Wednesday, 4 May 2016

11-Soorah Hood-Aayat-123


Soorah-e-Hood



Soorah Number 11


Aayaat 123


Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai

1
Alif Laam Raa Yeh Wo Kitaab Hai Jis Ki Aayatain Mustehkam Hain Aur Khuda-E-Hakeem-O-Khabeer Ki Taraf Se Ba Tafseel Bayan Kar Di Gai Hain.

2
Wo Yeh Ke Khuda Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo Aur Main Us Ki Taraf Se Tum Ko Darr Sunaane Wala Aur Khushkhabri Dene Wala Hoon.

3
Aur Yeh Ke Apne Parwardigaar Se Bakhshish Mango Aur Us Ke  Aage Touba Karo, Wo Tum Ko Aik Waqt-E-Muqarrar (Fix Time) Tak Mataa-E-Naik Se Behra Mand Kare Ga Aur Har Sahib-E-Buzurgi Ko Us Ki Buzurgi Ki Daad De Ga.Aur Agar Ruu Gardaani Karo Ge Toh Mujhe Tumhare Bare Main Qiamat Ke Bare Din Ke Azaab Ka Darr Hai.

4
Tum Sab Ko Khuda Ki Taraf Lout Kar Jaana Hai Aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai.




5
Daikho Yeh Apne Seenoun(Chest) Ko Dohra Karte Hain Taa-Ake Khuda Se Parda Karain.Sunn Rakho Jis Waqt Yeh Kaproun(Cloths) Main Lipat Kar Parte Hain Tab Bhi, Wo Un Ki Chupi Aur Khuli Batoun Ko Jaanta Hai. Wo  Toh Diloun (Hearts) Tak Ki Batoun Se Aagaah Hai.

6
Aur Zameen Par Koi Chalne Phirne Wala Nahi Magar Us Ka Rizq Khuda Ke Zimme Hai, Wo Jahaan Rehta Hai , Usse Bhi Janta Hai Aur Jahan Sounpa Jata Hai Usse Bhi . Yeh Sab Kuch Kitaab-E-Roshan Main Likha Hua Hai.

7
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Che(6) Dinn Main Banaya Aur Us Waqt Us Ka Arsh Paani Par Tha.Tumhare Paida Karne Se Maqsood Yeh Hai Ke Wo Tum Ko Aazmaaye, Ke Tum Main Amal Ke  Lehaaz Se Koun Behtar Hai Aur Agar Tum Kaho Ke Tum Loug Marne Ke Baad Zinda Kar Ke Uthaye Jaao Ge Toh Kaafir Keh Dain Ge, Ke Ye Toh Khula Jaadu Hai.

8
Aur Agar Aik Muddat-E-Moiyaan (Fix Time) Tak Ham Un Se Azaab Rok Dain Toh Kahain GE Ke Koun Si Cheez Azaab Roke Hue Hai.Daikho Jis Roz Wo Un Par Waqe Hoga Phir Tallne Ka Nahi, Aur Jis Cheez Ke Sath  Yeh Istehzaa Kia Karte Hain Wo Un Ko Ghair Le Gi.

9
Aur Agar Ham Insaan Ko Apne Paas Se Naimat Bakhshain Phir Us Se Us Ko Cheen Lain Toh Na Umeed Aur Na Shukra Ho Jata Hai.

10
Aur Agar Takleef Pohonchne Ke Baad Aasaaish Ka Mazah Chakhaayen, Toh Khush Ho Kar Kehta Hai Ke  Aa-Ha Sab Sakhtiyan Mujh Se Door Ho Gayee. Be Shak Wo Khushiyan Manaane Wala Aur Fakhar Karne Wala  Hai.
11
Haan Jinhoun Ne Sabar Kia Aur Amal-E-Naik Kiye. Yeh Hi  Hain Jin Ke Liye Bakhshish Aur Ajar-E-Azeem Hai.

12
Shayad Tum Kuch Cheez Wahi Main Se Joh Tumhare Paas Aati Hai Chor Do, Aur Is Khayaal Se Tumhara Dil Tang Ho Kar, Keh  Kaafir Yeh Kehne Lagain Ke Us Par Koi Khazana Kion Nahi Naazil Hua, Ya  Us Ke Sath Koi Farishta Kion Nahi Aaya. Ae Muhammad S.A.W.  ! Tum  Toh Sirf Naseehat Karne Wale Ho. Aur Khuda Har Cheez Ka Nigehbaan Hai.

13
Ye Kia Kehte Hain Ke Us Ne Quran Az Khud Bana Liya Hai? Keh Do Ke Agar Sachhe Ho Toh Tum Bhi Aisi Das (10) Soortain Bana Laao Aur Khuda Ke Siwa Jis Ko Bula Sakte Ho ,Bula Bhi Lo.

14
Aur Agar Wo Tumhari Baat Qabool Na Karain Toh Jaan Lo Ke Wo Khuda Ke Ilm Se Utra Hai, Aur Yeh Ke Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi Toh Tumhain Bhi Islam Le Aana Chahiye.

15
Joh Loug Dunia Ki Zindagi Aur Us Ki Zaib-O-Zeenat Ke Taalib Houn Ham Un Ke Aamaal Ka Badla Unhain Dunia Main Hi De Dete Hain Aur Us Main Un Ki Haq Talfi Nahi Ki Jaati.

