Wednesday, 4 May 2016

25-Soorah-e-Al-Furqaan-Aayat-77




Soorah-E-Al-Furqaan

Aayaat- 77

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Wo Khuda-E-Azz-O-Jal Bohot Hi Ba Barkat Hai Jis Ne Apne Bande Par Quraan Nazil Farmaya Taa-Ake Ehl-E-Aalam Ko Hidayat Kare.

2
Wo Hi Ke Aasmaan Aur Zameen Ki Baadshaahi Ussi Ki Hai, Aur Jis Ne Kisi Ko Beta Nahi Banaya Aur Jis Ka Baadshahi Main Koi Shareek Nahi Aur Jis Ne Har Cheez Ko Paida Kia Phir Us Ka Aik Andaza Thehraya.

3
Aur Lougon Ne Us Ke Siwa Aur Maabood Bana Liye Hain, Jo Koi Cheez Bhi Paida Nahi Kar Sakte Aur Khud Paida Kiye Gaye Hain. Aur Na Apna Nuqsan Aur Nafa Ka Kuch Ikhtiyaar Rakhte Hain Aur Na Marna Un Ke Ikhtiyaar Mian Hai Aur Na Jeena Aur Na Mar Kar Uth Khare Hona.

4
Aur Kaafir Kehte Hain Ke Ye Quraan Man Gharat Baatain Hain, Joh Is Muddaee Risalat(Rislat Ka Dawa Karne Wale) Ne Banayee Hain .Aur Aur  Lougon Ne Is Main Is Ki Madad Ki Hai. Ye Loug Aisa Kehne Se Zulm Aur Jhoot Par Utar Aaye Hain.

5
Aur Kehte Hain Ke Ye Pehle Lougon Ki Kahaniyan Hai,n Jin Ko Is Ne Jama Kar Rakha Hai Aur Wo Subh-O-Sham Is Ko Parh Parh Kar Sunai Jati Hain.

6
Keh Do Ke Is Ko Us Ko Utaara Hai Joh Aasmaanoun Aur Zameen Ki Posheeda Baatoun Ko Jaanta Hai. Be Shak Wo Bakhashane Wala Meherbaan Hai.

7
Aur Kehte Hain Ke Ye Kaisa Paigambar S.A.W. Hai Ke Khana Khata Hai Aur Baazaroun Main Chalta Phirta Hai. Is Par Koi Farishta Kion Nazil Nahi Kia Gaya Ke Is Ke Sath Hidayat Karne Ko Rehta.

8
Ya Us Ki Taraf Aasmaan Se Khazana Utaara Jata Ya Us Ka Koi Baagh Hota Ke Us Main Se Khaya Karta. Aur Zalim Log Kehte Haan Ke Tum Toh Aik Jaadu Zada Shakhs Ki Pairwi Karte Ho.

9
Ae Paigamabar S.A.W. Daikho Toh Ye Tumhare Bare Main Kis Kis Tarha Ki Baatain Karte Hain So Gumraah Ho Gaye Aur Rasta Nahi Pa Sakte.

10
Wo Khuda Bohot Ba Barkat Hai, Joh Agar Chahe Toh Tumhare Liye Is Se Behtar Cheezain Bana De, Yaani BagHaat Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Houn .Neez Tumhare Liye Mehel Bana De.

11
Balke Ye Toh Qiamat Hi Ko Jhutlate Hain Aur Ham Ne Qiamat Ke Jhutlane Waloun Ke Liye Dozakh Taiyaar Kar Rakhi Hai.

12
Jis Waqt Wo Un Ko Door Se Daikhe Gi Toh Gazabnaak Ho Rahi Hogi Aur Ye Us Ke Josh Gazab Aur Cheekhne Chillane Ko Sunain Ge.

13
Aur Jab Ye Dozakh Ki Kisi Tang Jaga Main Zanjeeroun Main Jakar Kar Dale Jayen Ge, Toh Wahan Mout Ko Pukaarain Ge.

14
Aaj Aik Hi Mout Ko Na Pukaro Bohot Si Moutoun Ko Pukaro.

15
Poocho! Ke Ye Behtar Hai, Ya Behshat Jaawedaani Jis Ka Parhaizgaaroun Se Waada Hai.Ye Un Ke Amaloun Ka Badla Aur Rehne Ka Thikana Hoga.

