai Taa-Ake Is Baat Ke Badle Ke Us Ne Tum Ko Hidayat Bakhsi Hai Usse Buzurgi Se Yaad Karo. Aur Ae Paigambar S.A.W. Naiko Kaaroun Ko Khush Khabri Suna Do.

38
Khuda Toh Mominoun Se Un Ke Dushmanoun Ko Hatata Rehta Hai. Be Shak Khuda Kisi Khaynat Karne Wale Aur Kufraan-E-Naimat Karne Wale Ko Dost Nahi Rakhta.

39
Jin Musalmanoun Se Khuwah Makhuah Larai Ki Jaati Hai In Ko Ijazat Hai Ke Wo Bhi Larain. Kion Ke Un Par Zulm Ho Raha Hai. Aur Khuda Un Ki Madad Kare Ga Wo Yaqeenan Un Ki Madad Par Qaadir Hai.

40
Ye Wo Loug Hain Ke Apne Gharoun Se Nahaq Nikaal Diye Gaye, Inhoun Ne Kuch Qasoor Nahi Kia . Haan Ye Kehte Hain Ke Hamara Parwradigaar Khuda Hai. Aur Agar Khuda Lougon Ko Aik Doosre Se Na Hatata Rehta Toh Raahaboun Ke Soomaae Aur Eesaaiyoun Ke Girrje Aur Yahoodiyoun Ke Ibaadat Khane Aur Musalmaanoun Ki Masjidain Jin Mian Khuda Ka Bohot Sa Zikar Kia Jata Hai Giraai Ja Chuki Hoteen. Aur Joh Shakhs Khuda Ki Madad Kartra Hai Khuda Us Ki Zaroor Madad Karta Hai. Be Shak Khuda Tawana Aur Gaalib Hai.

41
Ye Wo Loug Hain Ke, Agar Ham In Ko Mulk Main Dasatars Dain Toh Namaz Parhain Aur Zakaat Ada Karain Aur Naik Kaam Karne Ka Hukum Dain Aur Bure Kaamoun Se Mana Karain Aur Sab Kaamoun Ka Anjaam Khuda Hi Ke Ikhtiyaar Main Hai.

42
 Agar Ye Loug Tumko Jhutlaate Hain Toh In Se Pehle Nooh Ki Qoum Aur Aad-O-Samood Bhi Apne Paigambaroun Ko Jhutla Chuke Hain.

43
Aur Qoum-E-Ibrahim Aur Qoum-E-Loot Bhi.

44
Aur Madeen Ke Rehne Wale Bhi. Aur Moosa Bhi Toh Jhutlaaye Ja Chuke Hain, Lekin Main Kaafiroun Ko Mohlat Deta Raha Phir Unko Pakar Liya. Toh Daikh Lo Ke Mera Azab Kaisa Sakht Tha.

45
Aur Bohot Se Bastiyan Hain Ke Ham Ne Unko Tabbah Kar Daala, Ke Wo Nafarmaan Theen. So Wo Apni  Chatoun Par Giri Pari Hain. Aur Bohot Se Koowain Be Kaar Aur Bohot Se Mehel Weeraan Pare Hain.

46
Kia Un Lougon Ne Mulk Main Sair Nahi Ki, Taa-Ake Unke Dil Aise Hote Ke Un Se Samajh Sakte. Aur Kaan Aise Hote Ke Unse Sunn Sakte. Baat Ye Hai Ke Aankahin Andhi Nahi Hoteen Balke Dil Joh Seenoun Main Hain Wo Andhe Hote Hain.

47
Aur Ye Loug Tum Se Azaab Ke Liye Jaldi Kar Rahe Hain Aur Khuda Apna Waada Har Gizz Khilaaf Nahi Kare Ga. Aur Be Shak Tumhare Parwardigaar Ke Nazdeek Aik Roz Tumhare Hisab Ke Roo Se Hazaar Baras Ke Barabar Hai.

48
Aur Bohot Si Bastiyan Hain, Ke Main Un Ko Mohlat Deta Raha Aur Wo Nafarmaan Theen .Phir Main Ne Un Ko Pakar Liya.Aur Meri Hi Taraf Lout Kar Aana Hai.

49
Ae Paigambar S.A.W. Keh Do Ke Lougo!  Main Tumko Khullam Khulla Naseehat Karne Wala Hoon.

50
Toh Joh Loug Eemaan Laye Aur Kaam Naik Kiye Un Ke Liye Bakhshish Aur Aabru Ki Rozi Hai.

51
Aur Jin Lougon Ne Hamari Aayaton Main Apne Zoum-E-Baatil Main Hamain Aajiz Karne Ke Liye Saee Ki , Wo Ehl-E-Dozakh Hain.

