Soorah-E-Yousuf
Aayaat 111
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Alif Laam Raa. Yeh
Kitaab-E-Roshan Ki Aayatain Hain.
2
Ham Ne Is Quraan Ko
Arabi Main Nazil Kia Hai Taa-Ake Tum Samajh Sako.
3
Ae Paigambar S.A.W.
Ham Is Quraan Ke Zariye Se Joh Ham Ne Tumhari Taraf Bhaija Hai, Tumhain Aik
Nihayat Acha Qissa Sunate Hain Aur Tum Is Se Pehle Be Khabar The.
4
Jab Yousuf A.S. Ne
Apne Walid (Fater) Se Kaha Ke Abba Main Ne Khuab Main Giyara (11) Sitaroun(Stars)
Aur Sooraj (Sun) Aur Chand (Moon) Ko Daikha Hai. Daikhte Kia Hoon Ke Wo Mujhe
Sajda Kar Rahe Hain.
5
Unhoun Ne Kaha Ke Beta
Apne Khuab Ka Zikar Apne Bhaiyoun (Brothers) Se Na Karna Nahi Toh Wo Tumhare
Haq Main Koi Fariab Ki Chaal Chalain Ge. Kuch Shak Nahi Ke Shaitaan Insaan Ka
Khula Dushman Hai.
6
Aur Issi Tarah Khuda
Tumhain Burguzeeda-O-Mumtaaz Kare Ga Aur Khuab Ki Batoun Ki Taabeer Ka Ilm
Sikhaye Ga. Aur Jis Tarha Us Ne Apni Naimat Pehle Tumhare Dada, Pardaada
Ibrahim A.S. Aur Ishaaq A.S. Par Poori Ki Thi Ussi Tarha Tum Par Aur Aulad
–E-Yaqoob A.S. Par Poori Kare Ga. Be Shak Tumhara Parwardigar Sb Kuch Jaan-Ne
Wala Aur Hikmat Wala Hai.
7
Haan Yousuf A.S. Aur
Un Ke Bhaiyon Ke Qisse Main Poochne Waloun Ke Liye Bohot Si Nishaniyan Hain.
8
Jab Unhoun Ne Apas
Main Tazkara Kia Ke Yousuf A.S. Aur Us Ke Bhai Abba Ko Ham Se Ziada Piyare Hain,
Halaanke Ham Jamaat Ki Jamaat Hain. Kuch Shak Nahi Ke Aba Sahreeh Ghalti Par
Hain.
9
Toh Yousuf A.S. Ko Ya
Toh Jaan Se Maar Daalo Ya Kisi Mulk Main
Phaink Aao. Phir Abba Ki Tawajoh Sirf Tumhari Taraf Ho Jaye Gi. Aur Us Ke Baad
Tum Achi Halat Main Ho Jao Ge.
10
Un Main Se Aik Kehne
Wale Ne Kaha Ke Yousuf A.S. Ko Jaan Se Na Maro Kisi Gehre Koonwe Main Daal Do,
Ke Koi Rahgeer Nikal Kar Aur Mulk Main Le Jaye Ga. Agar Tum Ko Karna Hai Toh
Youn Karo.
11
Yeh Mashwara Kar Ke Wo
Yaqoob A.S. Se Kehne Lage Ke Abba Jaan Kia Sabab Hai Ke Aap Yousuf A.S. Ke Bare
Main Hamara Aitbaar Nahi Karte, Halanke Ham Us Ke Khair Khuah Hain.
12
Kal Usse Hamare Sath
Bhaij Dijiye Ke Khoob Maiwe (Dry Fruits) Khayain Aur Khaile Koodain. Ham Us Ke
Nigehbaan Hain.
13
Unhoun Ne Kaha Keh Yeh
Amar Mujhe Gamnaak Kiye Deta Hai Keh Tum Usse Le Jao, Yaani Wo Mujh Se Juda Ho
Jaye Aur Mujhe Yeh Bhi Khof Hai Keh Tum Khail Main Is Sse Ghaafil Ho Jao Aur
Usse Bhairya (Wolf) Kha Jaye.
14
Wo Kehne Lage Ke Agar
Hamari Mojoodgi Main Keh Ham Aik Taqatwar Jamaat Hain, Usse Bhairya (Wolf) Kha
Gaya Toh Ham Bare Nuqsaan Main Par Gaye.
15
Garz Jab Wo Us Ko Le
Gaye Aur Is Baat Pe Ittifaaq Kar Liya Keh Us Ko Gehre Koowain Main Daal Dain
.Toh Ham Ne Yousuf A.S. Ki Taraf Wahi Bhaiji, Ke Aik Waqt Aisa Aaye Ga Ke Tum
Un Ke Us Salook Se Aagah Karo Ge Aur Un Ko us Wahi Ki Kuch Khabar Na Hogi.
16
Ye Harkat Kar Ke Wo
Raat Ke Waqt Baap Ke Paas Rote Hue
Aaye.
17
Aur Kehne Lage Ke Abba
Jaan Ham Toh Dourne (Running) Aur Aik Doosre Se Aage Nikalne Main Masroof Ho
Gaye Aur Yousuf Ko Apne Asbaaab Ke Paas Chor Gaye, Toh Usse Bhairya (Wolf) Kha
Gaya. Aur Aap Hamari Baat Ko, Go Ham
Sach Hi Kehte Houn Baawar (Believe) Nahi Karen Ge.