16
Yeh Wo Loug Hain Jin Ke Liye Aakharat Main Aatish-E-Jahannum Ke Siwa Aur Kuch Nahi Aur Joh Amal Unhoun Ne Dunia Main Kiye Sab Barbaad Aur Joh Kuch Wo Karte Rahe Sab Zaaya Hua.

17
Bhala Joh Loug Apne Parwardigaar Ki Taraf Se Roshan Daleel Rakhte Houn Aur Un Ke Sath Aik Aasmaani Gawah Bhi Us Ki Janib Se Hom Aur Us Se Pehle Moosa Ki Kitaab Ho Joh Paishwa Aur Rehmat Hai, Toh Kia Wo Quraan Par Eemaan Nahi Layen Ge, Yeh Hi Loug Toh Us Par Eemaan Late Hain, Aur Joh Koi Aur Firqoun Main Se Un Se Munkir Ho Toh Us Ka Thikana Aag Hai. Toh Tum is Quraan Se Shak Main Na Hona. Yeh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai Lekin Aksar Loug Eemaan Nahi Late.

18
Aur Us Se Barh Kar Zaalim Koun Hoga Joh Khuda Par Jhoot Iftiraa Kare, Aise Loug Khuda Ke Saamne Paish Kiye Jayen Ge Aur Gawah Kahain GE Ke Yehi Loug Hain Jinhoun Ne Apne Parwardigaar  Par Jhoot Bola Tha. Sunn Rakho Ke Zalimoun Par Khuda Ki Laanat Hai.

19
Joh Khuda Ke Raste Se Rokte Aur Us Main Kajji Chahte Hain Aur Wo Aakhrat Se Bhi Inkaar Karte Hain.

20
Yeh Loug Zameen Main Kaheen Bhaag Kar Khuda Ko Hara Nahi Sakte, Aur Na Khuda Ke Siwa Koi Un Ka Himaayati Hai. Ae Paigambar S.A.W.  in Ko Dugna Azaab Dia Jaye Ga, Kion Keh Yeh  Shiddat-E-Kufur Se Tumhari Baat Nahi Sunn Sakte The Aur Na Tum Ko Daikh Sakte The.

21
Yehi Hain Jinhoun Ne Apne Taiee (Themselves) Khasaare Main Daala Aur Joh Kuch Wo Iftiraa Kia Karte The Un Se Jaata Raha.

22
Bila Shuba (No Doubt) Yeh Loug Akhrat Main Sab Se Ziada Nuqsaan Paane Wale Hain.

23
Joh Loug Eemaan Laaye Aur Amal-E-Naik Kiye Apne Parwardigaar Ke  Aage Aajzi Ki. Yeh Hi Sahib-E-Jannat Hain Hamesha Us Main Rahain Ge.



24
Dono Firqoun Yaani Kaafir-O-Momin Ki Misaal Aisi Hai Jaise Aik Andha Behra Ho Aur Aik Daikhta Sunta . Bhala Dono Ka Haal Yaksaan Ho Sakta Hai? Phir Tum Sochte Kion Nahi ?

25
Aur Ham Ne Nooh Ko Un Ki Qoum Ki Taraf Bhaija Toh Unhoun Ne Un Se Kaha, Ke Main Tum Ko Khol Khol Kar Darr Sunaane Aur Yeh Paigaam Pohonchane Aaya Hoon.

26
Ke Khuda Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo. Mujhe Tumhari Nisbat Azaab-E-Aleem Ka Khof Hai.

27
Toh Un Ki Qoum Ke Sardar Joh Kaafir The Kehne Lage, Keh Ham Tum Ko Apne Hi Jaisa Aik Aadmi Daikhte Hain, Aur Ye Bhi Daikhte Hain Ke Tumhare Pairo Wo Hi Loug Hue Hain, Joh Ham Main Adna Darje  Ke Hain. Aur Wo Bhi Raay-E-Zahir Se, Na ghOur-O-Taamull Se Aur Ham Tum Main Apne Oopar Kisi Tarha Ki Fazeelat Nahi Daikhte Balke Tumhain Jhoota KhayaL karte Hain.
28
Unhoun Ne Kaha Keh Ae Qoum ! Daikho Toh Agar Main Apne Parwardigaar Ki Taraf Se Daleel-E-Roshan Rakhta Hoon, Aur Us Ne Mujeh Apne Haan Se Rehmat Bakhshi Ho, Jis Ki Haqeeqat Tum Se Poshida Rakhi Gai Hai. Toh Kia Ham Us Ke Liye Tumhain Majboor Kar Sakte Hain Aur Tum Ho Ke Us Se Na Khush Ho Rahe Ho.

29
Aur Ae Qoum ! Main is Naseehat Ke Badle Tum Se Maal-O-Zarr Ka Khuahaan Nahi Hoon, Mera Sila Toh Khuda Ke Zimme Hai, Aur Joh Loug Eemaan Laaye Hain ,Main Un io Nikaalne Wala Bhi Nahi Hoon.Wo Toh Apne Parwardigaar Se Milne Wale Hain Lekin Main Daikta Hoon Ke Tum Loug Nadaani Kar Rahe Ho.



30
Aur Baradraan-E-Millat ! Agar Main Un Ko Nikaal Doon Toh Azaab-E-Khuda Se Bachaane Ke Liye Koun Meri Madad Kar Sakta Hai. Bhala Tum Ghour Kion Nahi Karte?

