Soorah-E-Al-Anbiya
Aayaat 112
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Lougon Ke
Hisaab-E-Aamaal Ka Waqt Nazdeek Aa Pohoncha Hai Aur Wo Gaflat Main Pare Is Se
Moonh Phair Rahe Hain.
2
Un Ke Paas Koi Nai
Nasheehat, Un Ke Parwardigaar Ki Taraf Se Nahi Aati Magar Wo Usse Khailte Hue
Sunte Hain.
3
Un Ke Dil Gaflat Main
Pare Hue Hain, Aur Zalim Loug Aapas Main Chupke Chupke Baatain Karte Hain, Ke
Ye Shakhs Kuch Bhi Nahi, Magar Tumhare
Jaisa Aadmi Hai. Toh Tum Aankhoun Ke Daikhte Jaadu Ki Lapait Main Kion Aate Ho.
4
Paigamabar S.A.W. Ne
Kaha, Ke Joh Baat Aasmaan Aur Zameen Main Kahi Jati Hai Mera Parwardigar Usse
Jaanta Hai. Aur Wo Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.
5
Balke Zaalim Kehne
Lage, Keh Ye Quraan Pareshaan Baatain Hain, Joh Khuaab Main Daikh Li Hain. Nahi
Balke Us Ne Is Ko Apni Taraf Se Bana Liya Hai, Nahi Balke Ye Sher Hai Joh Is
Shaair(Poet) Ka Natijaa-E-Tabaa Hai. Toh Jaise Pehle Paigambar Nishaniyan De
Kar Bhiaje Gaye The Issi Tarha Ye Bhi Hamare Paas Koi Nishani Laaye.
6
Un Se Pehle Jin
Bastiyoun Ko Ham Ne Halak Kia Wo Eemaan Nahi Laati Theen. Toh Kia Ye Eemaan Le
Aayen Ge.
7
Aur Ham Ne Tum Se
Pehele Mard Hi Paigarmabar Bana Kar Bhaije, Jin Ki Taraf Ham Wahi Bhaijte The. Agar
Tum Nahi Jaante Toh Joh Yaad Rakhte Hain Un Se Pooch Lo.
8
Aur Ham Ne Un Ke Aise
Jism Nahi Banaye The, Ke Khana Na Khayen Aur Na Wo Hamesha Rehne Wale The.
9
Phir Ham Ne Un Ke Bare
Main Apna Wada Sacha Kar Dia Toh Un Ko, Aur, Jis Ko Chaaha, Nijaat Di Aur Had
Se Nikal Jane Waloun Ko Halaak Kar Dia.
10
Ham Ne Tumhari Taraf
Aisi Kitaab Nazil Ki Hai Jis Main Tumahra Tazkara Hai. Kia Tum Nahi Samajhte.
11
Aur Ham Ne Bohot Si
Bastiyoun Ko Joh Sitamgaar Thee Halak Kar Mara Aur Un Ke Baad Aur Loug Paida
Kar Diye.
12
Jab Unhoun Ne Hamare
Muqadma Azaab Ko Daikha Toh Lage Us Se Bhaagne
13
Mat Bhaago, Aur Jin
Naimatoun Main Tum Aish-O-Aasaaish Karte The Un Ki Aur Apne Gharoun Ki Taraf
Lout Jaao. Shayad Tum Se Is Bare Main Daryaaft Kia Jaye.
14
Kehne Lage Haaye
Shamat, Be Shak Ham Zalim The.
15
Toh Wo Hamehsa Ussi
Tarha Pukarte Rahe Yahan Tak Ke Ham Ne Un Ko Khaiti Ki Tarha Kaat Kar Aur Aag
Ki Tarha Bujha Kar Dhair Kar Dia.
16
Aur Ham Ne Aasmaan Aur
Zameen Ko Aur Joh Makhlooqaat Un Dono Ke Darmiyaan Hai Us Ko Lahoo-O-Lohaab Ke
Liye Paida Nahi Kia.
17
Agar Ham Chahte Ke
Khail Ki Cheezain Yaani Zan-O-Farzand
Banayen Toh Agar Ham Ko Karna Hi Hota Toh Ham Apne Paas Se Bana Lete.