52
Aur Ham Ne Tum Se Phele Koi Rasool Aur Nabi Nahi Bhaija, Magar Us Ka Ye Haal Tha Ke Jab Wo Koi Aarzoo Karta Tha Toh Shaitaan Us Ki Aarzoo Main Waswaa Daal Deta Tha. Toh Joh Waswasa Shaitaan Daalta Hai Khuda Us Ko Door Kar Deta Hai. Phir Khuda Apni Aayatoun Ko Mazboot Kar Deta Hai Aur Khdua Ilm Wala Aur Hikmat Wala Hai.

53
Gharz Us Se Ye Hai Ke Joh Waswasa Shaitaan Daalta Hai Us Ko, Un Lougon Ke Liye Jin Ke Diloun Main Bimari Hai Aur Jin Ke Dil Sakht Hain Zaryia-E-Aazmaaish Thehraye. Be Shak Zalim Parle Darje Ke Mukhalifat Main Hain.

54
Aur Ye Bhi Garz Hai Ke Jin Lougon Ko Ilm Ata Hua Hai, Wo Jaan Lain Ke, Wo Yaani Wahi Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Haq Hai Toh Wo Is Par Eeman Laayen Aur In Ke Dil Khuda Ke Aage Aajzi Karain . Aur Joh Loug Eemaan Laye Hain Khuda Unko Seedhe Raste Ki Taraf Hidayat Karta Hai.

55
Aur Kafir Loug Hamesha Is Se Shak Main Rahainge, Yahan Tak Ke Qiamat Un Par Na Gahaan Aa Jaye ,Ya Aik Na Mubaraik Din Ka Azaab Un Par Aa Waqe Ho.

56
Us Roz Baadshahi Khuda Hi Ki Hogi. Aur Wo Un Main Faisala Kar De Ga, Toh Joh Loug Eemaan Laaye Aur Amaal-E-Naik Karte Rahe Wo Naimat Ke Baagoun Main Hounge.

57
Aur Joh Kafir Hue Aur Hamari Aayatoun Ko Jhutlaate Rahe, Un Ke Liye Zaleel Karne Wala Azaab Hoga.

58
Aur Jin Lougon Ne Khuda Ki Raah Main Hijrat Ki, Phir Maare Gaye, Ya Mar Gaye. Un Ko Khuda Achi Roze De Ga. Aur Be Shak Khuda Sab Se Behtar Rizq Dene Wala Hai.

59
Wo Un Ko Aise Maqaam Main Daakhil Kare Ga Jisse Wo Pasand Karainge. Aur Khuda Toh Jaan-Ne Wala Aur Burdbaar Hai.

60
Ye Bat Khuda Ke Haan Theher Chuki Hai Aur Joh Shakhs Kisi Ko Utni Hi Eeza De Jitni Eeza Usko Di Gai, Phir Us Shakahs Par Ziadti Ki Jaye Toh Khuda Us Ki Madad Kare Ga. Be Shak Khuda Moaaf Karne Wala Aur Bakhashne Wala Hai.

61
Ye Is Liye Ke Khuda Raat Ko Dinn Main Daakhil Karta Hai Aur  Din Ko Raat Main Daakhil Karta Hai. Aur Khuda Toh Sunn-Ne Wala Daikhne Wala Hai.

62
Ye Is Liye Ke Khuda Hi Bar Haq Hai Aur Jis Cheez ko Kafir Khuda Ke Siwa Pukaarte Hain Wo Baatil Hai,  Aur Is Liye Ke Khuda Rafeeq-Ush-Shaan Aur Bara Hai.

63
Kia Tum Nahi Daikhte Ke Khuda Aasmaan Se Meenh Barsata Hai, Toh Zameen  Sar Sabz Ho Jati Hai. Be Shak Khuda Meherbaan Aur Khabardaar Hai.

64
Joh Kuch Aasmanoun Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Ussi Ka Hai. Aur Be Shak Khuda Be Niyaaz Aur Qaabil-E-Sattaaish Hai.

65
Kia Tum Nahi Daikhte Ke Jitni Cheezain Zameen Main Hain, Sab Khuda Ne Tumhare Zer-E-Farmaan Kar Rakhi Hain Aur Kashtiyan Bhi Joh Ussi Ke Hukum Se Darya Main Chalti Hain. Aur Wo Aasmaan Ko Thaame Rehta Hai, Ke Zameen Par Na Girr Pare, Magar Us Ke Hukum Se . Be Shak Khudua Lougon Par Nihayat Shafqat Karne Wala Meherbaan Hai.