31
Main Na Tum Se Yeh Kehta Hoon Ke Mere Paas Khuda Ke Khazaane Hain, Aur Na Ye Ke, Main Ghaib Jaanta Hoon Aur Na Ye  Kehta Hoon Ke Main Farishta Hoon, Aur Na Un Lougon Ki Nisbat Jin Ko Tum Haqarat Ki Nazar Se Daikhte Ho Yeh Kehta Hoon Ke Khuda Un Ko Bhali Yaani Amaal Ki Jazaye-E-Naik Nahi Dega, Joh Un Ke Diloun Main Hai Usse Khuda Khoob Jaanta Hai. Agar Main Aisa Kahoon Toh Be Insaafoun Main Hoon.

32
Unhoun Ne Kaha Ke nOoh Tum Ne Ham Se Jhagra Toh Kia Aur Jhagra Bhi Bohot Kia. Lekin Agar Sache Ho Toh Jis Cheez Se Hamain Daraate Ho Wo Ham Par La Nazil Karo.

33
Nooh Ne Kaha Ke Us Ko Khuda Hi Chaahe Ga tOh Nazil Kare Ga. Aur Tum Us Ko Kisi Tarha Hara Nahi Sakte.

34
Aur Agar Main Yeh Chahoon Ke Tumhari Khair Khuahi Karoon Aur Khuda Yeh Chahahe Ke Tumhain Gumraah Kare, Toh Meri Khair Khuahi Tum Ko Kuch Faaida Nahi De Sakti. Wohi Tumhara Parwardigaar Hai Aur Tumhain Usi Ki Taraf Lout Kar Jaana Hai.

35
Kia Yeh Kehte Hain Ke is Paigambar Ne Quraan Apne Dil Se Bana Liya Hai. Keh Do Ke Agar Main Ne Dil Se Bana Liya Hai Toh Mere Gunnahah Ka Wabaal Mujh Par Aur Joh Gunnah Tum Karte Ho Uss Se Main Bari-Uz-Zimma Hoon.



36
Aur Nooh Ki Taraf Wahi Ki Gai Ke Tumhari Qoum Main Joh Loug Eemaan La Chuke, (La Chuke),Un Ke Siwa Aur Koi Eemaan Nahi Laye Ga tOh Joh Kaam Yeh Kar Rahe Hain Un Ki Waja Se Gham Na Khaao.

37
Aur Aik Kashti Hamare Hukum Se Hamare Ru Baru Banao. Aur Joh Loug Zalim Hain Un Ke Bare Main Ham Se Kuch Na Kehna Kion Ke Wo Zaroor Gharaq Kar Diye Jayen Ge.

38
Toh Nooh Ne Kashti Banana Shroo Kar Di. Aur Jab Un Ki Qoum Ke Sardaar Un Ke Paas Se Guzarte Toh Un Se Tamaskhurr Karte. Wo Kehte Ke Agar Tum Ham Se Tamaskhur (Mazak-Fun) Karte Ho Toh Jis Tarha Tum Ham Se Tamaskhuur Karte Ho isi Tarha Aik Waqt Ham Bhi Tum Se Tamaskhar Karen Ge.

39
Aur Tum Ko Jald Maloom Ho Jaye Ga Ke Kis Par Azaab Aata Hai Joh Usse Ruswa Kare Ga Aur Kis Par Hamesha Ka Azaab Nazil Hota Hai.

40
Yahan Tak Ke Jab Hamara Hukum Aa Pohoncha Aur Tanoor Josh Maarne Laga Toh Ham Ne Nooh Ko Hukum Dia, Ke Har Qisam Ke Jaandaaroun Main Se, Jora Jora, Yaani Do Do Janwar. Aik Aik Nar Aur Aik Aik Maada Le Lo, Aur Jis Shakhs Ki Nisbat Hukum Ho Chukka Hai Ke Hlaak Ho Jaye Ga Us Ko Chor Kar Apne Ghar Waaloun Ko, aur Joh Eemaan Laaya Ho Us Ko Kashti Main Sawaar Kar Lo Aur Un Ke Sath Eemaan Bohot Hi Kam Loug Laay The.

41
Hoon Ne Kaha Ke Khuda Ka Naam Le Kar Ke Ussi Ke Hath Main is Ka Chalna Aur Teherna Hai is Main Sawar Ho Jao .Be Shak Mera Parwardigaar Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

42
Aur Wo Un Ko Le Kar Toofaan Ki Lehroun Main Chalne Lagi. Lehrain Kia Theen Goya Pahaar The, Us Waqt Nooh Ne Apne Bete Ko, Ke Kashti Se Alag Tha Pukara Ke Beta Hamare Sath Sawar Ho Ja Aur Kaafiroun Main Shamil Na Ho.

43
Us Ne Kaha Ke Main Abhi Pahaar Se Ja Lagoon Ga, Wo Mujhe Paani Se Bacha Le Ga. Unhoun Ne Kaha Ke Aaj Khuda Ke Azaab Se Koi Bachane Wala Nahi, Aur Na Koi Bach Sakta Hai  Magar Us Par Khuda Rehem Kare. Itne Main Dono Ke Darmayan Leher Aa Hail Hui Aur Wo Doob Kar Reh Gaya.