18
Nahi Balke Ham Sach Ko
Jhoot Par Khainch Maarte Hain Toh Wo Us Ka Sar Tour Deta Hai, Aur Jhoot Ussi
Waqt Nabood Ho Jata Hai. Aur Joh Batain Tum Banate Ho Un Se Tumhari Hi Kharabi
Hai.
19
Aur Joh Loug Aasmanoun
Main Aur Joh Zameen Main Hain Sab Ussi Ke Mamlook Aur Ussi Ka Maal Hain. Aur
Joh Farishte Us Ke Paas Hain Wo Us Ki Ibadat Se Na Kanyate(Ghabraate) Hain Aur
Na Uktaate Hain.
20
Raat Din Us Ki Tasbeeh
Karte Rehte Hain, Na Thakte Hain Na Thamte Hain.
21
Bhala Lougon Ne Joh
Zameen Ki Cheezoun Se Baaz Ko Mabood Bana Liya Hai, Toh Kai Wo Un Ko Marne Ke
Baad Utha Kahara Kariange?
22
Agar Aasmaan Aur
Zameen Main Khuda Ke Siwa Aur Maabood Hote Toh Zameen-O-Aasmaan Darham Barham
Ho Jate. Jo Batain Ye Loug Batate Hain Khudaa-E-Malik Arsh Un Se Paak Hai.
23
Wo Joh Kaam Karta Hai
Us Ki Pursissh Nahi Hogi Aur Joh Kaam Ye Loug Kartre Hain Us Ki Un Se Pursissh
Hogi.
24
Kia Lougon Ne Khuda Ko
Chor Kar Aur Maabood Bana Liye Hain. Keh Do Ke Is Baat Pe Apni Daleel Paish
Karo. Ye Meri Aur Mere Sath Waloun Ki Kitaab Bhi Hai Aur Jo Mujh Se Pehle
Paigambar Hoe Hain Un Ki Kitaabain Bhi Hain. Balke Baat Ye Hai, Ke Un Main Aksar
Haq Baat Ko Nahi Jaante Aur Is Liye Is Se Mooohn Phair Lete Hain.
25
Aur Joh Paigambar Ham
Ne Tum Se Pehle Bhaije Un Ki Taraf Ye Hi Wahi Bhaiji Ke Mere Siwa Koi Maabood
Nahi Toh Meri Hi Ibadat Karo.
26
Aur Kehte Hain Ke
Khuda Baita Rakhta Hai. Wo Paak Hai Us Ke Na Baita Hai Na Beti, Balke Jin Ko Ye
Loug Us Ke Bete Baitiyan Samajhte Hai Wo Us Ki Izzat Wale Bande Hain.
27
Us Ke Aage Barh Kar
Bol Nahi Sakte. Aur Us Ke Hukum Par Amal Karte Hain.
28
Joh Kuch Un Ke Aage Ho
Chukka Hai, Aur Joh Peeche Hoga Wo Sab Se Waqif Hai, Aur Wo Us Ke Paas Kisi Ki
Sifarish Nahi Kar Sakte, Magar Us Shakahs Ki Jis Se Khuda Khush Ho Aur Wo Us Ki
Haibat Se Darte Rehte Hain.
29
Aur Joh Shakhs Un Main
Se Ye Kahe Ke Khuda Ke Siwa Main Maabood Hoon Toh Usse Ham Dozakh Ki Saza Dainge
Aur Zalimoun Ko Ham Aisi Hi Saza Dia Karte Hain.
30
Kia Kaafiroun Ne Nahi
Daikha Ke Aasmaan Aur Zameen Dono Mile Hue The, Toh Ham Ne Juda Juda Kar Dia. Aur
Tamaam Jaandaar Cheezain Ham Ne Paani Se Banayee. Phir Ye Loug Eemaan Kion Nahi
Late?
31
Aur Ham Ne Zameen Main
Pahaar Banaye Taa-Ake Lougon Ke Bojh Se Hilne Aur Jhukne Na Lage, Aur Is Main
Kusahada Raaste (Broadway) Banaye Taa-Ake Loug In Par Chalain.
