Thursday, 31 March 2016

Allah: Al-Quran Roman Urdu Translation...!!!

Allah: Al-Quran Roman Urdu Translation...!!!: Index 114 Soorah  . . . . 100-SOORAH-AL-ADIYAT-AAYAAT-11 101-SOORAH-AL-QARIAH-AAYAAT-11 102-SOORAH-AT-TAKA...

70-Soorah-Al-Maarij-Aayaat-44

70

Soorah-Al-Maarij

Aayaat-44

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Aik Talab Karne Wale Ne, Azaab Talab Kia Joh Nazil Ho Kar Rahe Ga.

2
Yaani Kaafiroun Par Aur Koi Us Ko Taal Na Sake Ga.

3
Aur Wo Khuda-E-Saahib-E-Darjaat Ki Taraf Se Nazil Hoga.

4
Jis Ki Taraf Rooh-Ul-Ameen Aur Farishte Charhte Hain Aur Us Roz Nazil Hoga, Jis Ka Andaaza Pachaas Hazaar Baras Ka Hoga.

5
Toh Tum Kaafiroun Ki Baatoun Ko Hosle Ke Sath Bardaasht Karte Raho.

6
Wo Un Lougon Ke Nigaah Main Door Hai.

7
Aur Hamari Nazar Main Qareeb.

8
Jis Din Aasmaan Aisa Ho Jaye Ga, Jaise Pighla Hua Taamba.


9
Aur Pahar Aise Jaise Dhunki Hui Rangeen Oon.

10
Aur Koi Dost Kisi Dost Ka Pursaan Na Hoga.

11
Halanke Aik Doosre Ko Saamne Daikh Rahe Hounge, Us Roz Gunnehgaar Khuahish Kare Ga, Ke Kisi Tarha Us Din Ke Azaab Ke Badle Main Sab Kuch De De, Yaani Apne Bete.