44
Aur Hukum Dia Gaya Ke Ae Zameen Apna Paani Nigal Ja Aur Ae Aasmaan Tham Ja. Toh Paani Khushk Ho Gaya Aur Kaam Tamaam Kar Dia Gaya Aur Kashti Koh-E-Joodi Par Ja Tehri. Aur Keh Dia Gaya Ke Be Insaaf Lougon Pe Laanat.

45
Aur Nooh Ne Apne Parwardigaar Ko Pukara  Aur Kaha Ke Parwardigaar Mere Beta Bhi Mere Ghar Waloun Main Hai, Toh Us Ko Bhi Nijaat De, Tera Waada Sacha Hai Aur Tu Sab Se Behtar Haakim Hai.

46
Khuda Ne Farmaya Ke Nooh Wo Tere Ghar Waloun Main Nahi Hai Wo Toh Na Shaaista Afaal Hai, Toh Jis Cheez Ki Tum Ko Haqeeqat Maloom Nahi Us Ke Baare Main Mujh Se Sawal Hi Na Karo. Aur Main Tum Ko Naseehat Karta Hoon Ke Nadaan Na Bano.

47
Nooh Ne Kaha Parwardigaar Main Tujh Se Panaah Mangta Hoon Ke Aisi Cheez Ka Tujh Se Sawal Karoon Jis Ki Haqeeqat Mujhe Malom Nahi. Aur Agar Tu Mujhe Nahi Bakhshe Ga Aur Mujh Par Rehem  Nahi Kare Ga Toh Main Tabaah Ho Jaoonga.

48
Hukum Hua Ke Nooh Hamari Taraf Se Slamti Aur Barkatoun Ke Sath Joh Tum Par Aur Tumhare Sath Ki Jamaatoun Par Nazil Ki Gai Hain Utar Aao. Aur Kuch Aur Jamaatain Houngi Jin Ko Ham Dunia Ke Fawaaid Se Mehzooz Karen Ge, Phir Un Ko Hamari Taraf Se Azaab-E-Aleem Pohonche Ga.

49
Yeh Halaat Minjumla Gaib Ki Khabroun (News) Ke Hain Joh Ham Tumhari Taraf Bhaijte Hain. Aur Us Se Pehle Na Tum Hi Un Ko Jaante The Aur Na Tumhari Qoum Hi Un Se Waqif Thi, Toh Sabar Karo Ke  Anjaam Parhaizgaaroun Hi Ka Bhala Hai.

50
Aur Ham Ne Aad Ki Taraf Un Ke Bhai Hood Ko Bhaija Unhoun Ne Kaha Ke Meri Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat Karo, Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi.Tum Shirk Kar Ke Khuda Par Mehez Bohtaan  Baandhte Ho.

51
Meri Qoum ! Main Is Waaz-O-Naseehat Ka Tum Se Kuch Sila Nahi Mangta.Mera Sila Toh Us Ke Zimme Hai Jis Ne Mujhe Paida Kia. Bhala Tum Samajhte Kion Nahi?

52
Aur Ae Qoum! Apne Parwardigaar Se Bakhshish Mango Phir Us Ke  Aage Touba Karo. Wo Tum Par Asmaan Se Moosladhaar Meenh (Rain) Barsaaye Ga, Aur Tumhari Taqat Par Taaqat Barhaaye Ga Aur Daikho Gunnehgaar Ban Kar Ru Gardaani Na Karo.

53
Wo Bole Hood Tum Hamare Paas Koi Daleel Zahir Nahi Laye Aur Ham Sirf Tumhare Kehne Se Na Apne Maaboodoun Ko Chorne Wale Hain, Aur Na Tum Par Eemaan Lane Wale Hain.



54
Ham Toh Ye Samajhte Hain Ke Hamare Kisi Maabood Ne, Tumhain Aasaib Pohoncha Kar Deewana Kar Dia Hai. Unhoun Ne Kaha Ke Main Khuda Ko Gawaah Karta Hoon Aur Tum Bhi Gawaah Raho Ke Jin Ko Tum Khuda Ka Shareek Banate Ho Main Un Se Baizaar Hoon.

55
Yaani Jin Ki Khuda Ke Siwa Ibadat Karte Ho, Toh Tum Sab Mil Kar Mere Bare Main Joh Tadbeer Karni Chaho, Kar Lo, Aur Mujhe Mohlat Na Do.

56
Main Khuda Par Joh Mera Aur Tumhara Sab Ka Parwardigaar Hai Bharosa Rakhta Hoon, Zameen Par Joh Chalne Phirne Wala Hai Wo Is Ko Choti Se Pakre Hue Hai. Be Shak Mera Parwardigaar Seedhe Raste Par Hai.

57
Agar Tum Ru Gardaani Karo Ge, Toh Joh Paigaam Mere Hath Tumahri Taraf Bhahija Gaya Hai, Wo Main Ne Tumhain Pohoncha Dia Hai. Aur Mera Parwardigaar Tumhari Jaga Aur Lougon Ko La Basaye Ga. Aur Tum Khuda Ka Kuch Bhi Nuqsaan Nahi Kar Sakte. Mera Parwardigar Toh Har Cheez Par Nigehbaan Hai.

58
Aur Jab Hamara Hukum-E-Azaab Aa Pohoncha Toh Ham Ne Hood Ko Aur Joh Log Un Ke Sath Eemaan Laye The Un Ko Apni Meherbaani Se Bacha Liya. Aur Unhain Azaab-E-Shadeed Se Nijaat Di.