16
Wahan Joh Chahain Ge Un Ke Liye Moyassar(Available) Hoga Hamesha Us Main Rahain Ge .Ye Waada Khuda Ko Poora Karne Laazim Hai Aur Is Laaiq Hai Ke Maang Liya Jaye.

17
Aur Jis Din Khuda Inko Aur Un Ko  Jinhain Ye Khuda Ke Siwa Poojte Hain Jama Kare Ga, Toh Farmaaye Ga Kia Tum Ne Mere In Bandoun Ko Gumraah Kia Tha Ya Ye Khud Gumrah Ho Gaye The.

18
Wo Kahainge Tu Paak Hai, Hamain Ye Baat Shayaan Na Thi Ke Tere Siwa Auroun Ko Dost Banate. Lekin Tu Ne Hi Un Ko Aur Unke Baap Dada Ko Baratene(For Use) Ko Naimatain Dee Yahan Tak Ke Wo Teri Yaad Ko Bhool Gaye.Aur Ye Halak Hone Wale Loug The.

19
Toh Kaafiro Unhoun Ne Toh Tum Ko Tumhari Baat Main Jhutla Dia. Pas Ab Tum Azaab Ko Na Phair Sakte Ho. Na Kisi Se Madad Le Sakte Ho. Aur Joh Shakhs Tum Main Se Zulm Kare Ga Ham Us Ko Bare Azaab Ka Mazah Chakhayen Ge.

20
Aur Ham Ne Tum Se Pehle Jitney Paighambar Bhaije Hain, Sab Khana Khaate The Aur Baazaaroun Main Chalte Phirte The. Aur Ham Ne Tumhain Aik Dooser Ke Liye Aazmaaish Banaya. Kia Tum Sabar Karo Ge.Aur Tumhara Parwardigar Toh Daikhne Wala Hai
.
21
Aur Joh Loug Ham Se Milne Ki Umeed Nahi Rakhte. Kehte Hain Ke Ham Par Farishte Kion Na Nazil Kiye Gaye. Ya Ham Apni Aankh Se Apne Parwardigaar Ko Daikh Lain .Ye Apne Khayal Main Barayee Karte Hain Aur Issi Bina Par Bare Sarkash Ho Rahe Hain.

22
Jis Din Ye  Farishtoun Ko Daikhe Ge Us Din Gunnehgaaroun Ke Liye Koi Khushi Ki Baat Nahi Hogi Aur Kahain Ge Khuda Kare Tum Rouk Liye Aur Band Kar Diye Jao.

23
Aur Joh Unhoun Ne Amaal Kiye Hounge Ham Un Ki Taraf Mutawajoh Hounge Toh Unko Urdti Khaak Kar Dainge.

24
Us Din Ehl-E-Jannat Ka Thikana Bhi Behtar Hoga Aur Maqaam Istirahat Bhi Khoob Hoga.

25
Aur Jins Din Aasmaan Abar(Clouds With Rain) Ke Sath Phat Jaaye Ga Aur Farishte Nazil Kiye Jaayen Ge.

26
Us Din Sachhi Baadshahi Khuda Hi Ki Hogi.Aur Wo Din Kaafiroun Par Sakht Mushkil Hoga.

27
Aur Jis Din Na Aaqbat Andaish Zalim Apne Hath Kaat Kaat Khaye Ga Aur Kahe Ga Ke, Ae Kaash Main Ne Paigamabar Ke Sath Rasta Ikhtiyaar Kia Hota.

28
Haaye Shamat Kash Main Ne Falaan Shakhs Ko Dost Na Banaya Hota.


29
Us Ne Mujh Ko Kitaab-E-Naseehat Ke Mere Pas Aane Ke Baad Behka Dia. Aur Shaitaan Insaan Ko Waqt Par DagHa Dene Wala Hai.