32
Aur Aasmaan Ko Mehfooz
Chatt Banaya. Is Par Bhi Wo Hamari Naishaniyoun Se Moonh Phairte Rahe Hain.
33
Aur Wo Hi Toh Hai Jis
Ne Raat Aur Din Aur Soraaj Aur Chand Ko Banaya. Ye Sab Yaani Sooraj Aur Chand
Aur Sitare Aasmaan Main Is Tarha Chalte Hain Goya Tair Rahe Hain.
34
Aur Ae Paigamabar
S.A.W. Ham Ne Tum Se Pehle Kisi Aadmi Ko Baqaa-E-Dawaam Nahi Bakhsha. Bhala
Agar Tum Mar Jaao Toh Kia Ye Loug Hamesha Rahainge.
35
Har Muttnaffis Ko Mout
Ka Maza Chakhana Hai. Aur Ham Toh Lougon Ko Sakhti Aur Aasoodgi Main Aazmaaish
Ke Tour Par Mubtila Karte Hain Aur Tum Hamari Taraf Hi Lout Kar Aao Ge.
36
Aur Jab Kafir Tum Ko
Daikhte Hain Toh Tum Se Istehza Karte Hain Ke Kia Ye Hi Shakas Hai Joh Tumahre
Maaboodoun Ka Zikar Burai Main Kia Karta Hai, Haalanke Wo Khud Rehman Ke Naam
Se Munkir Hain.
33
Insan Kuch Aisa Jald
Baaz Hai, Ke Goya Jald Bazi Hi Se Banaya Gaya Hai. Main Tum Lougon Ko Anqareeb
Apni Nishaiyan Dikhaaonga Toh Tum Jaldi Na Karo.
38
Aur Kehte Hain Ke Agar
Tum Sache Ho Toh Jis Azaab Ki Ye Waeed Hai Wo Kab Aaye Ga ?
39
Ae Kaash Kafir Us Waqt
Ko Jaanain Jab Wo Apne Moohoun Par Se Dozakh Ki Aag Ko Rouk Na Sakainge Aur Na
Apni Peethoun(Back) Par Se Aur Na Un Ka Koi Madad Gaar Hoga.
40
Balke Qiamat Un Par
Nagahaan Aa Waaqe Hogi. Aur Un Ke Hosh Kho De Gi. Phir Na Toh Wo Usko Hata
Sakainge Aur Na Un Ko Mohlat Di Jaye Gi.
41
Aur Tum Se Pehle Bhi Paigambaroun
Ke Sath Istehzaa Hota Raha Hai Toh Joh Loug Un Main Se Tammaskhurr(Fun) Kia
Karte The Un Ko Ussi Azaab Ne Jis Ki Hansi Uraate The Aa Ghaira.
42
Kaho Ke Raat Aur Din
Main Khuda Se Tumhari Koun Hifazat Kar Sakta Hai? Baat Ye Hai Ke Ye Apne Parwardigar
Ki Yad Se Moonh Pahire Hue Hain.
43
Kia Hamare Siwa Un Ke
Aur Maabood Hain Ke Un Ko Masaaib Se Bacha Sakain.Wo Aap Apni Madad Toh Kar Hi
Nahi Sakainge Aur Na Ham Se Panah Hi Diye Jayege.
44
Balke Ham Un Lougon Ko
Aur Un Ke Baap Dada Ko Muttmatte Karte Rahe Yahan Tak Ke Issi Halat Main Un Ki
Umrain Basar Ho Gaye. Kia Ye Nahi Daikhte Ke Ham Zameen Ko Us Ke Kinaroun Se
Ghatate Chale Aate Hain. Toh Kia Ye Loug Ghalba Pane Wale Hain?
45
Keh Do Ke Main Tumko
Hukum-E-Khuda Ke Mutabiq Naseehat Karta Hoon. Aur Behroun Ko Jab Naseehat Ki
Jaye Toh Wo Pukar Ko Sunte Hi Nahi.