12
Aur Apni Biwi Aur Apne Bhaai.

13
Aur Apna Khaandaan Jis Main Wo Rehta Tha.

14
Aur Jitne Aadmi Zameen Par Hain, Gharz Sab Kuch De De Aur Apne Taiyee Azaab Se Chura Le.

15
Lekin Aisa Har Gizz Nahi Hoga, Wo Bharakti Hui Aag Hai.

16
Khaal Udhair Daalne Waali.

17
Un Lougon Ko Apni Taraf Bulaaye Gi, Jinhoun Ne Deen-E-Haq Se Airaaz Kia Aur Moonh Phair Liya.

18
Aur Maal Jama Kia Aur Band Kar Rakha.

19
Kuch Shak Nahi Ke Insaan Kam Hosla Paida Hua Hai.

20
Jab Usse Takleef Pohonchchti Hai Toh Ghabra Uthta Hai.

21
Aur Jab Aasaaish Hasil Hoti Hai, Toh Bakheel Ban Jata Hai.

22
Magar Namaaz Guzaar.

23
Joh Namaaz Ka Intizaam Rakhte Aur Bila Naagha Parhte Hain.

24
Aur Jin Ke Maal Main Hisaa Muqarrar Hai.

25
Yaani Maangne Wale Ka. Aur Na Maangne Wale Ka.

26
Aur Joh Roz-E-Jaza Ko Sach Samajhte Hain.

27
Aur Joh Apne Parwardigar Ke Azaab Se Khof Rakhte Hain.

28
Be Shak Un Ke Parwardigaar Ka Azaab Hai Hi Aisa, Ke Us Se Be Khof Na Hua Jaaye.

29
Aur Joh Apni Sharmgaaahoun Ki Hifazat Karte Hain.

30
Magar Apni Biwiyoun Ya Loundiiyoun Se, Ke Un Ke Paas Jaane Par Unhain Kuch Malamat Nahi.



31
Aur Joh Loug Un Ke Siwa Aur Ke Khuaastgaar Houn, Wo Had Se Nikal Jaane Wale Hain.

32
Aur Joh Apne Amanatoun Aur Iqraaroun Ka Paas Karte Hain.

33
Aur Joh Apni Shahadatoun Par Qaaim Rehte Hain.

34
Aur Joh Apni Namaaz Ki Khabar Rakhte Hain.

35
Ye Hi Loug,  Baagh Haaye Behshat Main Izzqat-O-Ikraam Se Honge.

36
Toh Un Kaafiourn Ko Kia Hua Hai, Ke Tumhari Taraf Dore Chale Aate Hain.

37
Aur Daayen Baayen Se Guroh Guroh Ho Kar Jama Hote Jate Hain.

38
Kia Un Main Se Har Shakhs Ye Tawwaqo Rakhta Hai Ke Naimat Ke Baagh Main Dakhil Kia Jaye Ga.

39
Har Gizz Nahi. Ham Ne Un Ko Us Cheez Se Paida Kia Hai Jisse Wo Jaante Hain.

40
Hamain Mashriqoun Aur Magriboun Ke Malik Ki Qasam Ke Ham Taqat Rakhte Hain.



41
Yaani Is Baat Par Qaadir Hain Ke, Un Se Behtar Loug Badal Laaye Aur Ham Aajiz Nahi Hain.

42
Toh Ae Paigambar S.A.W. Un Ko Baatil Main Pare Rehne Aur Khail Lene Do, Yahan Tak Ke Jis Din Ka Un Se Waada Kia Jata Hai Wo Un Ke Saamne Aa Mojood Ho.

43
Us Din Ye Qabroun Se Nikal Kar Is Tarha Dourainge, Jaise Shikaari Shikar Ke Jaal Ki Taraf Dourte Hain.

44
Un Ki Aankhain Jhuk Rahi Houngi Aur Zillat Un Par Cha Rahi Hogi. Yehi Wo Din Hai Jis Ka Un Se Waada Kia Jata Tha.

71-Soorah-Nooh-Aayaat-28

71

Soorah-Nooh

Aayaat-28

Shroo Allah Ke Naam Se Job Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ham Ne Nooh Ko Un Ki Qoum Ki Taraf Bhaija, Ke Paishtar Is Ke Keh Un Par Dard Dene Wala Azaab Waaqe Ho, Apni Qoum Ko Hidayat Kar Do.

2
Unhoun Ne Kaha Ke Bhaiyo! Main Tum Ko Khule Tour Par Naseehat Karta Hoon.

3
Keh Khuda Ki Ibaadat Karo Aur Us Se Daro Aur Mera Kaha Maano.

4
Wo Tumhare Gunnah Bakhs De Ga Aur Mout Ke Waqt-E-Muqarara Tak Tum Ko Mohlat Ata Kare Ga. Jab Khuda Ka Muqarar Kia Hua Waqt Aajata Hai Toh Takheer Nahi Hoti. Kaash Tum Jaante Hote.

5
Jab Lougon Ne Na Maana Toh Nooh A.S. Ne Khuda Se Arz Ki Ke Parwardigar Main Apni Qoum Ko Raat Din Bulata Raha.

6
Lekin Mere Bulane Se Wo Aur Ziada Guraiz Karte Rahe.

7
Jab Jab Main Un Ko Bulata Ke Touba Karain Aur Tu Un Ko Moaaf  Farmaaye Toh Inhoun Neapne Kaanoun Main Ungliyaaan De Leen Aur Kapre Ourh Liye Aur Arr Gaye Aur Akar Baithe.
8
Phir Main Un Ko Khule Tour Par Bhi Bulata Raha.

9
Aur Zahir Aur Posheeda Har Tarha Samajhaata Raha.

10
Aur Kaha Ke Apne Parwardigaar Se Moafi Mango Ke Wo Bara Moaaf Karne Wala Hai.

11
Wo Tum Par Aasmaan Se Meenh Barsaaye Ga.

12
Aur Maal Aur Baitoun Se Tumhari Madad Farmaye Ga Aur Tumhain Baagh Ata Kare Ga Aur Un Main Tumhare Liye Nehrain Baha De Ga.