18
Aur Un Ke Kurrte (Shirt)
Pe Jhoot Moot Ka Lahoo (Blood) Bhi Laga Laaye. Yaqoob A.S. Ne Kaha Ke Haqeeqat
Haal Youn Nahi Hai Balke Tum Apne Dil Se Yeh Baat Bana Laye Ho. Acha Sabar, Ke
Wahi Khoob Hai. Aur Joh Tum Bayan Karte Ho Us Ke Bare Main Khuda Hi Se Madad Matloob
Hai.
19
Ab Khuda Ki Shaan
Daikho Ke Us Koonwain Ke Qareeb Aik Qaafla Aa Warid Hua Aur Unhoun Ne Paani Ke
Liye Apna Saqqa Bhaija . Us Ne Khoowain Main Doul Latkaya To Yousuf A.S. Us Se
Latak Gaye. Wo Bola Zahe Qismat Yeh Toh Nihayat Haseen Larka Hai. Aur Us Ko
Qeemti Sarmaya Samajh Kar Chupa Liya, Aur Joh Kuch Wo Karte The Khuda Ko Sab
Maloom Tha.
20
Aur Us Ko Thori Si
Qeemat Yaani Moaawze Chand (Few) Darhamoun Par Baich(Sell)Daala .Aur Unahin Un
Ke Bare Main Kuch Laalach Bhi Na Tha.
21
Aur Misr (Egypt) Main
Jis Shakhs Ne Us Ko Khareeda Us Ne Apni Biwi Se Jis Ka Naam Zulaikha Tha Kaha Ke
Is Ko Izzat-O-Ikraam Se Rakho, Ajab Nahi Keh Yeh Hamain Faida De, Ya Ham Isse
Beta Bana Lain. Is Tarha Ham Ne Yousuf A.S. Ko Sar Zameen-E-Missr (Egypt) Main
Jaga Di Aur Garz Yeh Thi Ke Ham un Ko Khuaab Ki Batoun Ki Taabeer Sikhayen Aur
Khuda Apne Kaam Par Gaalib Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jante.
22
Aur Jab Wo Apni Jawani
Ko Pohonche Toh Ham Ne Un Ko Daanaai Aur Ilm Bakhsha. Aur Naiko Kaaroun Ko Ham
Issi Tarah Badla Dia Karte Hain.
23
Toh Jis Aurat Ke Ghar
Main Wo Rehte The Us Ne Un Ko Apni Taraf Maail (Attract) Karna Chaha Aur
Darwaze Band Kar Ke Kehne Lagi Yousurf A.S. Jaldi Aao. Unhoun Ne Kaha Khuda
Panaah Main Rahke, Wo Yaani Tumhare Miyaan (Husband) Toh Mere Aaqa (Lord) Hain,
Unhoun Ne Mjhe Achi Tarha Se Rakha Hai,
Main Aisa Zulm Nahi Kar Sakta Be Shak Zaalim Loug Falah Nahi Paayen Ge.
24
Aur Is Aurat Ne Un Ka
Qasad Kia Aur Unhoun Ne Us Ka Qasad Kia. Agar Wo Apne Parwardigar Ki Nishani Na
Daikhte Toh Joh Hota, Hota! Youn Is Liye Kia Gaya Ke Ham Un Se Burai Aur Be
Hayaee Ko Rouk Dain. Be Shak Wo Hamare Khaalis Bandoun Main Se The.
25
Aur Dono Darwaze Ki
Taraf Bhaage Aage Yousurf A.S. Aur Peeche Zulaikha Aur Aurat Ne Un Ka Kurrta (Shirt)peeche
se Pakar Kar Joh Khaincha Toh Phaar Daala Aur Dono Ko Darwaze Ke Paas Aurat Ka
Khawind Mill Gaya, Toh Aurat Boli Ke Joh Shakhs Tumahari Biwi Ke Sath Bura
Irada Kare Us Ki Is Ke Siwa Kia Saza Hai Ke Ya Toh Qaid Kia Jaye Ya Dukh Ka
Azaab Dia Jaye.
26
Yousuf Ne Kaha Issi Ne
Mujh Ko Apni Taraf Maail (Attract) Karna Chaha Tha. Us Ke Qabeele Main Se Aik
Faisla Karne Wale Ne Ye Faisla Kia Ke Agar Is Ka Kurrta Aage Se Phata Toh Yeh
Sachi Aur Yousuf A.S. Jhoota Hai.
27
Aur Agar Kurrta Peeche
Se Phata Ho Toh Yeh Jhooti Aur Wo Sacha Hai.
28
Aur Jab Us Ka Kurta
Daikha Toh Peeche Se Phata Tha Tab Us Ne Zulaikha Se Kaha Ke Ye Tumhara Hi
Faraib Hai. Aur Kuch Shak Nahi Ke Tum Aurtoun Ke Faraib Bare Bhari Hote Hain.
29
Yousuf A.S. Is Baat Ka
Khayal Na Kar. Aur Zulaikha Tu Apne
Gunnah Ki Bakhshish Maang. Be Shak Khata Teri Hi Hai.
