Soorah-Al-Mulk
Aayaat-30
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Wo Khuda, Jis Ke Hath
Main Baadshahi Hai, Bari Barkat Wala Hai. Aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai.
2
Ussi Ne Mout Aur
Zindagi Ko Paida Kia Taa-Ake Tumhari Aazmaaish Kare, Ke Tum Main Koun Ache Kaam
Karta Hai. Aur Wo Zabardast Aur Bakhshne Wala Hai.
3
Us Ne Saat Aasmaan
Oopar Tale Banaye. Ae Daikhne Wale Kia Tu Khuda-E-Rehmaan Ki Aafreenash Main
Kuch Nuqs Daikhta Hai? Zara Aankh Utha Kar Daikh, Bhala Tujh Ko Aasmaan Main
Koi Shigaaf Nazar Aata Hai?
4
Phir Dobaraba, Seh
Bara(Two Times Three Times) Nazar Kar, Toh Nazar Har Baar Tere Paas Na Kaam Aur
Thak Kar Lout Aaye Gi.
5
Aur Ham Ne Qareeb Ke
Aasmaan Ko Taaroun Ke Chiraagoun Se Zeenat Di. Aur Un Ko Shaitaan Ke Maarne Ka
Aala Banaya Aur un Ke Liye Dehekti Aag Ka Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.
6
Aur Jin Lougon Ne Apne
Parwardigar Se Inkaar Kia, Un Ke Liye Jahannum Ka Azaab Hai. Aur Wo Bura
Thikana Hai.
7
Jab Wo Us Main Daale
Jayen Ge, Toh Us Ka Cheekhna Chilalna Sunain Ge, Aur Wo Josh Maar Rahi Hogi.
8
Goya Mare Josh Ke Phat
Pare Gi. Jab Us Main Un Ki Koi Jamaat Daali Jaye Gi, Toh Dozakh Ke Darogha Un
Se Poochain Ge, Tumhare Paas Koi Hidayat Karne Wala Nahi Aaya Tha?
9
Wo Kahain Ge Kion Nahi,
Zaroor Hidayat Karne Wala Aya Tha Lekin Ham Ne Us Ko Jhutla Dia Aur Kaha Ke
Khuda Ne Toh Koi Cheez Nazil Hi Nahi Ki. Tum Toh Bari Galti Mai Pare Hue Ho
10
Aur Kahain Ge, Agar
Ham Sunte Ya Samajhte Hote Toh Dozakhiyoun Main Na Hote.
11
Pas Wo Apne Gunahoun
Ka Iqraar Kar Lainge. So Dozakhiyoun Ke Liye Rehmat-E-Khuda Se, Doori Hai.
12
Aur Joh Loug Bin
Daikhe Apne Parwardigar Se Darte Hain, Un Ke Liye Bakhshsish Aur Ajar-E-Azeem
Hai.
13
Aur Tum Loug Baat
Posheeda Kaho, Ya Zahir. Wo Dil Ke Bhaidoun Tak Se Waaqif Hai.
14
Bhala Jis Ne Paida Kia
Wo Be Khabar Hai? Wo Toh Posheeda Baatoun Ko Jaan-Ne Wala Aur Har Cheez Se
Aagaha Hai.
15
Wo Hi Toh Hai Jis Ne
Tumhare Liye Zameen Ko Narm Kia, Toh Us Ki Raahoun Main Chalo Phiro Aur Khuda Ka
Dia Hua Rizq Khao Aur Tum Ko Ussi Ke Pas Qabroun Se Nikal Kar Jaana Hai.
16
Kia Tum Is Se Joh
Aasmaan Main Hai Be Khof Ho, Ke Tum Ko Zameen Main Dhansa De Aur Wo Us Waqt
Harkat Kaarne Lage.
17
Kia Tum Us Se Joh
Aasmaan Main Hai Nidar Ho, Ke Tum Par Kankar Bhari Hawa Chor De. So Tum Anqareeb
Jaan Lo Ge Ke Mere Darana Kaisa Hai.
18
Aur Joh Loug Un Se
Pehle The Unhoun Ne Bhi Jhutlaya Tha, So Daikh Le Ke Mere Kaisa Azaab Hua.
19
Kia Unhoun Ne Apne
Saroun Par Urte Hue Jaanwaorun Ko Nahi Daikha, Joh Paroun Ko Phailaaye Rehte Hain Aur Un Ko
Sukair Bhi Lete Hain. Khuda Ke Siwa Unhain Koi Thaam Nahi Sakta. Be Shak Wo Har
Cheez Ko Daikh Raha Hai.
20
Bhala Aisa Koun Hai,
Joh Tumhari Fouj Ho Kar Khuda Ke Siwa Tumhari Madad Kar Sake. Kafir Toh Dhoke
Main Hain.
21
Bhaala Agar Wo Apna
Rizq Band Kar Le, Toh Koun Hai Joh Tum Ko Rizq De? Lekin Ye Sarkashi Aur Nafrat Main Phanse Hue
Hain.
22
Bhala Joh Shakhs
Chalta Hua Moonh Ke Bal Girr Parta Hai, Wo Seedhe Raaste Par Hai, Ya Wo Joh
Seedhe Raaste Par Barabar Chal Raha Ho?
23
Kaho Wo Khuda Hi Toh
Hai, Jis Ne Tum Ko Paida Kia. Aur Tumhare Kaan Aur Aankhain Aur Dil Banaye,
Magar Tum Kam Ehsaan Maante Ho.
24
Keh Do Ke Wo Hi Hai
Jis Ne Tum Ko Zameen Main Phailaya Aur Ussi Ke Ru Baru Tum Jama Kiye Jao Ge.
25
Aur Kafir Kehte Hain
Ke, Agar Tum Sache Ho Toh Ye Waeed Kab Poori Hogi?
26
Keh Do Ke Is Ka Ilm
Khuda Hi Ko Hai. Aur Main Toh Khol Khol Kar Dar Sunna Dene Wala Hoon.
27
So Jab Wo Daikh Lain
Ge, Ke Wo Waada Qareeb Aa Gaya, Toh Kaafiroun Ke Moonh Bure Ho Jayen Ge Aur Un
Se Kaha Jaye Ga, Ke Ye Wo Hi Hai Jis Ke Tum Khastgaar The.
28
Kaho Ke Bhala Daikho
Toh, Agar Khuda Mujh Ko Aur Mere Saathiyoun Ko Halaak Kar De, Ya Ham Par
Meherbani Kare. Toh Koun Hai Joh Kafiroun Ko Dukh Dene Wale Azab Se Pannah De?
29
Keh Do Ke Wo Joh
Khdua-E-Rehman Hai, Ham Ussi Par Eemaan Laaye Aur Ussi Par Bharosa Rakhte Hain.
Tum Ko Jald Maloom Ho Jaye Ga Ke Sareeh Gumrahi Main Koun Par Raha Tha.
30
Kaho Ke Bhala Daikho
Toh Agar Tumhara Paani Joh Tum Peete Ho Aur Barat-Te Ho, Khushk Ho Jaye , Toh
Khuda Ke Siwa Koun Hai Joh Tumhare Liye Sheereen Paani Ka Chashma Baha Laaye.
***********************************
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!