72
Soorah-Al-Jinn
Aayaat-28
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Paigambar S.A.W. Lougon
Se Keh Do Ke Mere Paas Wahi Aayee Hai, Ke Jinnnon Ki Aik Jamaat Ne Us Kitaab Ko
Suna, Toh Kehne Lage Ke Ham Ne Aik Ajeeb Quraan Suna.
2
Joh Bhalayee Ka Raasta
Batata Hai, So Ham Us Par Eemaan Le Aaye. Aur Ham Apne Parwardigar Ke Sath Kisi
Ko Shareek Nahi Banaye Ge.
3
Aur Ye Ke Hamare
Parwardigar Ki Azmat Shaan Bohot Bari Hai Wo Na Biwi Rakhta Hai Na Aulaad.
4
Aur Ye Ke Ham Main Se
Baaz Be Waqoof Khuda Ke Baare Main Jhoot
Iftiraa Karta Hai.
5
Aur Hamara Ye Khyaaal
Tha, Ke Insaan Aur Jinn Khuda Ki Nisbat Jhoot Nahi Bolte.
6
Aur Ye Ke Baaz Bani
Adam, Baaz Jinnat Ki Panah Pakra Karte The, Us Se Un Ki Sar Kashi Aur Barh Gai
Thi.
7
Aur Ye Ke Un Ka Bhi Ye
Hi Aitqaad Tha Jis Tarha Tumhara Tha Ke Khuda Kisi Ko Nahi Jilaye Ga.
8
Aur Ye Ke Ham Ne
Aasmaan Ko Tatola, Toh Us Ko Mazboot Choukeedaaroun Aur Angaaroun Se Bhara Hua
Paaya.
9
Aur Ye Ke Pehle Ham
Wahan Bohot Se Maqamaat Main Khabarain Sunn-Ne Ke Liye Baitha Karte The. Ab Koi
Sunn-Na Chahe Toh Apne Liye Angaara Taiyaar Paye.
10
Aur Ye Ke Hamain
Maloom Nahi Ke Us Se Ehl-E-Zameen Ke Haq Main Burai Maqsood Hai, Ya Un Ke
Parwardigar Ne Un Ki Bhalyee Ka Irada Farmaya Hai.
11
Aur Ye Ke Ham Main Koi
Naik Hain Aur Koi Aur Tarha Ke. Hamare Kaiee Tarha Ke Mazhab Hain.
12
Aur Ye Ke Ham Ne
Yaqeen Kar Liya Hai, Ke Ham Zameen Main Khuah Kahin Houn Khuda Ko Hara Nahi
Sakte Aur Na Bhaag Kar Usko Thaka Sakte Hain.
13
Aur Jab Ham Ne Hidayat
Ki Kitaab Suni, Us Par Eemaan Le Aaye. Toh Joh Shakhs Apne Parwardigar Par
Eemaan Laata Hai, Us Ko Na Nuqsaan Ka Khof Hai Na Zulm Ka.
14
Au Ye Ke Ham Main Baaz
Farmabardaar Hain Aur Baaz Nafarmaan Gunnehgaar Hain. Toh Joh Farmabardaar Hue
Wo Seedhe Raste Par Chale.
15
Aur Joh Gunnhegaar Hue Wo Dozakh Ka Eenadhan
Bane.
16
Aur Ae Paigambar
S.A.W. Ye Bhi Un Se Keh Do Ke Agar Ye Loug Seedhe Raaste Par Rehte Toh Ham
Un Ke Peene Ko Bohot Sa Paani Dete.
17
Taa-Ake Us Se Un Ki
Aazmaish Karain. Aur Joh Shakhs Apne Parwardigar Ki Yaad Se Moonh Phaire Ga, Wo
Us Ko Sakht Azaab Main Dakhil Kare Ga.
18
Aur Ye Ke Masjidain
Khaas Khuda Ki Hain, Toh Khuda Ke Sath
Kisi Aur Ki Ibadat Na Karo.
19
Aur Jab Khuda Ke Bande
Muhammad S.A.W. Us Ki Ibadat Ko Khare Hue Toh
Kafir Un Ke Girrd Hajoom Kar Lene
Ko The.
20
Keh Do Ke Main Toh
Apne Parwardigar Hi Ki Ibadat Karta Hoon Aur Kisi Ko Us Ka Shareek Nahi Banata.
21
Ye Bhi Keh Do, Ke Main
Tumhare Haqq Main Nuqsaan Aur Nafa Ka Kuch Ikhtiyaar Nahi Rakhta.
22
Ye Bhi Keh Do Ke Khuda
Ke Azaab Se Mujhe Koi Panaah Nahi De Sakta. Aur Main Us Ke Siwa Kahin Jaaye
Panaah Nahi Daikhta.
23
Haan Khuda Ki Taraf Se
Ehkaam Ka Aur Us Ke Paigaamoun Ka Pohoncha Dena Hi Mere Zimme Hai. Aur Joh
Shaksh Khuda Aur Us Ke Paigambar Ki Nafarmaani Kare Ga, Toh Aisoun Ke Liye Jahannum Ki Aag Hai,
Hamesha Hamesha Us Main Rahainge.
24
Yahan Tak Ke Jab Ye
Loug Wo Din Daikh Lainge, Jis Ka Un Se Waada Kia Jata Hai, Tab Un Ko Maloom Ho
Jaye Ga, Ke Madagaar Kis Ke Kamzor Aur Shumar Kinn Ka Thora Hai.
25
Keh Do Ke Jis Din Ka
Tum Se Waada Kia Jata Hai, Main Nahi Janta Ke Wo An Qareeb Aanee Wala Hai, Ya
Mere Parwardigar Ne Us Ki Muddat Daraaz Kar Di Hai.
26
Wo Hi Ghaib Ki Baat
Jaan-Ne Wala Hai Aur Kisi Par Apne Ghaib Ko Zahir Nahi Karta.
27
Haan Jis Paighambar Ko
Pasand Farmaaye, Toh Us Ko Gaib Ki Baatian Bata Deta Aur Us Ke Aage Aur Peeche
Nigehban Muqarar Kar Deta Hai.
28
Taa-Ake Maloom
Farmaaye Ke Unhoun Ne Apne Parwardigar Ke Paigaam Pohoncha Diye Hain Aur Youn
Toh, Us Ne Un Ki Sab Cheezoun Ko Har Taraf Se Qaboo Kar Rakha Hai Aur Aik Aik
Cheez Gin Rakhi Hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!