30
Aur Sheher Main
Aurtain Guftugooain Karne Lageen Ke Aziz Ki Biwi Apne Gulaam Ko Apni Taraf Mail
Karna Chahti Hai. Aur Us Ki Mohabbat Us Ke Dil Main Ghar Kar Gai Hai. Ham
Daikhti Hain Ke Wo Sareeh Gumrahi Main Hai.
31
Jab Zulaikha Ne In
Aurtoun Ki Guftugoo Joh Haqeeqat Main Deedaar-E-Yousuf A.S. Ke Liye Aik Chaal
Thi Suni Toh Un Ke Paas Daawat Ka Paigaam Bhaija, Aur Un Ke Liye Aik Mehfil
Murratab (Arrange) Ki. Aur Phal Taraashne Ke Liye Har Aik Ko Aik Aik Churi Di
Aur Yousuf A.S. Se Kaha Ke In Ke Saamne Bahar Aao. Jab Aurtoun Ne Un Ko Daikha
Toh Us Ka Roub-e-Hussn Un Par Aisa Chaa Gaya
Ke Phal Taraashte Taraashte Apne Hath Kaat Liye Aur Be Saakhta Bol
Utheen Ke Subhaan Allah Yeh Husnn Yeh Aadmi Nahi Koi Buzurg Farishta Hai.
32
Tab Zulaikha Ne Kaha
Ye Wohi Hai Jis Ke Bare Main Tum Mujhe Taane Deti Theen .Aur Be Shak Main Ne Is
Ko Apni Taraf Maail Karna Chaha Magar Ye
Bacha Raha. Aur Agar Ye Wo Kaam Na Kare Ga Joh Main Isse Kehti Hoon Toh Qaid
Kar Dia Jaye Ga Aur Zaleel Hoga.
33
Yousuf A.S. Ne Dua Ki
Ke Parwardigaar Jis Kaam Ki Taraf Ye Mujhe Bulati Hain Us Ki Nisbat Mujhe Qaid
Pasand Hai. Aur Agar Tu Mujh Se In Ke Faraib Ko Na Hataye Ga Toh Main Un Ki
Taraf Maail Ho Jaaon Ga, Aur Naddaanyon Main Daakhil Ho Jaaon Ga.
34
Toh Khuda Ne Un Ki Dua
Qabool Kar Li Aur Un Se Aurtoun Ka Makkar Dafa Kar Dia. Be Shak Wo Sun-Ne Aur
Jaan-Ne Wala Hai.
35
Phir Bawajood Is Ke
Keh Wo Loug Nishaan Daikh Chuke The Un Ki Raaye Yehi Thehri Ke Kuch Arsa Ke
Liye Un Ko Qaid Hi Kar Dain.
36
Aur Un Ke Sath Do Aur
Jawan Bhi Daakhil-E-Zindaan Hue. Aik Ne Un Se Kaha Ke Main Ne Khuab Daikha Hai,
Daikhta Kia Hoon Ke Sharab Ke Liye Angoor Nichor Raha Hoon. Doosre Ne Kaha Ke
Main Ne Bhi Khuaab Daikha Hai Main Ye Daikhta Hoon Ke Apne Sar Par Rotiyaan
Uthaye Hue Hoon, Aur Janwar Un Main Se Kha Rahe Hain, Toh Hamain In Ki Taabeer
Bata Dijiye Ke Ham Tumahin Naiko Kaar Daikhte Hain.
37
Yousuf A.S. Ne Kaha Ke
Joh Khana Tum Ko Milne Wala Hai Wo Aane Nahi Paaye Ga Ke Main Us Se Pehle Tum
Ko Is Ki Taabeer Bata Doon Ga. Ye Un (Baatoun) Main Se Hai Joh Mere
Parwardigaar Ne Mujhe Sikhaye Hain, Joh Loug Khuda Par Eemaan Nahi Late Aur
Roz-E-Akhrat Se Inkar Karte Hain Main Un Ka Mazhab (Religion) Chore Hue Hoon.
38
Aur Apne Baap Dada
Ibrahim A.S. Aur Ishaaq A.S. Aur Yaqoob A.S. Ke Mazhab Par Chalta Hoon. Hamain
Shaayaan Nahi Hai Ke Kisi Cheez Ko Khuda Ke Sath Shareek Banayan.Yeh Khuda Ka
Fazal Hai Ham Par Bhi Aur Lougon Par Bhi Lekin Aksar Loug Shukar Nahi Karte.
39
Mere Jail Khaane Ke
Rafeeqo! Bhala Kai Juda Juda Aaqa Ache Ya Aik Khuda-E-Yakta-O-Gaalib ?
40
Jin Cheezoun Ki Tum
Khuda Ke Siwa Parastish (Worship) Karte Ho Wo Sirf Naam Hi Naam Hain, Joh Tum
Ne Aur Tumhare Baap Dada Ne Rakh Liye Hain. Khuda Ne Un Ki Koi Sanad Nazil Nahi
Ki. Sunn Rakho Ke Khuda Ke Siwa Kisi Ki Hukumat Nahi Hai. Us Ne Irshaad Farmaya
Hai Ke Us Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo. Ye Hi Seedha Deen Hai Lekin Aksar
Loug Nahi Jante.
41
Mere Jail Khaane Ke
Rafeeqo! Tum Main Se Aik Joh Pehle Khuab Bayan Karne Wala Hai Wo Toh Apne Aaqa
Ko Sharab Pilaya Kare Ga, Aur Joh Doosra Hai Wo Sooli Dia Jaye Ga Aur Janwar Us
Ka Sar Kha Kha Jayen Ge. Jo Amar Tum Mujh Se Poochte The Wo Faisal Ho Chukka
Hai.