30
Aur Paigamabar Kahain Ge Ke Ae Parwardigaar Meri Qoum Ne Is Quraan Ko Chor Rakha Tha.

31
Aur Issi Tarha Ham Ne Gunnehgaaroun Main Se Har Paigamabar Ka Dushman Bana Dia. Aur Tumahra Parwardigar Hidayat Dene Aur Madad Karne Ko Kafi Hai.

32
Aur Kaafir Kehte Hain Ke Is Par Quraan Aik Hi Dafa Kion Nahi Utaara Gaya. Is Tarha Aahista Aahista Is Liye Utaara Gaya Ke Is Se Tumhare Dil Ko Qaaim Rakhain. Aur Issi Waaste Ham Is Ko Theher Theher Kar Parhte Rahe Hain.

33
Aur Ye Loug Tumahre Paas Joh Aitaraaz Ki Baat Laate Hain Ham Tumahre Paas Us Ka Maaqool Aur Khoob Mushraah Jawaab Bhaij Dete Hain.

34
Joh Loug Apne Moonhoun Ke Ball Dozakh Ki Taraf Jama Kiye Jaaye Ge Un Ka Thikana Bhi Bura Hai Aur Wo Raste Se Bhi Behke Hue Hain.

35
Aur Ham Ne Moosa A.S. Ko Kitaab Di Aur Un Ke Bhaai Haroon A.S. Ko Madadgaar Bana Kar Un Ke Sath Mila Dia.

36
Aur Kaha Ke Dono In Lougon Ke Paas Jao Jinhoun Ne Hamari Aayatoun Ki Takzeed Ki.Jab Takzeeb Par Arde Rahe Toh Ham Ne In  Ko Halak Kar Daala.
37
Aur Nooh Ki Qoum Ne Bhi Jab Paigambaroun Ko Jhutlaya Toh Ham Ne Unhain Garaq Kar Dia Aur Lougon Ke Liye Nishaani Bana Dia.Aur Zaalimoun Ke Liye Ham Ne  Dukh Dene Wala Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.

38
Aur Aad Aur Samood Aur Koowain Walo Aur Un Ke Darmiyaan Aur Bohot Si Jamaatoun Ko Bhi Halaak Kar Dia.

39
Aur Sab Ke Samjhane Ke Liye Ham Ne Misaalin Bayan Ki Aur Na Maan-Ne Par Sab Ka Tehes Nehes Kar Dia.

40
Aur Ye Kaafir Is Basti Par Bhi Guzar Chuke Hain Jis Par Buri Tarha Ka Meenh Barsaya Gaya Tha. Wo Is Ko Diakhte Na Hounge. Balke In Ko Marne Ke Baad Ji Uthne Ki Umeed Hi Nahi.

41
Aur Ye Loug Jab Tum Ko Daikhte Hain Toh Tumhari Hansi Urraate Hain. Ke Kia Ye Hi Shakhs Hai Jis Ko Khuda Ne Paigamabar Bana Kar Bhaija Hai.

42
Agar Ham Apne Maaboodoun Ke Bare Main Sabit Qadam Na Rahte Toh Ye Zaroor Ham Ko Behka Deta. Aur Un Se Phair Deta Aur Ye Anqareeb Maloom Kar Lainge Jab Azaab Daikhain Ge Ke Seedhe Raste Se Koun Bhatka Hua Hai.

43
Kia Tum Ne Us Shakhs Ko Daikha Jis Ne Khuahish-E-Nafs Ko Maabood Bana Rakha Hai, Toh Kia Tum Us Par Nigehbaan Ho Sakte Ho.



44
Ya Tum Ye Khayal Karte Ho, Ke Un Main Aksar Sunte Ya Samajhte Hain, Nahi Ye Toh Choupaayoun Ki Tarha Ke Hain Balke Un Se Bhi Ziada Gumraah Hain.

45
Bhala Tum Ne Apne Parwardigar Ki Qudrat Ko Nahi Daikha Ke Wo Saye Ko Kis Tarha Daraaz Kar Ke Phaila Deta Hai. Aur Agar Wo Chahta Toh Us Ko Be Harkat Tehra Rakhta Phir Sooraj Ko Us Ka Rehnuma Bana Deta Hai.