59
Ye Wo Hi Aad Hain Jinhoun Ne Khuda Ki Nishaniyon Se Inkaar Kia Aur Us Ke Paigambaroun Ki Nafarmaani Ki Aur Har Sarkash-O-Mutakabbar Ka Kaha Maana.



60
Toh Is Dunia Main Bhi Laaanat Un Ke Peeche Lagi Rahi Aur Qiamat Ke Din Bhi Lagi Rahe Gi. Daikho Aad Ne Apne Parwardigaar Se Kufur Kia. Aur Sunn Rakho,  Hood Ki Qoum Aad Par Phitkaar Hai.

61
Aur Samood Ki Taraf Un Ke Bhai Sualeh Ko Bhaija, Toh Unhoun Ne Kaha Ke Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat Karo, Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi. Ussi Ne Tum Ko Zameen Se Paida Kia Aur is Main Aabaad Kia Toh Us Se Magfirat Mango Aur Us Ke Aage Touba Karo. Be Shak Mera Parwardigaar Nazdeek Bhi Hai Aur Dua Ka Qabool Karne Wala Bhi Hai.

62
Unhoun Ne Kaha Ke Sualeh is Se Pehle Ham Tum Se Kai Tarha Ki Umeedain Rakhte The, Ab Wo Munqataa Ho gayee, Kia Tum Ham Ko Un Cheezoun Se Mana Karte Ho Jin Ko Hamare Buzurg Poojte Aaye Hain? Aur Jis Baat Ki Taraf Tum Hamain Bulate Ho, Us Main Hamain Qawi Shuba Hai.

63
Sualeh Ne Kaha Qoum! Bhala Daikho Toh Agar Main Apne Parwardigaar Ki Taraf Se Khuli Daleel Par Hoon, Aur Us Ne Mujhe Apne Haan Se Naboowat Ki Naimat Bakhshi Ho, Toh Agar Main Khuda Ki Nafarmani Karoon Toh Us Ke Samane Meri Koun Madad Kare Ga? Tum Toh, Kufur Ki Batoun Se Mera Nuqsaan Karte Ho.

64
Aur Yeh Bhi Kaha Ke Ae Qoum! Yeh Khuda Ki Oontni (Camal) Tumhare Liye Aik Nishaani Yaani Moujza Hai Toh Is Ko Chor Do Ke Khuda Ki Zameen Main Jahan Chahe Chare, Aur Is Ko Kisi Tarha Ki Takleef  Na Dena Warna Tumhain Jald Azaab Aa Pakre Ga.

65
Magar Unhoun Ne Is Ki Koonchain Kaat Daali.Toh Sualeh Ne Kaha Ke Apne Gharoun Main Teen Din Aur Faaide Utha Lo.Yeh Wada Hai Ke Jhoota Na Hoga.
66
Jab Hamara Hukum Aa Gaya Toh Ham Ne Sualeh Ko Aur Jo Loug Un Ke Sath Emaan Laye The, Un Ko, Apni Meherbaani Se Bacha Liya.Aur Us Din Ke Ruswaai Se Mehfooz Rakha.Be Shak Tumhara Parwardigaar Taqatwar Aur Zabardast Hai.

67
Aur Jin Lougon Ne Zulm Kia Tha Un Ko Chinghaar Ki Soorat Main Azaab Ne Aa Pakra To Wo Apne Gharoun Main Oundhe Pare Reh Gaye.

68
Goya Kabhi Un Main Base Hi Na The. Sunn Rakho Ke Samood Ne Apne Parwardigaar Se Kufur Kia. Aur Sun Rakho Samood Par Phitkaar Hai.

69
Aur Hamare Farishte Ibraahim Ke Paas Bisharat Le Kar Aaye, Toh Salam Kaha. Unhoun Ne Bhi Jawab Main Salam Kaha. Abhi Kuch Waqfa Nahi Hua Tha Ke Ibrahim Aik Bhuna Hua Bachra Le Aaye.

70
Jab Daikha Ke Un Ke Hath Khaane Ki Taraf Nahi Jaate Yaani Wo Khana Nahi Khaate Toh Un Ko Ajnabi Samajh Kar Dil Main Khof Kia. Farishtoun Ne Kaha Ke Khof Na Kijiye , Ham Qoum-E-Loot Ki Taraf Un Ke Halak Karne Ko Bhaije Gaye Hain.

71
Aur Ibrahim Ki Biwi Joh Paas Khari Thi, Hans Pari Toh Ham Ne Us Ko Ishaq Ki Aur Ishaq Ke Baad Yaqoob Ki Khushkhabri Di.

72
Us Ne Kaha Ae Hai Mere Bacha Hoga? Main Toh Burhiya Hoon Aur Yeh Mere Miyan Bhi Boorhe Hain. Ye Toh Bari Ajeeb Baat Hai.



73
Unhoun Ne Kaha Kia Tum Khuda Ki Qudrat Se Taajub Karti Ho? Ae Ehl-E-Bait Tum Par Khuda Ki Rehmat Aur Us Ki Barkatain Hain. Wo Sazawaar-E-Taareef Aur Buzurgwaar Hai.