13
Tum Ko Kia Hua Ke Tum Khuda Ki Azmat Ka Aitqaad Nahi Rakhte.

14
Halanke Us Ne Tumko Tarha Tarha Ki Haaltoun Ka Paida Kia Hai.

15
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Khuda Ne Saat Aasmaan Kaise Oopar Tale Banaye Hain.

16
Aur Chaand Ko Un Main Zameen Ka Noor Banaya Hai Aur Sooraj Ko Chiragh Thehraaya Hai.

17
Aur Khuda Hi Ne Tum Ko Zameen Se Paida Kia Hai.



18
Phir Ussi Main Tuhain Louta De Ga Aur Usse Se Tum Ko Nikaal Khara Kare Ga.

19
Aur Khuda Hi Ne Zameen Ko Tumhare Liye Farsh Banaya.

20
Taa-Ake Us Ke Bare Bare Khusaada Rastoun Par Calo Phiro.

21
Us Ke Baad Nooh Ne Arz Ki Ke, Mere Parwardigar! Ye Loug Mere Kehne Par Nahi Chale Aur Aisoun Ke Taabe Hue Hain, Jin Ko Un Ke Maal Aur Aulad Ne Nuqsan Ke Siwa Kuch Faida Nahi Dia.

22
Aur Wo Bari Bari Chaalain Chale.

23
Aur Kene Lage Ke Apne Maaboodoun Ko Har Gizz Na Chorana Aur  Waddah Aur Suwaah Aur Yagoos Aur Yaaooq Aur Nasar Ko Kabhi Tark Na Karna.

24
Parwardigar Unhoun Ne Bohot Lougon Ko Gumrah Kar Dia Hai. Toh Tu Un Ko Aur Gumrah Kar De.

25
Aakhir Wo Apne Gunahoun Ke Sabab Pehle Gharqaab Kar Diye Gaye, Phir Aag Main Dal Diye Gaye. Toh Unhoun Ne Khuda Ke Siwa Kisi Ko Apna Madadgaar Na Paaya.

26
Aur Phir Nooh  A.S. Ne Ye Dua Ki Ke Mere Parwardigar Kisi Kafir Ko Roo-E-Zameen Par Basta Na Rehne De.


27
Agar Tu Un Ko Rehne De Ga Toh Tere Bandoun Ko Gumraah Karainge Aur Un Se Joh Aulaad Hogi Wo Bhi Badkaar Aur Nashukar Guzaar Hogi.

28
Ae Mere Parwardigar Mujh Ko Aur Mere Maan Paap Ko Aur Joh Eemaan La Kar Mere Ghar Main Aaye Us Ko Aur Tamaam Eemaan Wale Mardoun
Aur Eemaan Wali Aurtoun Ko Moaaf Farma Aur Zalim Lougon Ke Liye Aur Ziada Tabahi Barha.

72-Soorah-Al-Jinn-Aayaat-28

72

Soorah-Al-Jinn

Aayaat-28

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ae Paigambar S.A.W. Lougon Se Keh Do Ke Mere Paas Wahi Aayee Hai, Ke Jinnnon Ki Aik Jamaat Ne Us Kitaab Ko Suna, Toh Kehne Lage Ke Ham Ne Aik Ajeeb Quraan Suna.

2
Joh Bhalayee Ka Raasta Batata Hai, So Ham Us Par Eemaan Le Aaye. Aur Ham Apne Parwardigar Ke Sath Kisi Ko Shareek Nahi Banaye Ge.