42
Aur Dono Shakhsoun
Main Se Jis Ki Nisbat Yousuf A.S. Ne Khayal Kia Ke Wo Rihayee Paa Jaye Ga Us Ne
Kaha Ke Apne Aqqa Se Mera Zikar Bhi Karna Lekin Shaitan Ne Un Ka Apne Aaqa Se
Zikar Karna Bhula Dia Aur Yusuf Kai Baras Jail Khane Hi Main Rahe
43
Aur Baadshah Ne Kaha
Ke Main Ne Khuab Daikha Hai Daikhta Kia Hoon Ke Saat (7) Moti Gaayen (Cow) Hain
Jin Ko Saat (7) Dubli Gaayen (Cow) Kha Rahi Hain Aur Saa t(7)Khoshe Sabz Hain
Aur Saat Khushk.Ae Sardaaro ! Agar Tum Khuaboun Ki Taabeer De Sakte Ho Toh
Mujhe Mere Khuaab Ki Taabeer Bataow.
44
Unhoun Ne Kaha Yeh Toh
Pareshaan Se Khuab Hain. Aur Hamain Aise Khuaboun Ki Taabeer Nahi Aati.
45
Ab Wo Shakhs Joh Dono
Qaidiyoun Main Se Rihaayi Paa Gaya Tha Aur Jisse Muddat Ke Baad Wo Baat Yaad
Aagai Bol Utha Ke Main Ap Ko Is Ki Taabeer La Batata Hoon Mujhe Jail Khane Jane
Ki Ijazat De Dijiye.
46
Gharz Wo Yousuf Ke
Paas Aaya Aur Kehne Laga Yousuf, Ae Bare Sache Yousf A.S. Hamain Is Khuaab Ki
Taabeer Bataiye Ke Sat (7) Moti Gaayoun Ko Saat Dubli Gaayen Kha Rahi Hain. Aur
Saat (7) Khoshe Sabz Hain Aur Saat (7)
Sookhe Taa-Ake Main Lougon Ke Paas Wapas Ja Kar Taabeer Bataoon.Ajab Nahi Keh
Wo Tumhri Qadar Janain.
47
Unhoun Ne Kaha Ke Tum
Loug Saat Saal Mutwaatar (Continuesly) Khaiti Karte Raho Geh Toh Joh Galla
Kaato Toh Thore Se Galle Ke Siwa Joh Khane Main Aye Usse Khoshoun Main Hi Rehne
Dena.
48
Phir Us Ke Bad Khushk
Saali Ke Saat Sakht Saal Aayen Ge Ke Joh Ghalla Tum Ne Jama Kar Rakha Hoga Wo us
Sab Ko Kha Jayen Ge .Sirf Wo Hi Thora Sa Reh Jaye Ga Joh Tum Ehtiaat Se Rakh
Choro Ge.
49
Phir Us Ke Baad Aik
Aisa Saal Aaye Ga Ke Khoob Meenh (Rain) Barse Ga Aur Loug Us Main Rass
Nichorainge.
50
Ye Taabeer Sun Kar
Baadshah Ne Hukum Dia Ke Yousuf A.S. Ko Mere Paas Le Aao . Jab Qasid Un Ke Paas
Gaya Toh Unhoun Ne Kaha Ke Apne Aaqa Ke Paas Wapas Jao Aur Un Se Poocho Keh Un
Aurtoun Ka Kia Haal Hai Jinhoun Ne Apne Hath Kaat Liye The. Be Shak Mera
Parwardigar Un Ke Makkroun Se Khoob Waqif Hai.
51
Baadshah Ne Aurton Se
Poocha Ke Bhala Us Waqt Kia Hua Tha Jab Tum Ne Yousuf A.S. Ko Apni Taraf Maail
Karna Chaha. Sab Bol Utheen Ke Haasha-E-Lillah Ham Ne Us Main Koi Burai Maloom
Nahi Ki. Azeez Ki Aurat Ne Kaha Ab Sachi
Bat Toh Zahir Ho Hi Gai Hai. Asal Yeh Hai Ke Main Ne Us Ko Apni Taraf Maail
Karna Chaha Tha, Aur wo Be Shak Wo Sacha Hai.
52
Yousuf A.S. Ne Kaha Ke
Main Ne Yeh Bat Is Liye Poochi Hai Ke Aziz Ko Yaqeen Ho Jaye Keh Main Ne Us Ki
Peeth Peeche Us Ki Amanat Main Khayanat Nahi Ki Aur Khdua Khayanat Karne Waloun
Ke Makkaroun Ko Ru Baraah Nahi Karta.
53
Aur Main Apne Taieen (My
Self) Paak Saf Nahi Kehta Kion Ke Nafs-E-Aammara Insaan Ko Burai Hi Sikhata
Rehta Hai. Magar Ye Ke Mera Parwardigaar Rehem Kare . Be Shak Mera Parwardigar
Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
54
Baadshaah Ne Hukum Dia
Keh Use Mere Paas Laao Main Usse Apna Masahib-E-Khaas Banaoonga. Phir Jab Un Se
Guftugu Ki Toh Kaha Ke Aaj Se Tum Hamare Haan Sahib-E-Manzilat Aur
Sahib-E-Aitbaar Ho.