46
Phir Ham Us Ko Aahista Aahista Apni Taraf Samait Lete Hain.

47
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Raat Ko Tumhare Liye Parda Aur Neend Ko Araam Banaya Aur Din Ko Uth Khare Hone Ka Waqt Thehraya.

48
Aur Wo Hi Toh Hai Jo Apni Rehmat Ke Meenh Ke Aage Hawaoun Ko Khush Khabri Bana Kar Bhaijata Hai. Aur Ham Aasmaan Se Paak Aur Nithra Hua Paani Barsaate Hain.

49
Taa-Ake Is Se Sheher-E-Murda Yaani Zameen Uftaada Ko Zinda Kar Dain Aur Phir Ham Isse Bohot Se Choupaayoun Aur Aadmiyoun Ko Joh Ham Ne Paida Kiye Hain Pilaate Hain.

50
Aur Ham Ne Is Quraan Ki Aayatoun Ko Tarha Tarha Se Lougon Main Bayan Kia Taa-Ake Naseehat Pakrain Magar Bohot Se Lougon Ne Inkaar Ke Siwa Qabool Na Kia.

51
Aur Agar Ham Chahte Toh Har Basti Main Darane Wala Bhaij Dete.


52
Toh Tum Kaafiroun Ka Kaha Na Mano Aur Un Se Is Quraan Ke Hukum Ke Mutabiq Bare Shad-O-Madd Se Laro.

53
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Do Daryaaoun Ko Mila Dia, Aik Ka Paani Sheereen(Sweet) Hai Piyaas Bujhane  Wala Aur Doose Ka Khaari Chaati Jalane(Heart Burning) Wala. Aur Dono Ke Darmayan Aik Aard Aur Mazboot Oat Bana Di.

54
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Paani Se Aadmi Paida Kia. Phir Us Ko Sahib-E-Nasab Aur Sahib-E-Qarabt-E-Damaari Banaya. Aur Tumhara Parwardigar Har Tarha Ki Qudrat Rakhta Hai.

55
Aur Ye Loug Khuda Ko Chor Kar Aisi Cheez Ki Parastish Karte Hain Ke Jo Na Un Ko Faaida Pohoncha Sake Aur Na Nuqsaan. Aur Kaafir Apne Parwardigar Ki Mukhalfat Main Bara Zor Maarta Hai.

56
Aur Ham Ne Ae Muhammad S.A.W. Tum Ko Sirf Khushi Aur Azaab Ki Khabar Sunnane Ko Bhaija Hai.

57
Keh Do Ke Main Tum Se Is Kaam Ki Ujjrat Nahi Maangta, Haan Joh Shakhs Chaahe Apne Parwardigaar Ki Taraf Jaane Ka Rasta Ikhtiyaar Kar Le.

58
Aur Us Khuda-E-Zinda Par Bharosa Rakho Joh Kabhi Nahi Mare Ga Aur Us Ki Taareef Ke Sath Tasbeeh Karte Raho. Aur Wo Apne Bandoun Ke Gunnahon Se Khabar Rakhne Ko Kafi Hai.




59
Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Aur Joh Kuch In Dono Ke Darmayan Hai Che(6)Din Man Paida Kia Phir Arsh Par Ja Thehra Wo Jis Ka Naam Rehmaan Yaani Bara Meherbaan Hai Toh Us Ka Haal Kisi Ba Khabar Se Daryaaft Kar Lo.

60
Aur Jab In Kuffar Se Kaha Jata Hai Ke Rehman Ko Sajda Karo Toh Kehte Hain Ke Rehman Kia? Kia Jis Ke Liye Tum Ham Se Kehte Ho Ham Us Ke
Aage Sajda Karain Aur Is Ke Bidakte Hain.


61
Aur Khuda Bari Barkat Wala Hai Jis Ne Aasmaanoun Main Burj Banaye Aur Un Main Aaftaab(Sooraj) Ka Nihayat Roshan Charag Aur Chamakta Hua Chand Bhi Banaya.