74
Jab Ibrahim A.S. Se Khof Jaata Raha Aur Un Ko Khushkhabri  Bhi Mill Gai Toh Qoum-E-Loot Ke Bare Main Lage Ham Se Behes Karne.

75
Beshak Ibrahim A.S.Bare Tahammul Wale, Naram Dil Aur Rujoo Karne Wale The.

76
Ae Ibrahim A.S. Is Baat Ko Jaane Do.Tumhare Parwardigaar Ka Hukum Aa Pohoncha Hai.Aur Un Lougon Par Azaab Aane Wala Hai Joh Kabhi Nahi Talne Ka.

77
Aur Jab Hamare Farishte Loot A.S. Ke Paas Aaye Toh Wo Un Ke Aane Se Ghamnaak Aur Tang Dil Hue Aur Kehne Lage  Keh Aaj Ka Din Bari Mushkil Ka Din Hai.

78
Aur Loot A.S. Ki Qoum Ke Loug Un Ke Paas Be Tahaasha Dourte Hue Aye Aur Ye Loug Pehle Hi Se Fail-E-Shaneeh Kia Karte The. Loot Ne Kaha Ke Ae Qoum! Yeh Joh Meri Qoum Ki Larkiyan Hain,Yeh Tumhare Liye Jaaiz Aur Paak Hain. Toh Khuda Se Daro Aur Mere Mehmaanoun Ke Bare Main Meri Aabru Na Kho. Kia Tum Main Koi Bhi Shaaista Aadmi Nahi.

79
Wo Bole Tum Ko Maloom Hai Ke Tumhari Qoum Ki Baitiyoun Ki Hamain Kuch Haajat Nahi. Aur Joh Hamari Garz Hai Usse Tum Khoob Jaante Ho.

80
Loot A.S. Ne Kaha Ae Kaash Mujh Main Tumhare Muqaable Ki Taqat Hoti Ya Kisi Mazboot Qille Main Panaah Pakar Sakta.

81
Farishtoun Ne Kaha Ke Loot A.S. Ham Tumhare Parwardigaar Ke Farishte Hain. Yeh Loug Har Gizz Tum Tak Nahi Pohonch Sakain Ge,  Toh Kuch Raat Rahe Se Apne Ghar Waloun Ko Le Kar Chal Do Aur Tum Main Se Koi Shakhs Peeche Phir Kar Na Daikhe. Magar Tumahari Biwi, Ke Joh Aafat Un Par Parne Wali Hai Wo Hi Us Par Pare Gi. Un Ke Azaab Ke waade Ka Waqt Subh Hai. Aur Kia Subh Kuch Door Hai?

82
Toh Jab Hamara Hukum Aaya Ham Ne Us Basti Ko Ulat Kar Neeche Oopar Kar Dia Aur Un Par Pathar Ki Teh Ba Teh Yaani Pae Dar Pae Kankriyan Barsaayeen.

83
Jin Par Tumhare Parwardigaar Ke Haan Se Nishaan Kiye Hue The Aur Wo Basti Un Zaalimoun Se Kuch Door Nahi.

84
Aur Madyan Ki Taraf Un Ke Bhai Shoaib Ko Bhaija Toh Unhoun Ne Kaha Ke Ae Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat Karo Ke Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi.Aur Maap Aur Toul Main Kami Na Kia Karo. Main Toh Tum Ko Aasooda Haal Daikhta Hoon Aur Agar Tum Eemaan Na Lao Ge, To Mujhe Tumahre Bare Main Aik Aise Din Ke Azaab Ka Khof Hai Joh Tum Ko Ghair Kar Rahe Ga.

85
Aur Qoum! Maap Aur Toul Insaaf Ke Sath Poori Poori Kia Karo Aur Lougon Ko Un Ki Cheezain Kam Na Dia Karo Aur Zameen Main Kharabi Karte Na Phiro.



86
Agar Tum Ko Mere Kehne Ka Yaqeen Ho Toh Khuda Ka Dia Hua Nafa Hi Tumhare Liye Behtar Hai, Aur Main Tumhara Nigehbaan Nahi Hoon.

87
Unhoun Ne Kaha Shoaib Kia Tumhari Namaaz Tumhain Ye Sikhati Hai Ke Jin Ko Hamare Baap Dada Poojte Aaye Hain, Ham Un Ko Tark Kar Dain Ya Apne Maal Main Tassrruf Karna Chahain Toh Na Karain. Tum Toh Bare Narm Dil Aur Raast Baaz Ho.

88
Unhoun Ne Kaha Ke Ae Qoum! Daikho Toh Agar Main Apne Parwardigaar Ki Taraf Se Daleel-E-Roshan Par Hoon Aur Us Ne Apne Haan Se Mujhe Naik Rozi Di Ho, Toh Kia Main Un Ke Khilaaf Karoonga? Aur Main Nahi Chahata Ke Jis Amar Se Main Tumahin Mana Karoon Khud Us Ko Karne Lagoon. Main Toh Jahan Tak Mujh Se Ho Sake Tumahre Moaamlaat Ki Islaah Chahta Hoon, Aur Is Bare Main Mujhe Toufeeq Ka Milna Khuda Hi Ke Fazal Se Hai. Main Usi Par Bharosa Rakhta Hoon Aur Usi Ki Taraf Rujoo Karta Hoon.