55
Yousuf Ne Kaha Mujhe
Is Mulk Ke Khazanoun Par Muqarrar Kar Dijiey Kion Ke Main Hifazat Bhi Kar Sakta
Hoon Aur Is Kaam Se Waqif Hoon.
56
Is Tarha Ham Ne Yousuf
A.S. Ko Mulk Misr (Egypt) Main Jaga Di Aur Wo Is Mulk Main Jahan Chahate The
Rehte The. Ham Apni Rehmat Jis Par Chahte Hain Karte Hain Aur Naiko Kaaroun Ke
Ajar Ko Zaaya Nahi Karte.
57
Aur Joh Loug Eemaan
Laye Aur Darte Rahe Un Ke Liye Aakhrat Ka Ajar Bohot Behtar Hai.
58
Aur Yoususf A.S. Ke
Bhai Kinnaan Se Misr (Egypt Main Galla Khareedne Ke Liye Aaye, Toh Yusuf A.S.
Ke Paas Gaye Toh Yusuf A.S. Ne Un Ko Pehchaan Lia Aur Wo Un Ko Na Pehchaan
Sake.
59
Jab Yousuf A.S. Ne Un
Ke Liye Un Ka Samaan Taiyaar Kar Dia Toh Kaha Ke Phir Aana Toh Joh Baap Ki
Taraf Se Tumhara Aik Aur Bhai Hai Usse Bhi Mere Paas Lete Aana. Kia Tum Nahi
Daikhte Ke Main Maap Bhi Poori Poori Deta Hoon Aur Mehemaan Daari Bhi Khoob
Karta Hon.
60
Aur Agar Tum Usse Mere
Paas Na Lao Ge Toh Na Tumhain Mere Haan Se Ghalla Mile Ga Aur Na Tum Mere Paas
Hi Aa Sako Ge.
61
Unhoun Ne Kaha Ke Ham
Us Ke Bare Main Us Ke Walid Se Tazkara Karain Ge Aur Ham Yeh Kaam Kar Ke Rahain
Ge.
62
Aur Yousuf A.S. Ne
Apne Khuddam Se Kaha Ke Inko Sarmaya Yaani Ghalle Ki Qeemat In Ke Shaleetoun
Main Rakh Do, Ajab Nahi Ke Jab Yeh Apne Ehl-O-Ayaal Main Jayen Ge Toh Isse
Pehchaan Lain Aur Ajab Nahi Ke Phir Yahan Aayen.
63
Jab Wo Apne Baap Ke
Pas Wapas Gaye Toh Kehne Lage Keh Abba Jab Tak Ham Binyameen Ko Sath Na Le
Jayen Hamare Liye Ghalle Ki Bandish Kar Di Gai Hai, Toh Hamare Sath Hamare Bhai
Ko Bhaij Dijiye Taa-Ake Ham Phir Ghalla Laayen Aur Ham Us Ke Nigehbaan Hain.
64
Yaqoob A.S. Ne Kaha Ke
Main Us Ke Bare Main Tumhara Aitbaar Nahi Karta Magar Waisa Hi Jaisa Pehle Us
Ke Bhai Ke Bare Main Kia Tha. So Khuda Hi Behtar Nigehban Hai. Aur Wo Sab Se
Ziada Rehem Karne Wala Hai.
65
Aur Jab Unhoun Ne Apna
Asbaab Khola Toh Daikha Ke Un Ka Sarmaya Un Ko Wapas Kar Dia Gaya Hai. Kehne
Lage Abba Hamain Aur Kia Chahiye, Daikhiye Ye Hamari Poonji Bhi Hamain Wapas
Kar Di Gai Hai. Aur Ab Ham Apne Ehl-O-Ayal Ke Liye Phir Ghalla Layen Ge, Aur
Apne Bhai Ki Nigehbaani Karen Ge, Aur Aik Bar-E-Shutter Ziada Layen Ge. Ke Yeh
Ghalla Joh Ham Laye Hain Thora Hai.
66
Yaqoob A.S. Ne Kaha
Jab Tak Tum Khuda Ka Ehed Na Do Ke Us Ko Mere Paas Saheeh-O-Salim Le Ao Ge,
Main Usse Har Gizz Tumhare Sath Nahi Bhaijne Ka. Magar Ye Ke Tum Ghair Liye Jao,
Yaani Be Bas Ho Jao Toh Majboori Hai, Jab Unhoun Ne Un Se Ehed Karaya Toh
Yaqoob A.S. Ne Kaha Ke Joh Qoul-O-Qaraar Ham Kar Rahe Hain Us Ka Khuda Zamin
Hai.
67
Aur Hidayat Ki Ke Beta
Aik Hi Darwaze Se Dakhil Na Hona Balke Juda Juda Darwazoun Se Dakhil Hona. Aur
Main Khuda Ki Taqdeer Toh Tum Se Nahi Rok Sakta. Be Shak Hukum Ussi Ka Hai Main
Ussi Par Bharosa Rakhta Hoon. Aur Ehl-E-Tawakull Ko Ussi Par Bharosa Rakhna Chahiye.