46
Aur Agar Un Ko Tumhare
Parwardigar Ka Thora Sa Azaab Bhi Pohonche Toh Kehne Lage Ke Haaye Kam Bakhti
Ham Be Shak Gunnehgaar The.
47
Aur Ham Qiamat Ke Din
Insaaf Ke Tarazoo Khare Karainge Toh Kisi Shakhs Ki Zara Bhi Haq Talfi Na Ki
Jaye Gi. Aur Agar Raai Ke Daane Ke Barabar Bhi Kisi Ka Amal Hoga Toh Ham Us Ko
Laa Mojood Kariange. Aur Ham Hisab Karne Ko Kafi Hain.
48
Aur Ham Ne Moosa Aur
Haroon Ko Hidayat Aur Gumrahi Main Farq
Kar Dene Wali Aur Sar Ta Paa Roshni Aur Naseehat Ki Kitaab Ata Ki Yaani
Parhaizgaaron Ke Liye.
49
Joh Bin Daikhte Apne
Parwardigar Se Darte Hain Aur Qiamat Ka Bhi Khof Rakhte Hain.
50
Aur Ye Mubarik
Naseehat Hai Jisse Ham Ne Nazil Farmaya Hai, Toh Kia Tum Is Se Inkaar Karte Ho?
51
Aur Ham Ne Ibrahim Ko
Pehle Hi Se Hidayat Di Thi Aur Ham Un Ke Haal Se Waqif The.
52
Jab Unhoun Ne Apne
Baap Aur Apni Qoum Ke Lougon Se Kaha ke, Ye Kia Moortain Hain Jin Ki Parastish
Par Tum Mootakif-O-Qaaim Ho?
53
Wo Kehne Lage Ke Ham
Ne Apne Baap Dada Ko In Ki Parastish Karte Daikha Hai.
54
Ibrahim Ne Kaha, Ke Tum Bhi Gumraah Ho Aur Tumhare Baap Dada
Bhi Sareeh Gumrahi Main Pare Hain.
55
Wo Bole Kia Tum
Hamaare Pas Waaqaee Haq Laaye Ho Ya Ham Se Khail Ki Baatain Karte Ho?
56
Ibrahim Ne Kaha Nahi,
Balke Tumhara Parwardigar Aasmaanoun Aur Zameen Ka Parwardigar Hai Jis Ne Un Ko
Paida Kia Hia. Aur Main Is Baat Ka Gawwaah Aur Issi Ka Qaail Hoon.
57
Aur Khuda Ki Qasam Jab
Tum Peeth Phair Kar Chale Jao Ge Toh Main Tumhare Buttoun Se Aik Chaal
Chaloonga.
58
Phir Un Ko Tour Kar
Raiza Raiza Kar Dia, Magar Aik Bare Butt Ko Na Toura Taa-Ake Wo Us Ki Taraf
Rujoo Karain.
59
Kehne Lage Ke Hamare
Maaboodoun Ke Sath Ye Moaamla Kis Ne Kia? Wo Toh Koi Zaalim Hai.
60
Lougon Ne Kaha Ke Ham
Ne Aik Jawan Ko In Ka Zikar Karte Hue Suna Hai Usse Ibrahim Kehte Hain.
61
Wo Bole Ke Usse Lougon
Ke Saamne Laao Taa-Ake Wo Gawah Rahain.
62
Jab Ibrahim Aaye Toh
Butt Parastoun Ne Kaha Ke Ibrahim Bhala Ye Kaam Hamare Maaboodoun Ke Sath Tum
Ne Kia Hai?
63
Ibrahim Ne Kaha Balke
Ye Un Ke In Bare Butt Ne Kia Hoga. Agar Ye Bolte Houn Toh In Se Pooch Lo.
64
Unhoun Ne Apne Dil
Main Gour Kia Toh Apas Main Kehne Lage Be Shak Tum Hi Be Insaaf Ho.
65
Phir Sharminda Ho Kar
Sar Neecha Kar Liya Is Par Bhi Ibrahim Se Kehne Lage Ke Tum Jaante Ho Ye Bolte
Nahi.