3
Aur Ye Ke Hamare Parwardigar Ki Azmat Shaan Bohot Bari Hai Wo Na Biwi Rakhta Hai Na Aulaad.

4
Aur Ye Ke Ham Main Se Baaz Be Waqoof  Khuda Ke Baare Main Jhoot Iftiraa Karta Hai.

5
Aur Hamara Ye Khyaaal Tha, Ke Insaan Aur Jinn Khuda Ki Nisbat Jhoot Nahi Bolte.

6
Aur Ye Ke Baaz Bani Adam, Baaz Jinnat Ki Panah Pakra Karte The, Us Se Un Ki Sar Kashi Aur Barh Gai Thi.



7
Aur Ye Ke Un Ka Bhi Ye Hi Aitqaad Tha Jis Tarha Tumhara Tha Ke Khuda Kisi Ko Nahi Jilaye Ga.

8
Aur Ye Ke Ham Ne Aasmaan Ko Tatola, Toh Us Ko Mazboot Choukeedaaroun Aur Angaaroun Se Bhara Hua Paaya.

9
Aur Ye Ke Pehle Ham Wahan Bohot Se Maqamaat Main Khabarain Sunn-Ne Ke Liye Baitha Karte The. Ab Koi Sunn-Na Chahe Toh Apne Liye Angaara Taiyaar Paye.

10
Aur Ye Ke Hamain Maloom Nahi Ke Us Se Ehl-E-Zameen Ke Haq Main Burai Maqsood Hai, Ya Un Ke Parwardigar Ne Un Ki Bhalyee Ka Irada Farmaya Hai.

11
Aur Ye Ke Ham Main Koi Naik Hain Aur Koi Aur Tarha Ke. Hamare Kaiee Tarha Ke Mazhab Hain.

12
Aur Ye Ke Ham Ne Yaqeen Kar Liya Hai, Ke Ham Zameen Main Khuah Kahin Houn Khuda Ko Hara Nahi Sakte Aur Na Bhaag Kar Usko Thaka Sakte Hain.

13
Aur Jab Ham Ne Hidayat Ki Kitaab Suni, Us Par Eemaan Le Aaye. Toh Joh Shakhs Apne Parwardigar Par Eemaan Laata Hai, Us Ko Na Nuqsaan Ka Khof Hai Na Zulm Ka.

14
Au Ye Ke Ham Main Baaz Farmabardaar Hain Aur Baaz Nafarmaan Gunnehgaar Hain. Toh Joh Farmabardaar Hue Wo Seedhe Raste Par Chale.

15
Aur  Joh Gunnhegaar Hue Wo Dozakh Ka Eenadhan Bane.

16
Aur Ae Paigambar S.A.W.  Ye Bhi Un Se Keh Do Ke  Agar Ye Loug Seedhe Raaste Par Rehte Toh Ham Un Ke Peene Ko Bohot Sa Paani Dete.

17
Taa-Ake Us Se Un Ki Aazmaish Karain. Aur Joh Shakhs Apne Parwardigar Ki Yaad Se Moonh Phaire Ga, Wo Us Ko Sakht Azaab Main Dakhil Kare Ga.

18
Aur Ye Ke Masjidain Khaas Khuda Ki Hain,  Toh Khuda Ke Sath Kisi Aur Ki Ibadat Na Karo.

19
Aur Jab Khuda Ke Bande Muhammad S.A.W. Us Ki Ibadat Ko Khare Hue Toh  Kafir Un Ke Girrd Hajoom  Kar Lene Ko The.

20
Keh Do Ke Main Toh Apne Parwardigar Hi Ki Ibadat Karta Hoon Aur Kisi Ko Us Ka Shareek Nahi Banata.

21
Ye Bhi Keh Do, Ke Main Tumhare Haqq Main Nuqsaan Aur Nafa Ka Kuch Ikhtiyaar Nahi Rakhta.

22
Ye Bhi Keh Do Ke Khuda Ke Azaab Se Mujhe Koi Panaah Nahi De Sakta. Aur Main Us Ke Siwa Kahin Jaaye Panaah Nahi Daikhta.





23
Haan Khuda Ki Taraf Se Ehkaam Ka Aur Us Ke Paigaamoun Ka Pohoncha Dena Hi Mere Zimme Hai. Aur Joh Shaksh Khuda Aur Us Ke Paigambar Ki Nafarmaani Kare Ga,  Toh Aisoun Ke Liye Jahannum Ki Aag Hai, Hamesha Hamesha Us Main Rahainge.