68
Aur Jab Wo Un Un
Maqamaat Se Daakhil Hue Jahan Jahan Se Daakhil Hone Ke Liye Baap Ne Un Se Kaha ,
Toh Wo Tadbeer Khuda Ke Hukum Ko Zara Bhi Taal Nahi Sakti Thi, Haan Wo Yaqoob
Ke Dil Ki Khuahish Thi Joh Unhoun Ne Poori Ki Thi. Aur Be Shak Wo Sahib-E-Ilm
The Kion Ke Ham Ne Unko Ilm Sikhaya Tha Lekin Aksar Loug Nahi Jante.
69
Aur Jab Wo Loug Yousuf
A.S. Ke Paas Pohonche Toh Yousuf A.S. Ne Apne Haqeeqi Bhai Ko Apne Paas Jaga Di
Aur Kaha Ke Main Tumhara Bhai Hoon Toh Jo Salook Ye Hamare Sath Karte Rahe Hain
Us Par Afsos Na Karna.
70
Jab Un Ka Asbaab
Taiyaar Kar Dia Toh Apne Bhai Ke Shaleete Main Glass Rakh Dia Aur Phir Jab Wo
Abaadi Se Bhar Nikal Gaye Toh Aik Pukarne Wale Ne Awaaz Di Ke Qaafle Walo Tum
Toh Chor Ho.
71
Wo Un Ki Taraf
Mutawajoh Ho Kar Kehne Lage Keh Tumhari Kia Cheez Kho Gai Hai.
72
Wo Bole Ke Badshah Ke
Paani Peene Ka Glass Kho Gaya Hai Aur Jo Shakhs Us Ko Le Aaye Us Ke Liye Aik
Baar-E-Shutter (Gift) inaam ,Aur Main Us Ka Zamin Hoon.
73
Wo Kehne Lage Keh
Khuda Ki Qasam Tum Ko Maloom Hai Ke Ham Is Mulk Main Is Liye Nahi Aaye Ke
Kharabi Karain Aur Na Ham Chori Kia Karte Hain.
74
Bole Ke Agar Tum
Jhoote Nikle, Yaani Chori Sabit Hui Toh Us Ki Saza Kia.
75
Unhoun Ne Kaha Ke Is
Ki Saza Ye Ke Jis Ke Shaleete Main Wo Dastiyaab Ho Wo Hi Is Ka Badal Qaraar Dia
Jaye, Ham Zalimoun Ko Yeh Hi Saza Dia Karte Hain.
76
Phir Yousuf A.S. Ne
Apne Bhai Ke Shaleete Se Pehle Un Ke Shaleetoun Ko Daikhna Shoroo Kia Phir Apne
Bhai Ke Shaleete Main Se Us Ko Nikaal Liya. Is Tarha Ham Ne Yousuf Ke Liye Tadbeer Ki, Warna Badshah Ke Qanoon (Law) Ke Mutabiq Wo
Mashiyat-E-Khuda Ke Siwa Apne Bhai Ko Le Nahi Sakte The. Ham Jis Ke Chahte Hain
Darje Buland Karte Hian.Aur Har Ilm Wale Se Doosra Ilm Wala Barh Kar Hai.
77
Bradraan-E-Yousuf A.S.
Ne Kaha Ke Agar us Ne Chori Ki Ho Toh Kuch Ajab Nahi Ke Us Ke Aik Bhai Ne Bhi
Pehle Chori Ki Thi, Yousuf Ne Is Baat Ko Apne Dil Main Makhfi Rakha Aur Un Par
Zahir Na Hone Dia, Aur Kaha Ke Tum Bare Ba Qumaash Ho. Aur Joh Tum Bayan Karte
Ho Khuda Usse Khoob Janta Hai.
78
Wo Kehne Lage Keh Ae Azeez Is Ke Walid (Father) Bohot
Boorhe (Old) Hain Aur Is Se Bohot Mohabbat Rakhte Hain Toh Is Ko Chor Dijiye
Aur Is Ki Jaga Ham Main Se Kisi Ko Rakh Lijiye .Ham Daikhte Hain Ke Aap Ehsaan
Karne Wale Hain.
79
Yousuf Ne Kaha Ke
Khuda Panah Main Rakhe Ke Jis Shakhs Ke Paas Ham Ne Apni Cheez Paai Hai Us Ke
Siwa Kisi Aur Ko Pakar Lain Aisa Karain Toh Ham Bare Be Insaaf Hain.
80
Jab Wo us Se Na Umeed
Ho Gaye Toh Alag Ho Kar Salah (Exchange Of Opinion) Karne Lage. Sab Se Bare Ne
Kaha Kia Tum Nahi Jante Ke Tumhare Walid (Father) Ne Tum Se Khuda Ka Ehed (Promise)
Liya Hai, Aur Is Se Pehle Bhi Tum Yousuf Ke Bare Main Qasoor Kar Chuke Ho, Toh
Jab Tak Walid Sahib Mujhe Hukukm Na Dain Main Toh Is Jaga Se Hilne Ka Nahi. Ya
Khuda Mere Liye Koi Aur Tadbeer Kare. Aur Wo Sab Se Behtar Faisla Karne Wala
Hai.
81
Tum Sab Walid Sahib Ke
Pas Wapas Jaao Aur Kaho Ke Abba Aap Ke
Sahabzade (Son) Ne Wahan Ja Kar Chori Ki. Aur Ham Ne Apni Danast Ke Mutabiq Aap
Se Us Ke le aane Ka Ehed Kia Tha Magar
Ham Gaib Ki Batoun Ko Jaan-Ne Aur Yaad Rakhen Wale Toh Nahi The.