89
Aur Ae Qoum! Meri Mukhalfat Tum Se Koi Aisa Kaam Na Kara De Ke Jaisi Museebat Nooh Ki Qoum Ya Hood Ki Qoum Ya Saaleh Ki Qoum Par Waaqe Hue Thi, Waisi Hi Museebat Tum Par Waaqe Ho. Aur Loot Ki Qoum Ka Zamana Toh Tum Se Kuch Door Nahi.

90
Aur Apne Parwardigar Se Bakhshish Mango Aur Us Ke Aage Touba Karo. Be Shak Mera Parwardigaar Rehem Wala Aur Mohabbat Wala Hai.






91
Unhoun Ne Kaha Ke Shoaib, Tumhari Bohot Si Batain Hamari Samajh Main Nahi Aati, Aur Ham Daikhte Hain Ke Tum Ham Main Kamzor Bhi Ho, Aur Agar Tumhare Bhai Na Hote Toh Ham Tum Ko Sangsaar Kar Dete, Aur Tum Ham Par Kisi Tarha Bhi Gaalib Nahi Ho.

92
Unhoun Ne Kaha Ke Qoum! Kia Mere Bhai Bandoun Ka Dabaow Tum Par Khuda Se Ziada Hai. Aur Us Ko Tum Ne Peeth Peeche Daal Rakha Hai. Mera Parwardigaar Toh Tumhare Sab Aamaal Par Aahata Kiye Hue Hai.

93
Aur Biraadraan-E-Millat ! Tum Apni Jaga Kaam Kiye Jao Main Apni Jaga Kaam Kiye Jata Hoon. Tum Ko Anqareeb Maloom Ho Jaye Ga Ke Ruswa Karne Wala Azzaab Kis Par Aata Hai Aur Jhoota Koun Hai, Aur Tum Bhi Intizar Karo, Main Bhi Tumhare Sath Intizar Karta Hoon.

94
Aur Jab Hamara Hukum Aa Pohoncha Toh Ham Ne Shoaib Ko Aur Joh Loug Un Ke Sath Eemaan Laye The Un Ko Toh Apni Rehmat Se Bahcha Liya. Aur Joh Zalim The Un Ko Chinghaar Ne Aa Dabocha Toh Wo Apne Gharoun Main Ondhe Pare Reh Gaye.

95
Goya Un Main Kabhi Base Hi Na The. Sun Rakho Ke Madyan Par Waisi Hi Phitkaar Hai Jaisi Samood Par Phitkaar Thi.

96
Aur Ham Ne Moosa Ko Apni Nishaniyan Aur Daleel-E-Roshan De Kar Bhaija.

97
Yaani Firown Aur Us Ke Sardaroun Ki Taraf . Toh Wo Firown Hi Ke Hukum Par Chale. Aur Firown Ka Hukum Durust Nahi Tha.
98
Wo Qiamat Ke Din Apni Qoum Ke Aage Aage Chale Ga Aur Unko Dozakh Main Ja Utare Ga Aur Jis Maqaam Par Wo Utare Jayen Ge Wo Bura Hai.

99
Aur Is Jahan Main Bhi Laanat Un Ke Peeche Laga Di Gai, Aur Qiamat Ke Din Bhi Peeche Lagi Rahe Gi. Joh Inaam Un Ko Mila Hai Bura Hai.

100
Yeh Purani Bastiyon Ke Thore Se Halaat Hain, Joh Ham Tum Se Biyan Karte Hain. Un Main Se Baaz Toh Baqi Hain, Aur Baaz Ka Tehes Nehes Ho Gaya.

101
Aur Ham Ne Un Lougon Par Zulm Nahi Kaim Balke Unhoun Ne Khud Apne Oopar Zulm Kia. Garz Jab Tumahre Parwardigaar Ka Hukum Aa Pohoncha Toh Jin Maaboodoun Ko Wo Khuda Ke Siwa Pukara Karte The, Wo Un Ke Kuch Bhi Kaam Na Aaye. Aur Tabah Karne Ke Siwa Un Ke Haq Main Aur Kuch Na Kar Sake.

102
Aur Tumhara Parwardigar Jab Nafarmaan Bastiyoun Ko Pakra Karta Hai, To Un Ki Pakar Issi Tarha Ki Hoti Hai. Be Shak Us Ki Pakar Dukh Dene Wali Aur Sakht Hai.

103
In Qissoun Main Us Shakhs Ke Liye Azaab-E-Aakhrat Se Dare Ibbrat Hai. Ye Wo Din Hoga Jis Main Sab Loug Ikhate Kiye Jayen Ge Aur Yeh Hi Wo Din Hoga Jis Main Sab Khuda Ke Ru Baru Hazir Kiye Jayen Ge.

104
Aur Ham Us Ke Laane Main Aik Waq-e- Moiyan Tak Taakheer (delayed) Kar Rahe Hain.

105
Jis Roz Wo Aa Jaye Ga Toh Koi Mutnafis Khuda Ke Hukum Ke Baghair Bol Bhi Nahi Sake Ga. Phir Un Main Se Kuch Badbakht Houn Ge Aur Kuch  Naik Bakht.

106
Toh Joh Badbakht Houn Ge Wo Dozakh Main Daal Diye Jayen Ge Us Main Un Ka Chillana Aur Dhaarna Hoga.

107
Aur Jab Tak Aasmaan Aur Zameen Hain Usi Main Rahian Ge,  Magar Jitna Tumhara Parwardigaar Chahe. Be Shak Tumhara Parwardigar Joh Chahta Hai Kar Deta Hai.