24
Yahan Tak Ke Jab Ye Loug Wo Din Daikh Lainge, Jis Ka Un Se Waada Kia Jata Hai, Tab Un Ko Maloom Ho Jaye Ga, Ke Madagaar Kis Ke Kamzor Aur Shumar Kinn Ka Thora Hai.

25
Keh Do Ke Jis Din Ka Tum Se Waada Kia Jata Hai, Main Nahi Janta Ke Wo An Qareeb Aanee Wala Hai, Ya Mere Parwardigar Ne Us Ki Muddat Daraaz Kar Di Hai.

26
Wo Hi Ghaib Ki Baat Jaan-Ne Wala Hai Aur Kisi Par Apne Ghaib Ko Zahir Nahi Karta.

27
Haan Jis Paighambar Ko Pasand Farmaaye, Toh Us Ko Gaib Ki Baatian Bata Deta Aur Us Ke Aage Aur Peeche Nigehban Muqarar Kar Deta Hai.

28
Taa-Ake Maloom Farmaaye Ke Unhoun Ne Apne Parwardigar Ke Paigaam Pohoncha Diye Hain Aur Youn Toh, Us Ne Un Ki Sab Cheezoun Ko Har Taraf Se Qaboo Kar Rakha Hai Aur Aik Aik Cheez Gin Rakhi Hai.

73-Soorah-Al-Muzammil-Aayaat-20

73

Soorah-Al-Muzzammil

Aayaat-20

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ae Muhammad S.A.W. Joh Kapre Main Lipat Rahe Ho.

2
Raat Ko Qiaam Kia Karo, Magar Thori Si Raat.

3
Yaani Nisf Raat Ya Us Se Kuch Kam.

3
Ya Kuch Ziada Aur Quran Ko Theher Theher Kar Parha Karo.

5
Ham Anqareeb Tum Par Aik Bhaari Farmaan Nazil Karainge.

6
Kuch Shak Nahi Ke Raat Ka Uthna Nafs-E-Baheemi Ko Sakht Pamaal Karta Hai Aur Us Waqt Zikar Bhi Khoob Durust Hota Hai.

7
Din Ke Waqt Toh Tumhain Aur Bohot Se Shugal Hote Hain.

8
Toh Apne Parwardigar Ke Naam Ka Zikar Karo Aur Har Taraf Se Be Talluq Ho Kar Ussi Ki Tarf Mutawajoh Ho Jao.



9
Wo Hi Mashriq Aur Maghrib Ka Malik Hai Aur Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi, Toh Ussi Ko Apna Kaar Saz Banao.

10
Aur Joh Joh Dil Azaar Batain Ye Loug Kehte Hain, Un Ko Sehte Raho Aur Ache Tareeq Se Un Se Kinara Kash Raho.

11
Aur Mujhe Un Jhutlane Waloun Se Joh Dolatmand Hain, Samajh Lene Do Aur Un Ko Thori Si Mohlat De Do.

12
Kuch Shak Nahi Ke Hamare Paas Bairdiyaan Hain Aur Bharakti Aag Hai.

13
Aur Gulu Geer Khana Hai Aur Dard Dene Wala Azaab Hai.

14
Jis Din Zameen Aur Pahar Kaampne Lagain Aur Pahar Aise Bhurr Bhurre, Goya Rait Ke Teele Ho Jayen.

15
Ae Ehl-E-Makkah Jis Tarha Ham Ne Firown Ke Paas Moosa Ko Paigambar Bana Kar Bhaija Tha, Ussi Tarha Tumhare Paas Bhi Muhammd S.A.W. Rasool Bhaije Hain, Jo Tumhare Muqaable Main Gawah Hounge.