82
Jis Basti Main Ham
Thehre The Wahan Se Yaani Ehl-E-Misr(Egypt)Se Aur Jis Qaafle Main Aaye Hain Us
Se Daryaft Kar Lijiye Aur Ham Is Bayaan Main Bilkul Sache Hain.
83
Jab Unhoun Ne Ye Baat
Yaqoob A.S. Se Aakar Kahi Toh Unhoun Ne Kaha Ke Haqeeqat Youn Nahi Hai Balke
Yeh Baat Tum Ne Apne Dil Se Bana Li Hai Toh Sabar Hi Behtar Hai. Ajab Nahi ke
Khuda Un Sab Ko Mere Paas Le Aye . Be Shak Wo Daana Aur Hikmat Wala Hai.
84
Phir Un Ke Paas Se
Chale Gaye Aur Kehne Lage Keh Haye Afsos
Yousuf A.S. Haye Afsos Aur Ranj-O-Alam Main Un Ki Aankhain Safaid Ho Gayee Aur
Un Ka Dil Gham Se Bhar Raha Tha.
85
Bete Kehne Lage Ke
Wallah Agar Ap Yousuf Ko Issi Tarha Yaad Hi Karte Rahen Ge Toh Ya Toh Bemaar Ho
Jayen Ge Ya Jaan Hi De Dain Ge.
86
Unhoun Ne Kaha Ke Main
Toh Apne Gham-O-Andoh Ka Izhaar Khuda Se Karta Hoon. Aur Agar Khuda Ki Taraf Se
Wo Batain Janata Hon Joh Tum Nahi Jate.
87
Beta Youn Karo Ke Aik
Dafa Phir Jaao Aur Yousuf Aur Us Ke Bhai Ko Talash Karo Aur Khuda Ki Rehmat Se
Na Umeed Na Ho. Ke Khuda Ki Rehmat Se Be Eemaan Loug Na Umeed Hua Karte Hain.
88
Jab Wo Yousuf A.S Ke
Paas Gaye Toh Kehne Lage Ke Azeez Hamain Aur Hamare Ehl-O-Ayaal Ko Bari Takleef
Ho Rahi Hai Aur Ham Thora Sa Sarmaya Laye
Hain Aap Hamain us Ke Iwz Poora Ghalla De Dijiye Aur Khiaraat Kijiye . Ke Khuda
Khairaat Karne Waloun Ko Sawab Deta Hai.
89
Yousuf A.S. Ne Kaha
Tumhain Maloom Hai Ke Jab Tum Nadaani Main Phanse Hue The Toh Tum Ne Yousuf
A.S. Aur Us Ke Bahi Ke Sath Kia Kia Tha.
90
Wo Bole Kia Tum Hi
Yousuf A.S. Ho? Unhoun Ne Kaha Haan Main Hi Yousuf A.S. Hoon. Aur Binyameen Ki
Taraf Ishara Kar Ke Kehne Lage Ye Mera Bhai Hai Khuda Ne Ham Par Bara Ehsaan
Kia Hai . Joh Shakhs Khuda Se Darta Aur Sabar Karta Hai Toh Khuda Naiko Kaaroun
Ka Ajar Zaaya Nahi Karta.
91
Wo Bole Khuda Ki Qasam
Khuda Ne Tum Ko Ham Par Fazeelat Bakhshi Hai Aur Be Shak Ham Khata Kaar The.
92
Yousuf Ne Kaha Ke Aaj
Ke Din Se Tum Par Kuch Aitaab-O-Malamat Nahi Hai. Khuda Tum Ko Moaaf Kare. Aur
Wo Bohot Rehem Karne Wala Hai.
93
Ye Mera Kurrta Le Jao
Aur Isse Walid Sahib Ke Moon Par Daal Do. Wo Beena (Daikhne Lagen Ge) Hojayen
Ge. Aur Apne Tamaam Ehl-O-Ayaal Ko Mere Paas Le Aao.
94
Aur Jab Qaafla Misr (Egypt)
Se Rawana Hua Toh Un Ke Walid Kehne Lage Ke Agar Mujh Ko Ye Na Kaho Ke Boorha (Old)
Behek Gaya Hai Toh Mujhe Toh Yousurf Ki Boo (Smell) Aa Rahi Hai.
95
Wo Bole Ke Wallah Ap ussi
Qadeem Ghalti Main Mubtila Hain.
96
Jab Khushkhabri Dene
Wala Aa Pohoncha Toh Kurrta Yaqoob Ke Moon (Face) Par Daal Dia Aur Wo Beena Ho Gaye
Aur Betoun Se Kehne Lage Kia Main Ne Tum Se Nahi Kaha Tha Ke Main Khuda Ki
Taraf Se Wo Batain Janta Hoon Joh Tum Nahi Jante.
97
Baitoun Ne Kaha, Ke
Abba Hamare Liye Hamare Gunnah Ki Maghfirat Maangiye. Be Shak Ham Khata Kaar
The.
98
Unhoun Ne Kaha Ke Main
Apne Parwardigaar Se Tumhare Liye Bakhshish Maangoon Ga. Be Shak Wo Bakhashne
Wala Meherbaan Hai.