66
Ibrahim Ne Kaha Phir
Tum Khuda Ko Chor Kar Kion Aisi Cheezoun Ko Poojte Ho Joh Na Tumhain Kuch
Faaida De Sakain Aur Na Nuqsaan Pohoncha Sakain.
67
Tuff Hai Tum Par Aur
Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Poojte Ho Un Par , Kia Tum Aqal Nahi Rakhte?
68
Tab Wo Kehne Lage Ke
Agar Tumhain Is Se Apne Maabood Ka Intiqaam Lena
Aur Kuch Karna Hai Toh Is Ko Jala Daalo Aur Apne Maaboodoun Ki Madad Karo.
69
Ham Ne Hukum Dia Ae
Aag Sard Ho Ja Aur Ibrahim Par Moaajjab-E-Salamti Ban Ja.
70
Aur Un Lougon Ne Bura
Toh Un Ka Chaha Tha Magar Ham Ne Un Hi Ko Nuqsaan Main Daal Dia.
71
Aur Ibrahim Aur Loot
Ko Us Sarzameen Ki Taraf Bacha Nikala Jis Main Ham Ne Ehl-E-Aalam Ke Liye
Barkat Rakhti Thi.
72
Aur Ham Ne Ibrahim Ko
Ishaaq Ata Kiye. Aur Musstazaad Barraan Yaaqoob. Aur Sab Ko Naik Kia.
73
Aur Unko Paishwa
Banaya Ke Hamare Hukum Se Hidayat Karte The Aur Un Ko Naik Kaam Kanre Aur Namaz
Parhne Aur Zakaat Dene Ka Hukum Bhaija. Aur Wo Hamari Ibadat Kia Karte The.
74
Aur Loot Ka Qissa Yaad
Karo Jab Unko Ham Ne Hukum Yaani
Hikmat-O-Naboowat Aur Ilm Bakhsha Aur Us Basti Se Jahan Ke Loug Gande Kaam Kia
Karete The Bacha Nikala. Be Shak Wo Bure Aur Bad Kiradaar Loug The.
75
Aur Unhain Apni Rehmat
Ke Mehel Main Daakhil Kia. Kuch Shak Nahi Ke Wo Naik Kirdaaroun Main The.
76
Aur Nooh Ka Qissa Bhi
Yad Karo Jab Us Se Paishtar Unhoun Ne Ham Ko Pukara Toh Ham Ne Un Ki Dua Qabool
Farmaaye Aur Un Ko Aur Un Ke Saathiyoun Ko Bari Ghabrahat Se Nijaat Di.
77
Aur Joh Loug Hamari
Aayatoun Ki Takzeeb Karte The Un Par Nusrat Bakhshi. Wo Be Shak Bure Loug The,
So Ham Ne Un Sab Ko Gharq Kar Dia.
78
Aur Daawood Aur
Sulaimaan Ka Haal Bhi Sun Lo, Ke Jab Wo Aik Khaiti Ka Muqaddma Faisal Karne
Lage, Jis Main Kuch Lougon Ki Bakriyan Raat Ko Charr Ga,i Aur Usse Rond Gai
Theen Aur Ham Un Ke Faisle Ke Waqt Mojood The.
79
Toh Ham Ne Faisala
Karne Ka Tareeq Sulaiman Ko Samjha Dia .Aur Ham Ne Dono Ko Hukum Yaani
Hikmat-O-Naboowat Aur Ilm Bakhsha Tha. Aur Ham Ne Paharoun Ko Daawood Ka
Maskhar Kar Dia Tha, Ke Un Ke Sath Tasbeeh Karte The Aur Janwaroun Ko Bhi
Maskhar Kar Dia Tha Aur Ham Hi Aisa Karne Wale The.
80
Aur Ham Ne Tumhare
Liye Un Ko Aik Tarha Ka Libaas Banana Bhi Sikha Dia Taa-Ake Tum Ko Laraiye Ke
Zarrar Se Bachaye. Pas Tum Ko Shukar Guzar Hona Chahiye.