16
So Firown Ne Hamre Paigambar Ka Kaha Na Maana, Toh Ham Ne Us Ko Bare Wabaal Main Pakar Liya.

17
Agar Tum Bhi In Paigambar Ko Na Mano Ge , Toh Us Din Se Kion Kar Bacho Ge Joh Bachoun Ko Booraha Kar De Ga.

18
Aur Jis Se Aasmaan Phat Jaye Ga. Ye Us Ka Waada Poora Ho Kar Rahe Ga.

19
Ye Quraan Toh Naseehat Hai. So Joh Chahe Apne Parwardigar Tak Pohonchne Ka Raasta  Ikhtiyaar Kar Le.

20
Tumhara Parwardigar Khoob Janta Hai, Ke Tum Aur Tumhare Sath Ke Loug, Kahbi Do Tihayee Raat Ke Qareeb Aur Kabhi Aadhi Raat Aur Kabhi Tihayee Raat Qiaam Kia Karte Ho. Aur Khuda Toh Raat
Aur Din Ka Andaza Rakhta Hai. Us Ne Maloom Kia Ke Tum Us Ko Nibbah Na Sako Ge, Toh Us Ne Tum Par Meherbaani Ki. Pas Jitna Asaani Se Ho Sake Utna Quraan Parh Liya Karo . Us Ne Jana Ke Tum Main Baaz Bimaar Bhi Hote Hain Aur Baaz Khuda Ke Fazal Yaani Moaash Ki Talaash Main Mulk Main Safar Karte Hain Aur Baaz Khuda Ki Raah Main Larte Hain. Toh Jitna Asaani Se Ho Sake Utna Parh Liya Karo. Aur Namaaz Parhte Raho Aur Zakaat Ada Karte Raho Aur Khuda Ko Naik Aur Khaloos-E-Niyat Se Qarz Dete Raho. Aur Joh Amaal Naik Tum Apne Liye Aage Bhaijo Ge, Us Ko Khuda Ke Haan Behtar Aur Sile Main Buzurg Tar Paao Ge. Aur Khuda Se Bakhsish Maangte Raho. Be Shak Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

74-Soorah-Al-Muddaththir-Aayaat-56

74

Soorah-Al-Muddaththir(Muddassir)

Aayaat-56

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ae Muhammad S.A.W. Joh Kapra Lapaite Pare Ho.