62
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Raat Aur Din Ko Aik Doosre Ke Peeche Aane Jane Wala Banaya.Ye Baatain Us Shakhs Ke Liye Joh Gour Karna Chahe Ya Shukkar Guzari Ka Irada Kare Sochne Aur Samajhne Ki Hain.

63
Aur Khuda Ke Bande Toh Wo Hain Joh Zameen Par Aahistgi Se Chalte Hain Aur Jab Jaahil Loug In Se Jaahilaana Guftugo Karte Hain Toh Salam Kehte Hain.

64
Aur Wo Joh Apne Parwardigar Ke Aage Sajde Kar Ke Aur Ijz-O-Adab Se Khare Reh Kar Raatain Basar Karte Hain.

65
Aur Wo Joh Dua Maangte Rehte Hain Ke Ae Parwardigar Dozakh Ke Azaab Ko Ham Se Door Rakhiyo, Ke Us Ka Azab Bari Takleef Ki Cheez Hai.
66
Aur Dozakh Theherne Aur Rehne Ki Bohot Buri Jaga Hai.

67
Aur Wo Ke Jab Kharch Karte Hain Toh Na Be Ja Uraate Hain Aur Na Tangi Ko Kaam Main Laate Hain Balke Aitadaal Ke Sath. Na Zaroorat Se Ziada Na Kam.

68
Aur Wo Joh Khuda Ke Sath Kisi Aur Maabood Ko Nahi Pukaarte Aur Jis Jaandar Ko Maar Daalna Khuda Ne Haram Kia Hai Us Ko Qatal Nahi Karte Magar Jaaiz Tareeq, Yaani Shareeat Ke Hukum Se Aur Badkaari Nahi Karte. Aur Joh Ye Kaam Kare Ga Sakht Gunnah Main Mubtila Hoga.

69
Qiamat Ke Din Us Ko Dugna(Double) Azaab Hoga Aur Zillat-O-Khuari Se Hamesha Us Main Rahe Ga.

70
Magar Jis Ne Touba Ki Aur Eemaan Laaya Aur Ache Kaam Kiye Toh Aise Lougon Ke Gunnahoun Ko Khuda Naikiyoun Se Badal De Ga. Aur Khuda Toh Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

71
Aur Joh Touba Karta Aur Amal-E-Naik Karta Hai Toh Be Shak Wo Khuda Ki Taraf Rujoo Karta Hai.

72
Aur Wo Joh Jhooti Gawahi Nahi Dete Aur Jab In Ko Beehooda Cheezoun Ke Paas Se Guzarne Ka Ittifaaq Ho Toh Buzrgaana Andaz Se Guzarte Hain.

73
Aur Wo Ke Jab Un Ko Parwardigar Ki Baatain Samajhayee Jati Hain Toh Un Par Andhe Aur Behre Ho Kar Nahi Girrte Balke Gour-O-Fikar Se Sunte Hain.
74
Aur Wo Joh Khuda Se Dua Maangte Hain Ke Ae Parwardigaar Hamko Hamari Biwiyoun Ki Taraf Se Dil Ka Chain Aur Aulad Ki Taraf Se Aankh Ki Thandak Ata Farma Aur Hamain Parhaizgaaroun Ka Imam Bana.

75
In Sifaat Ke Lougon Ko Sabar Ke Badle Oonche Oonche Mehel Diye Jaaye Ge. Aur Wahan Farishte Un Se Dua-O-Salam Ke Sath Mulaqaat Karainge.

76
Us Main Wo Hamesha Rahain Ge.Aur Wo Theherne Aur Rehne Ki Bohot Hi Umda Jaga Hai.

77
Keh Do Ke Agar Tum Khuda Ko Nahi Pukaarte Toh Mera Parwardigar Bhi Tumhain Kuch Parwa Nahi Karta. Tum Ne Takzeeb Ki Hai So Us Ki Saza Tumhare Liye Laazim Hogi.

SADAQALLAH-UL-AZEEM

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!