81
Aur Ham Ne Taiz Hawa
Sulaiman Ke Taaba-E-Farmaan Kar Di Thi Joh Un Ke Hukum Se Us Mulk Main Chalti
Thi Jis Main Ham Ne Barkat Di Thi Yaani Sham Aur Ham Har Cheez Se Khabardaar
Hain.
82
Aur Daiwon Ki Jamaat
Ko Bhi In Ke Taabe Kar Dia Tha Ke Un Main Se Baaz Un Ke Liye Goute Maarte The
Aur Us Ke Siwa Aur Kaam Bhi Karte The Aur Ham Un Ke Nigehbaan The.
83
Aur Ayoob Ko Yaad Karo
Jab Unhoun Ne Apne Parwardigar Se Dua Ki Ke Mujhe Eeza Ho Rahi Ahi Aur Tu Sab
Se Barh Kar Rehem Karne Wala Hai.
84
Toh Ham Ne Un Ki Dua Qabool
Kar Li Aur Joh Un Ko Takleef Thi Wo Door Kar Di Aur Un Ko Baal Bache Bhi Ata Farmaaye
Aur Apni Meherbaani Se Un Ke Sath Utne Hi Aur Bakhshe Aur Ibadat Karne Waloun
Ke Liye Ye Naseehat Hai.
85
Aur Ismaail Aur Idrees
Aur Zulkifil Ko Bhi Yaad Karo Ye Sab Sabar Karne Wale The.
86
Aur Ham Ne Un Ko Apni
Rehmat Main Daakhil Kia. Bila Shuba Wo Naiko Kaar The.
87
Aur Zulnoon Ko Yad
Karo Jab Wo Apni Qoum Se Naraaz Ho Kar Gusse Ki Halat Main Chal Diye Aur Khayal
Kia Ke Ham Un Par Qaaboo Nahi Pa Sadainge. Aakhir Andhaire Main Khuda Ko
Pukarne Lage Ke Tere Siwa Koi Maabood Nahi. Tu Paak Hai Aur Be Shak Main Qasoor
Waar Hoon.
88
Toh Ham Ne Un Ki Dua
Qabool Kar Li Aur Un Ko Gham Se Nijaat Bakhshi. Aur Eemaan Waloun Ko Ham Issi
Tarha Nijaat Dia Karte Hain.
89
Aur Zakria Ko Yaad
Karo Jab Unhoun Ne Apne Parwardigaar Ko Pukara, Ke Parwardigar Mujhe Akaila Na
Chor Aur Tu Sab Se Behtar Waris Hai.
90
Toh Ham Ne Un Ki Pukar
Sunn Li. Aur Un Ko Yaahiya Bakhshe Aur Un Ki Biwi Ko Aulad Ke Qaabil Bana Dia. Ye
Loug Lapak Lapak Kar Naikiyan Karte Aur Hamain Umeed Aur Khof Se Pukarte Aur
Hamare Aage Aajzi Kia Karte The.
91
Aur Un Maryam Ko Bhi
Yaad Karo Jinhoun Ne Apni Iffat(Izzat) Ko Mehfooz Rakha. Toh Ham Ne Un Main
Apni Rooh Phoonk Di Aur Un Ko Aur Un Ke Bete Ko Ehl-E-Aalam Ke Liye Nishani
Bana Dia.
92
Ye Tumhari Jamaat Aik
Hi Jamaat Hai Aur Main Tumhara Parwardigar Hooon Toh Meri Hi Ibadat Kia Karo.
93
Aur Ye Loug Apne
Moaamle Main Baaham Muttafarriq Ho Gaye. Magar Sab Hamri Taraf Rujoo Karne Wale
Hain.
94
Joh Naik Kaam Kare Ga,
Aur Momin Bhi Hoga Toh Us Ki Koshish Raaigaan Na Jaye Gi. Aur Ham Us Ke Liye
Sawaaab-E-Aamaal Likh Rahe Hain.
95
Aur Jis Basti Waloun
Ko Ham Ne Halaak Kar Dia Mohaal Hai Ke Rujoo Karain Wo Rujoo Nahi Karainge.
96
Yahan Tak Ke Yaajooj
Maajooj Khol Diye Jaye Aur Wo Har Bulandi Se Dour(Running) Rahe Houn.