99
Jab Ye Sab Loug Yousuf
Ke Pas Pohonche Toh Yousuf Ne Apne Waldain Ko Apne Paas Bithaya Aur Kaha Misr (Egypt)
Main Dakhil Ho Jaiye Khuda Ne Chaha Toh Khatir-E-Jama Se Reheiye Ga.
100
Aur Apne Waadain Ko
Takht Par Bithaya Aur Sab Yousuf A.S. Ke Aage Sajda Main Girr Pare, Aur Us Waqt
Yousuf Ne Kaha Abba Jaan Ye Mere Is Khuab Ki Taabeer Hai Joh Main Ne Pehle
Bachpan (Childhood) Main Daikha Tha. Mere
Parwardigaar Ne Isse Sach Kar Dia Aur Us Ne Mujh Par Bohot Se Ehsaan Kiye Hain, Ke Mujh Ko Jail Khane Se Nikala.
Aur us Ke Baad Ke Sahitaan Ne Mujh Main Aur Mere Bhaiyoun Main Fisaad Daal Dai Tha. Aap Ko Gaaon Se Yahaan
Laaya .Be Sak Mera Parwardigar Joh Chahta Hai Tadbeer Se Karta Hai.Wo Dana Aur
Hikmat Wala Hai.
101
Jab Ye Sab Baatian Ho
Lee Toh Yousuf Ne Khuda Se Dua Ki Ke Ae Mere Parwrdigar Tu Ne Mujh Ko Hukumat
Se Behra Dia Aur Khuaboun Ki Taabeer Ka Ilm Bakhsha. Ae Aasmaanon Aur Zameen Ke
Paida Karne Wale, Tu Hi Dunia Aur Aakhrat Main Mera Kaarsaz Hai. Tu Mujhe Dunia
Se Apni Itaa-At Ki Halat Main Uthaiyo Aur Aakhrat Main Apne Naik Bandoun Main
Daakhil Kijiyo.
102
Ae Paigambar S.A.W. Ye
Akhbaar-E-Gaib Main Se Hain Joh Ham Tumahri Taraf Bhaijte Hain Aur Jab Biraadran-E-Yousuf
Ne Apni Baat Par Ittifaaq Kai Tha Aur Wo Faraib Kar Rahe The To Tum Un Ke
Paas To Na The.
103
Aur Bohot Se Aadmi Go
Tum Kitni Hi Khuahish Karo Eemaan Lane Wale Nahi Hain.
104
Aur Tum Un Se Is Khair
Khuahi Ka Kuch Sila Bhi Toh Nahi Maangte.Ye Quraan Aur Kuch Nahi Tamaam Aalim
Ke Liye Naseehat Hai.
105
Aur Aasmaan-O-Zameen
Main Bohot Si Nishaniyan Hain Jin Par Ye Guzarte Hain Aur Un Se Airaaz Karte
Hain.
106
Aur Ye Aksar Khuda Par
Eemaan Nahi Rakhte.Magar Us Ke Sath Shirk Karte Hian.
107
Kia Ye Is Baat Se Be
Khof Hain Ke In Par Khuda Ka Azaab Nazil Ho Kar Un Ko Dhaamp Le, Ya Un Par Na
Gahaan Qiamat Aa Jaye Aur Unhain Khabar Bhi Na Ho.
108
Keh Do Mera Rasta To
Ye Hai, Main Khuda Ki Taraf Bulata Hoon Az-Roo-E-Yaqeen-O-Burhaan Samajh Boojh
Kar Main Bhi Lougon Ko Khuda Ki Taraf
Bulata Hoon Aur Mere Pairo Bhi. Aur Khuda Paak Hai. Aur Main Shirk Karne Waloun Main Se Nahi
Hoon.
109
Aur Ham Ne Tum Se
Pehle Bastiyoun Ke Rehne Waloun Main Se Mard Hi Bhaije The Jin Ki Taraf Ham
Wahi Bhaijte The. Kia Un Lougon Ne Mulk Main Sair-O-Saiyaahat Nahi Ki, Ke Daikh
Lete Ke Joh Loug Un Se Pehle The Un Ka Anjaam Kia Hua. Aur Muttaqiyoun Ke Liye Aakhrat Ka Ghar Bohot Acha Hai.Kia
Tum Samajhte Nahi?
110
Yahan Tak Ke Jab
Paigambar Na Umeed Ho Gaye Aur Unhoun Ne Khayaal Kia Ke Apni Nusrat Ke Bare
Main Joh Baat Unhoun Ne Kahi Thi Us Main Wo Sache Na Nikle Toh Un Ke Paas
Hamari Madad Aa Pohonchi . Phir Jisse Ham Ne Chaha Bacha Dia. Aur Hamara Azaab
Utar Kar Gunnehgaar Lougon Se Phira Nahi Karta.
111
Un Ke Qisse Main
Aqalmandoun Ke Liye Ibrat Hai. Ye Quraan Aisi Baat Nahi Hai Joh Apne Dil Se
Bana Li Gai Ho Balke Joh Kitaabain Is Se Pehle Nazil Hui Hain Un Ki Tasdeeq
Karne Wala Hai, Aur Har Cheez Ki Tafseel Karne Wala Aur Mominoun Ke Liye
Hidayat Aur Rehmat Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!