66
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Tumko Hayaat Bakhshi . Phir Tum Ko Maarta Hai. Phir Tumhain Zinda Bhi Kare Ga. Aur Insan Toh Bara Nashukra Hai.

67
Ham Ne Har Aik Ummat Ke Liye Aik Shareeat Muqarrar Kar Di Hai, Jis Par Wo Chalte Hain, Toh Ye Loug Tum Se Is Amar Main Jhagra Na Karain, Aur Tum Lougon Ko Apne Parwardigaar Ki Taraf Bulate Raho. Be Shak Tum Seedhe Raste Par Ho.

68
Aur Agar Ye Tum Se Jhagra Karain Toh Keh Do Ke Joh Amal Tum Karte Ho, Khuda Un Se Khoob Waqif Hai.

69
Jin Batoun Main Tum Ikhtilaaf Karte Ho Khuda Tum Main Qiamat Ke Roz Un Ka Faisla Kar De Ga.

70
Kia Tum Nahi Jante Ke Joh Kuch Aasmaan Aur Zameen Main Hai Khuda Us Ko Janata Hai. Ye Sab Kuch Kitaab Main Likha Hua Hai. Be Shak Ye Sab Khuda Ko Aasaan Hai.
71
Aur Ye Loug Khuda Ke Siwa Aisi Cheezoun Ki Ibadat Karte Hain Jin Ki Us Ne Koi Sanad Nazil Nahi Farmayee, Aur Na In Ke Paas Is Ki Koi Daleel Hai. Aur Zaalimoun Ka Koi Bhi Madadgaar Nahi Hoga.

72
Aur Jab Un Ko Hamari Aaytain Parh Kar Sunai Jati Hain Toh Un Ki Shakal Bigar Jati Hai,  Aur Tum In Ke Chehroun Main Saaf Tour Par Na Khushi Ke Aasaar Daikhte Ho. Qareeb Hote Hain Ke Joh Loug In Ko Hamari Aayatain Parh Kar Sunate Hain Un Par Hamla Kar Dain. Keh Do Ke Main Tum Ko Is Se Bhi Buri Cheez Bataoon?  Wo Dozakh Ki Aag Hai. Jis Ka Khuda Ne Kaafiroun Se Waada Kia Hai. Aur Wo Bura Thikana Hai.

73
Lougo!  Aik Misaal Bayan Ki Jati Hai Usse Gour Se Suno. Ke Jin Lougon Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukaarte Ho Wo Aik Makhi Bhi Nahi Bana Sakte , Agarcha Us Ke Liye Sab Majtamaa Ho Jaye . Aur Agar Un Se Makkhi Koi Cheez Le Jaye Toh Usse Us Se Chura Nahi Sakte. Taalib Aur Matlob Yaani Aabid Aur Maabood Dono Gaye Guzre Hain.

74
In Lougon Ne Khuda Ki Qadar Jiasii Karni Chahiye Thi Nahi Ki., Kuch Shak Nahi Ke Khuda Zabardast Aur Ghaalib Hai.

75
Khuda Farishtoun Main Se Paigaam Pohonchane Wale Muntakhib Kar Leta Hai,  Aur Insaanoun Main Se Bhi . Be Shak Khuda Sun-Ne Wala Aur Daikhne Wala Hai.

76
Joh Un Ke Aage Hai Aur Joh Un Ke Peeche Hai Wo Us Se Waqif Hai. Aur Sab Kaamoun Ka Rujoo Khuda Hi Ki Taraf Hai.

77
Momino!  Rukoo karte Aur Sajde Karte Aur Apne Parwardigar Ki Ibadat Karte Raho Aur Naik Kaam Karo Taa-Ake Falah Paao.

78
Aur Khuda Ki Raah Main Jahaad Karo Jaisa Jahad Karne Ka Haq Hai. Us Ne Tumko Barguzeeda Kia Hai Aur Tum Par Deen Ki Kisi Baat Main Tangi Nahi Ki. Aur Tumhare Liye Tumhare Baap Ibrahim Ka Deen Pasand Kia, Ussi Ne Pehle Yaani Pehli Kitaaboun Main Tumhara Naam Musalmaan Rakha Tha, Aur Is Kitab Main Bhi Wo Hi Naam Rakha Hai Toh Jaahad Karo Taa-Ake Paigambar Tumhare Bare Main Shahid Houn. Aur Tum Lougon Ke Muqable Main Shahid Ho Aur Namaz Parho Aur Zakat Do Aur Khuda Ke Deen Ki Rassi Ko Pakre Raho. Wo Hi Tumhara Dost Hai. Aur Khoob Dost Aur Khoob Madadgaar Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!