97
Aur Qiamat Ka Sacha
Waada Qareeb Aa Jaye Toh Nagaahan Kaafiroun Ki Aankhain Khuli Ki Khuli Reh Jaye
Aur Kehne Lagain Ke Haaye Shamat Ham Is Haal Se Gaflat Main Rahe Balke Ham Apne
Haq Main Zalim The.
98
Kaafiro Us Roz Tum Aur
Jin Ki Tum Khuda Ke Siwa Ibadat Karte Ho Dozakh Ka Eendhan Houn Ge. Aur Tum Sab
Is Main Daakhil Ho Kar Raho Ge.
99
Agar Yeh Loug
Darhaqeeqat Maabood Hote Toh Us Main Daakhil Na Hote. Sab Us Main Hamesha Jalte
Rahain Ge.
100
Wahan Un Ko Chillana
Hoga Aur Wahan Kuch Na Sunn Sakain Ge.
101
Jin Lougon Ke Liye
Hamari Taraf Se Pehle Bhalai Muqarrar Ho Chukhi Hai. Wo Us Se Door Rakhe Jayen
Ge.
102
Yahan Tak Keh Is Ki
Awaaz Bhi Toh Nahi Sunain Ge. Aur Joh Kuch Un Ka Jee Chahe Ga Us Main, Yaani
Har Tarha Ke Aish Aur Lutf Main Hamesha Rahain Ge.
103
Un Ko Us Din Ka Bara
Bhaari Khof Ghamgeen Nahi Kare Ga. Aur Farishte Un Ko Lene Aayen Ge Aur Kahain
Ge Keh Ye Hi Wo Din Hai Jis Ka Tum Se Waada Kia Jata Tha.
104
Jis Din Ham Aasmaan Ko
Is Tarha Lapait Lainge Jaise Khatoun Ka Toomaar Lapait Lete Hain. Jis Tarha Ham
Ne Kaainaat Ko Pehle Paida Kia Tha Ussi Tarha Dobara Paida Kar Dainge. Ye Waada
Hai Jis Ka Poora Karna Laazim Hai. Ham Aisa Zaroor Karne Wale Hain.
105
Aur Ham Ne Naseehat Ki
Kitaab Yaani Touraat Ke Baad Zaboor Main Likh Dia Keh Mere Naiko Kaar Bande
Mulk Ke Waaris Hounge.
106
Ibadat Karne Wale
Lougon Ke Liye Is Main Khuda Ke Hukmoun Ki Tableegh Hai.
107
Aur Ae Muhammad S.A.W.
Ham Ne Tum Ko Tamaam Jahaan Ke Liye Rehmat Bana Kar Bhaija Hai.
108
Keh Do Ke Mujh Par
Khuda Ki Taraf Se Yeh Wahi Aati Hai Keh, Tum Sab Ka Maabood, Khuda-E-Waahid
Hai. Toh Tum Ko Chahiye Ke Farmabardaar Ho Jao.
109
Agar Ye Loug Moonh
Phairain Toh Keh Do Ke Main Ne Tum Sab Ko Yaksaan Ehkaam-E-Ilaahi Se Aagah Kar
Dia Hai. Aur Mujh Ko Maloom Nahi Ke Jis Cheez Ka Tum Se Waada Kia Jata Hia Wo
Anqareeb Aane Wali Hai Ya Us Ka Waqt Door Hai.
110
Joh Baat Pukaar Kar Ki Jaye Wo Usse Bhi Jaanta
Hai Aur Joh Tum Posheeda Karte Ho Us Se Bhi Waaqif Hai.
111
Aur Main Nahi Jantta
Shayad Wo Tumhare Liye Aazmaaish Ho Aur Aik Muddat Tak Tum Us Se Faaida Uthaate
Raho.
112
Paigambar S.A.W. Ne
Kaha Ke Ae Mere Parwardigaar Haq Ke Sath Faisla Karde. Aur Hamara Parwardigaar
Bara Meherbaan Hai Ussi Se Un Batoun Main Joh Tum Bayan Karte Ho Madad Maangi
Jati Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!