108
Aur Joh Naik Bakht Hounge, Wo Behshat Main Dakhil Kiye Jayen Ge Aur Jab Tak Aasmaan Aur Zameen Hain Hamesha Ussi Main Rahian Ge Magar Jitna Tumhara Parwardigaar Chahe. Ye Khuda Ki Bakhshish Hai, Jo Kabhi Munqitaa Nahi Hogi.

109
Toh Ye Loug Joh Gair-e-Khuda Ki Parastish Karte Hain. Is Se Tum Khiljaan Main Na Parna .Ye Ussi Tarha Parastish Karte Hain Jis Tarah Pehle Se Un Ke Baap Dada Parastish Karte Aye Hain. Aur Ham In Ko in Ka Hisaa Poora Poora Bila Kam-O-Kast Dene Wale Hain.

110
Aur Ham Ne Moosa Ko Kitaab Di Toh Us Main Ikhtilaaf Kia Gaya Aur Agar Tumahre Parwardigaar Ki Taraf Se Aik Baat Pehle Na Ho Chuki Hoti Toh Un Main Faisla Kar Dia Jata.Aur Wo Toh Us Se Qawi Shubbe Main Pare Hue Hain.

111
Aur Tumhara Parwardigaar Un Sab Ko Qiamat Ke Din Un Ke Aamaal Ka Poora Poora Badle De Ga. Be Shak Jo Amal Yeh Karte Hain Wo Us Se Waqif Hai.
112
So Ae Paigambar S.A.W. Jaisa Tumko Hukum Hota Hai Us Par Tum Aur Joh Loug Tumahare Sath Taaib Hue Hain Qaaim Raho. Aur Had Se Tajawuz Na Karna. Wo Tumhare Sab Aamaal Ko Daikh Raha Hai.

113
Aur Joh Loug Zalim Hain,Un Ki Taraf Maail Na Hona, Nahi Toh Tumhain Dozakh Ki Aag Aa Lipte Gi, Aur Khuda Ke Siwa Tumhare Aur Dost Nahi Hain. Agar Tum Zalimoun Ki Taraf Maail Ho Gaye  Toh Phir Tum Ko Kahin Se Madad Na Mil Sake Gi.

114
Aur Din Ke Donoun (Both) Sirroun (Ends) Yaani Subha Aur Sham Ke Ooqaat Main Aur Raat Ki Chand (few) Pehli Saa-Atoun Main Namaz Parha Karo. Kuch Shak Nahi Ke Naikyan Gunaahoun Ko Door Kar Deti Hain. Yeh Un Ke Liye Naseehat Hai Joh Naseehat Qabool Karne Wale Hain.

115
Aur Sabar Kiye Raho, Ke Khuda Naiko Kaaroun Ka Ajar Zaaya Nahi Karta.

116
Toh Joh Ummatain Tum Se Pehle Guzar Chuki Hain,Un Main Asie Hosh Mand Kion Na Hue Joh Mulk Main Kharabi Karne Se Rokte, Haan Aise Thore Se The Jin Ko Ham Ne Un Main Se Mukhlasi Bakhshi . Aur Joh Zalim The Wo Un Hi Batoun Ke Peeche Lage Rahe, Jin Main Aish-O-Araam Tha,  Aur Wo Gunaahoun Main Doobe Hue The.

117
Aur Tumhara Parwardigaar Aisa Nahi Hai Ke Bastiyon Ko Jab Ke Wahan Ke Bashinde Naiko Kaar Houn Azraah-E-Zulm Tabah Kar De.



118
Aur Agar Tumhara Parwardigaar Chahta Toh Tamaam Lougon Ko Aik Hi Jamaat Kar Deta, Lekin Wo Hamesha Ikhtilaaf Karte Rahain Ge.

119
Magar Jin Par Tumhara Parwardigaar Rehem Kare.Aur Isi Liye Us Ne in Ko Paida Kia Hai Aur Tumhare Parwardigaar Ka Qoul Poora Ho Gaya Ke Main Dozakh Ko Jinoun Aur Insanoun Sab Se Bhar Doonga.

120
Ae Muhammad S.A.W. Aur Paigambaroun Ke Wo Sab Halat Joh Ham Tum Se Biyaan Karte Hain, Un Se Ham Tumhare Dil Ko Qaaim Rakhte Hain. Aur Un Qassass Main Tumhare Pas Haq Pohonch Gaya Aur Ye Mominoun Ke Liye Naseehat Aur Ibrat Hai.

121
Aur Jab Loug Eemaan Nahi Laye Un Se Keh Do Ke Tum Apni Jaga Amal Kiye Jao.Ham Apni Jaga Amal Kiye Jate Hain.

122
Aur Nateeja-E-Aamaal Ka, Tum Bhi Intizar Karo Ham Bhi Intizar Karte Hain.

123
Aur Aasmaanoun Aur Zameen Ki Chupi Cheezoun Ka Ilm Khuda Hi Ko Hai Aur Tamaam Amoor Ka Rujoo Usi Ki Taraf Hai. To Usi Ki Ibadat Karo Aur Usi Par Bharosa rakho .Aur Joh Kuch Tum Kar Rahe Ho Tumhara Parwardigaar Us Se Be Khabar Nahi.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!