71
Soorah-Nooh
Aayaat-28
Shroo Allah Ke Naam Se Job Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ham Ne Nooh Ko Un Ki
Qoum Ki Taraf Bhaija, Ke Paishtar Is Ke Keh Un Par Dard Dene Wala Azaab Waaqe
Ho, Apni Qoum Ko Hidayat Kar Do.
2
Unhoun Ne Kaha Ke
Bhaiyo! Main Tum Ko Khule Tour Par Naseehat Karta Hoon.
3
Keh Khuda Ki Ibaadat
Karo Aur Us Se Daro Aur Mera Kaha Maano.
4
Wo Tumhare Gunnah
Bakhs De Ga Aur Mout Ke Waqt-E-Muqarara Tak Tum Ko Mohlat Ata Kare Ga. Jab
Khuda Ka Muqarar Kia Hua Waqt Aajata Hai Toh Takheer Nahi Hoti. Kaash Tum
Jaante Hote.
5
Jab Lougon Ne Na Maana
Toh Nooh A.S. Ne Khuda Se Arz Ki Ke Parwardigar Main Apni Qoum Ko Raat Din
Bulata Raha.
6
Lekin Mere Bulane Se
Wo Aur Ziada Guraiz Karte Rahe.
7
Jab Jab Main Un Ko
Bulata Ke Touba Karain Aur Tu Un Ko Moaaf
Farmaaye Toh Inhoun Neapne Kaanoun Main Ungliyaaan De Leen Aur Kapre
Ourh Liye Aur Arr Gaye Aur Akar Baithe.
8
Phir Main Un Ko Khule
Tour Par Bhi Bulata Raha.
9
Aur Zahir Aur Posheeda
Har Tarha Samajhaata Raha.
10
Aur Kaha Ke Apne
Parwardigaar Se Moafi Mango Ke Wo Bara Moaaf Karne Wala Hai.
11
Wo Tum Par Aasmaan Se
Meenh Barsaaye Ga.
12
Aur Maal Aur Baitoun
Se Tumhari Madad Farmaye Ga Aur Tumhain Baagh Ata Kare Ga Aur Un Main Tumhare
Liye Nehrain Baha De Ga.
13
Tum Ko Kia Hua Ke Tum
Khuda Ki Azmat Ka Aitqaad Nahi Rakhte.
14
Halanke Us Ne Tumko
Tarha Tarha Ki Haaltoun Ka Paida Kia Hai.
15
Kia Tum Ne Nahi Daikha
Ke Khuda Ne Saat Aasmaan Kaise Oopar Tale Banaye Hain.
16
Aur Chaand Ko Un Main
Zameen Ka Noor Banaya Hai Aur Sooraj Ko Chiragh Thehraaya Hai.
17
Aur Khuda Hi Ne Tum Ko
Zameen Se Paida Kia Hai.
18
Phir Ussi Main Tuhain
Louta De Ga Aur Usse Se Tum Ko Nikaal Khara Kare Ga.
19
Aur Khuda Hi Ne Zameen
Ko Tumhare Liye Farsh Banaya.
20
Taa-Ake Us Ke Bare
Bare Khusaada Rastoun Par Calo Phiro.
21
Us Ke Baad Nooh Ne Arz
Ki Ke, Mere Parwardigar! Ye Loug Mere Kehne Par Nahi Chale Aur Aisoun Ke Taabe
Hue Hain, Jin Ko Un Ke Maal Aur Aulad Ne Nuqsan Ke Siwa Kuch Faida Nahi Dia.
22
Aur Wo Bari Bari
Chaalain Chale.
23
Aur Kene Lage Ke Apne
Maaboodoun Ko Har Gizz Na Chorana Aur
Waddah Aur Suwaah Aur Yagoos Aur Yaaooq Aur Nasar Ko Kabhi Tark Na
Karna.
24
Parwardigar Unhoun Ne
Bohot Lougon Ko Gumrah Kar Dia Hai. Toh Tu Un Ko Aur Gumrah Kar De.
25
Aakhir Wo Apne
Gunahoun Ke Sabab Pehle Gharqaab Kar Diye Gaye, Phir Aag Main Dal Diye Gaye.
Toh Unhoun Ne Khuda Ke Siwa Kisi Ko Apna Madadgaar Na Paaya.
26
Aur Phir Nooh A.S. Ne Ye Dua Ki Ke Mere Parwardigar Kisi
Kafir Ko Roo-E-Zameen Par Basta Na Rehne De.
27
Agar Tu Un Ko Rehne De
Ga Toh Tere Bandoun Ko Gumraah Karainge Aur Un Se Joh Aulaad Hogi Wo Bhi
Badkaar Aur Nashukar Guzaar Hogi.
28
Ae Mere Parwardigar
Mujh Ko Aur Mere Maan Paap Ko Aur Joh Eemaan La Kar Mere Ghar Main Aaye Us Ko
Aur Tamaam Eemaan Wale Mardoun
Aur Eemaan Wali
Aurtoun Ko Moaaf Farma Aur Zalim Lougon Ke Liye Aur Ziada Tabahi Barha.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!