2
Utho Aur Hidayat Kardo.

3
Aur Apne Parwardigar Ki Baraai Karo.

4
Aur Apne Kaproun Ko Paak Rakho.

5
Aur Napaaki Se Door Raho.

6
Aur Is Niyat Se Ehsaan Na Karo, Ke Us Se Ziada Ke Taalib Ho.

7
Aur Apne Parwardigar Ke Liye Sabar Karo.

8
Jab Soor Phoonka Jaye Ga.

9
Wo Din Mushkil Ka Din Hoga.


10
Yaani Kafiroun Par Aasaan Na Hoga.

11
Hamain Us Shaksh Se Smajh Lene Do, Jis Ko Ham Ne Akaila Padia Kia.

12
Aur Maal-E-Kaseer Dia.

13
Aur Har Waaqt Us Ke Paas Hazir Rehne Wale Bete Diye.

14
Aur Har Tarha Ke Samaan Main Wussat Di.

15
Abhi Khuahish Rakhta Hai Ke Aur Ziada Dain.

16
Aisa Har Gizz Nahi Hoga. Ye Hamari Ayatoun Ka Dushman Raha Hai.

17
Ham Usse Saood Par Charhaayen Ge.

18
Us Ne Fikar Kia Aur Tajweez Ki.

19
Ye Mara Jaye, Us Ne Kaisi Tajweez Ki.

20
Phir Ye Mara Jaye, Us Ne Kaisi Tajweez Ki.

21
Phir Taamull Kia.
22
Phir Taiwri Charhayee Aur Moonh Bigaar Liya.

23
Phir Pusht Phair Kar Chala Aur Qabool-E-Haq Se Garoor Kia.

34
Phir Kehne Laga, Ye Toh Jaadu Hai ,Joh Agloun Se Muntaqil Hota Aaya Hai.

25
Phir Bola Ye Khuda Ka Kalaam Nahi Balke Basher Ka Kalaam Hai.

26
Ham Anqareeb Us Ko Saqar Main Dakhil Karainge.

27
Aur Tum Kia Samjhe Ke Saqar Kia Hai?

28
Wo Aag Hai, Ke Na Baqi Rakhe Gi Aur Na Chore Gi.

29
Aur Badan Ko Jhullas Kar Siyah Kar De Gi.

30
Us Par Unnees(19) Darogha Hain.










31
Aur Ham Ne Dozakh Ke Darogha Farishte Banaye Hain. Aur Un Ka Shumaar Kaafiroun Ki Aazmaaish Ke Liye Muqarrar Kia Hai Aur Is Liye Ke Ehl-E-Kitaab Yaqeen Karian Aur Mominoun Ka Eemaan Aur Ziada Ho Aur Ehl-E-Kitaab Aur Momin Shak Na Laayen. Aur Is Liye Ke Jin Lougon Ke Diloun Main Nifaaq Ka Marz Hai Aur Joh Kafir Hain, Kahain Ke Is Misaal Ke Bayan Karne Se Khuda Ka Maqsood Kia Hai? Issi Tarha Khuda Jis Ko Chahta Hai Gumraah Karta Hai Aur Jis Ko Chahta Hai Hidyat Deta Hai Aur Tumhare Parwardigaar Ke Lashkaroun Ko Us Ke Siwa Koi Nahi Jaanta.Aur Ye Toh Bani Aadam Ke Liye Naseehat Hai.

32
Haan Haan Hamian Chand Ki Qasam.

33
Aur Raat Ki Jab Peeth Phairne Lage.

34
Aur Subha Ki Jab Roshan Ho.

35
Ke Wo Aag Aik Bohot Bari Aafat Hai.

36
Aur Bani Aadam Ke Liye Moaajab-E-Khof.

37
Joh Tum Main Se, Aage Barhna Chahe Ya Peeche Rehna Chahe.

38
Har Shakhs Apne Aamaal Ke Badle Girwi Hai.

39
Magar Dahni Taraf Wale Naik Loug.


40
Ke Wo Baagh-haaye Behsht Main Hounge Aur Poochte Hounge.

41
Yaani Aag Main Jalne Wale Gunnehgaar Se.

42
Ke Tum Dozakh Main Kion Pare?

43
Wo Jawab Dainge Ke Ham Namaaz Nahi Parhte The.

44
Aur Na Faqeeroun Ko Khana Khilate The.

45
Aur Ehl-E-Baattil Ke Sath Mil Kar, Haq Se Inkar Karte The.

46
Aur Roz-E-Jaza Ko Jhutlate The.

47
Yahan Tak Ke Hamain Mout Aa Gai.

48
Toh Is Haal Main Sifarish Karne Waloun Ki Sifarish Un Ke Haq Main Kuch Faaida Na De Gi.

49
Un Ko Kia Hua Hai Ke Naseehat Se Roo Gardaan Ho Rahe Hain.

50
Goya Gadhe Hain Ke Biddak Jaate Hain.

51
Yaani Shair Se Dar Kar Bhaag Jate Hain.

52
Asal Ye Hai Ke, Un Main Se Har Shakhs Ye Chahata Hai Ke, Us Ke Paas Khuli Hui Kitaab Aaye.

53
Aisa Har Gizz Nahi Hoga. Haqeeqat Ye Hai Ke Un Ko Aakhrat Ka Khof Hi Nahi.

54
Kuch Shak Nahi Ke Ye Naseehat Hai.

55
Toh Joh Chahe Isse Yaad Rakhe.

56
Aur Yad Bhi Tab Hi Rakhain Ge, Jab Khuda Chahe. Wo Hi Darne Ke Laaiq Aur Bakhshsish Ka Malik Hai.