77
Soorah-Al-Mursalat
Aayaat-50
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Hawaaoun Ki Qsam Joh
Naram Naram Chalti Hain.
2
Phir Zor Pakar Kar
Jhakkar Ho Jati Hain.
3
Aur Baadloun Ko Phaar
Kar Phaila Deti Hain.
4
Phir Un Ko Phaar Kar
Juda Juda Kar Deti Hain.
5
Phir Farishtoun Ki
Qasam Joh Wahi Laate Hain.
6
Taa-Ake Uzar Rafa Kar
Dia Jaye Ya Darr Suna Dia Jaye.
7
Keh Jis Baat Ka Tum Se
Waada Kia Jata Hai Wo Ho Kar Rahe Gi.
8
Jab Taaroun Ki Chamak
Jati Rahe.
9
Aur Jab Asmaan Phat
Jaye.
10
Aur Jab Pahar Ure Ure
Phirain.
11
Aur Jab Paigamabar
Faraham Kiye Jayen.
12
Bhala In Amoor Main
Taakheer Kis Liye Ki Gai?
13
Faisle Ke Din Ke Liye.
14
Aur Tumhain Kia Khabar
Ke Faisle Ka Din Kia Hai?
15
Us Din Jhutlane Waloun
Ke Liye Kharabi Hai.
16
Kia Ham Ne Pehle
Lougon Ko Halaak Nahi Kar Daala.
17
Phir Un Pichloun Ko
Bhi Un Ke Peeche Bhaij Dete Hain.
18
Ham Gunehgaaroun Ke
Sath Aisa Hi Karte Hain.
19
Us Din Jhutlaane
Waloun Ki Kharabi Hai.
20
Kia Ham Ne Tum Ko Haqeer
Paani Se Nahi Paida Kia?
21
Pehle Us Ko Aik
Mehfooz Jaga Main Rakha.
22
Aik Waqt-E-Moiyyan
Tak.
23
Phir Andaza Muqarrar
Kia Aur Ham Kia Hi Khoob Andaza Muqarrar Karne Wale Hain.
24
Us Din Jhutlane Waloun
Ki Kharabi Hai.
25
Kia Ham Ne Zameen Ko
Samaitne Wali Nahi Banaya.
26
Yaani Zindoun Aur
Murdoun Ko.
27
Aur Us Par Oonche
Oonche Pahaar Rakh Diye Aur Tum Lougn Ko Meetha Paani Pilaya.
28
Us Din Jhutlane Waloun
Ki Kharabi Hai.
29
Jis Cheez Ko Tum Jhutlaya
Karte The, Ab Us Ki Taraf Chalo.
30
Yaani Us Saaye Ki
Taraf Chalo Jis Ki Teen Shakhain Hain.
31
Na Thandi Chaaon Aur
Na Lipat Se Bachao.
32
Us Se Aag Ki, Itni
Itni Bari Chingaariyaan Urti Hain Jaise Mehel.
33
Goya Zard Rang Ke Oont
Hain.
34
Us Din Jhutlane Waloun
Ki Kharabi Hai.
35
Ye Wo Din Hai Ke Loug
Lab Tak Na Hila Sakainge.
36
Aur Na Un Ko Ijazat Di
Jaye Gi, Ke Uzar Kar Sakain.
37
Us Din Jhutlane Waloun
Ki Kharabhi Hai.
38
Ye Hi Faisle Ka Din
Hai, Jis Main Ham Ne Tum Ko Aur Pehle Lougon Ko Jama Kia Hai.
39
Agar Tum Ko Koi Daaow
Aata Ho Toh Mujh Se Kar Chalo.
40
Us Din Jhutlaane
Waloun Ki Kharabi Hai.
41
Be Shak Parhaizgaar
Saayoun Aur Chasmoun Main Honge.
42
Aur Maiwaoun Main Joh
Un Ko Margoob Houn.
43
Joh Amal Tum Kartre
Rahe The Un Ke Badle Main Maze Se Khao Aur Piyo.
44
Ham Naiko Kaaroun Ko
Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.
45
Us Din Jhutlaane
Waloun Ko Kharabi Hogi.
46
Ae Jhutlaane Walo! Tum
Kisi Qadar Kha Lo Aur Faaide Utha Lo Tum Be Shak Gunnehgaar Ho.
47
Us Din Jhutlane Waloun
Ki Kharabi Hai.
48
Aur Jab Un Se Kaha
Jata Hai Ke Khuda Ke Aage Jhuko Toh Jhukte Nahi.
49
Us Din Jhutlane Waloun
Ki Kharabi Hai.
50
Ab Us Ke Baad Ye Koun
Si Bat Pe Eemaan Laayen Ge.?
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!