78
Soorah-Al-Naba
Aayaat-40
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ye Loug Kis Cheez Ki
Nisbat Poochte Hain?
2
Kia Bari Khabar Ki Nisbat?
3
Jis Main Ye Ikhtilaaf
Kar Rahe Hain.
4
Daikho Ye Anqareeb
Jaan Lainge.
5
Phir Daikho Ye
Anqareeb Jaan Lain Ge.
6
Kia Ham Ne Zameen Ko
Bichona Nahi Banaya.
7
Aur Pahaaroun Ko Us Ki
Maikhain Nahi Thehraaya?
8
Be Shak Banaya Aur
Tumko Jora Jora Bhi Paida Kia.
9
Aur Neend Ko Tumhare
Liye Moojjab-E-Aaraam Banaya.
10
Aur Raat Ko Parda
Muqarrar Kia.
11
Aur Din Ko Moaash Ka
Waqt Qaraar Dia.
12
Aur Tumhare Oopar
Saat(7) Mazboot Aasmaan Banaye.
13
Aur Aftaab Ka Roshan
Chiraagh Banaya.
14
Aur Nucharte Baadloun
Se Moosla Dhaar Meenh Barsaaya.
15
Taa-Ake Us Se Anaaaj
Aur Sabza Paida Karain.
16
Aur Ghane Ghane Baagh.
17
Be Shak Faisle Ka Din
Muqarrar Hai.
18
Jis Din Soor Phoonkha
Jaye Ga, Toh Tum Loug Ghat Ke Ghat Aa Mojood Hoge.
19
Aur Aasmaan Khola Jaye
Ga, Toh Us Main Darwaze Ho Jayen Ge.
20
Aur Pahar Chalaye
Jaayenge Toh Wo Rait Ho Kar Reh Jaye Ge.
21
Be Shak Dozakh Ghaat
Main Hai.
22
Yaani Sarkashoun Ka Wo
Hi Thikana Hai.
23
Us Main Wo Muddatoun
Pare Rahainge.
24
Wahan Na Thandak Ka
Mazah Chakhain Ge. Na Kuch Peena Naseeb Hoga.
25
Magar Garm Paani Aur
Behti Peep.
26
Ye Badla Hai Poora
Poora.
27
Ye Loug
Hisaab-E-Aakhrat Ki Umeed Hi Nahi Rakhte The.
28
Aur Hamari Ayatoun Ko
Jhoot Smajh Kar Jhutlaate Rehte The.
29
Aur Ham Ne Har Cheez
Ko Likh Kar Zabt Kar Rakha Hai.
30
So Ab Mazah Chakho. Ham
Tum Par Azaab Hi Barhaate Jaaye Ge.
31
Be Shak Parhaiz
Gaaroun Ke Liye Kaamyabi Hai.
32
Yaani Baagh Aur
Angoor.
33
Aur Ham Umar Noujawan
Aurtain.
34
Aur Sharab Ke Chalakte
Hue Gilaas.
35
Wahan Na Behooda Baat
Sunain Ge Na Jhoot Kharafaat.
36
Ye Tumhare Parwardigar
Ki Taraf Se Sila Hai, Inaam Muttaiyan.
37
Wo Joh Aasmaanoun Aur
Zameen Aur Joh In Dono Main Hai, Sab Ka Malik Hai, Bara Meherbaan Kisi Ko Us Se
Baat Karne Ka Yaara Na Hoga.
38
Jis Din Rooh-Ul-Ameen
Aur Farishte Saff Bandh Kar Khare Ho Jayenge, Toh Koi Boul Na Sake Ga, Magar Jis Ko
Khuda-E-Rehmaan Ijazat Bakhshe Aur Us Ne Baat Bhi Durust Kahi Ho.
39
Ye Din Barhaq Hai. Pas
Joh Shaksh Chahe Apne Parwardigar Ke Pas Thikana Bana Le.
40
Ham Ne Tum Ko Azaab Se
Joh Anqareeb Aane Wala Hai Aagaah Kar Dia Hai, Jis Din Har Shakhs Un Aamaal Ko
Joh Us Ne Aage Bhaije Hounge, Daikh Le Ga Aur Kafir Kahe Ga, Ke Ae Kaash Main
Matti Hota.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!