Wednesday, 30 March 2016

98-SOORAH-AL-BAYYINAH-AAYAAT-8

98

Soorah-Al-Bayyinah

Aayaat-8

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Merherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Joh Loug Kafir Hain, Yaani Ehl-E-Ktiaab Aur Mushrik Wo Kufur Se Baaz Rehne Wale Na The, Jab Tak Ke Un Ke Paas Khuli Daleel Na Aati.

2
Yaani Khuda Ke Paigambar Joh Paak Auraq Parhte Hain.

3
Jin Main Mustehkim Aayatain Likhi Hui Hain.

4
Aur Ehl-E-Kitaab Joh Muttafarriq-O-Mukhtalif Hue Hain, Toh Daleel-E- Waazeh Ke Aane Ke Baad Hue Hain.

5
Aur Un Ko Hukum Toh Ye Hi Hua Tha, Ke Ikhlaas Amal Ke Sath Khuda Ki Ibadat Karian Aur Aik Soo Ho Kar Aur Namaaz Parhain Aur Zakat Dain Aur Ye Hi Sacha Deen Hai.

6
Joh Loug Kaafir Hain Yaani Ehl-E-Kitaab Aur Mushrik Wo Dozakh Ki Aag Main Parainge Aur Hamesha Us Main Rahain Ge. Yeh Loug Sab Makhlooq Se Badd Tar Hain.

7
Aur Joh Loug Eemaan Laaye Aur Naik Amal Karte Rahe Wo Tamaam Khalqat Se Behtar Hain.
8
Un Ka Sila Un Ke Parwardigar Ke Haan Hamesha Rehne Ke Baagh Hain,  Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Abad-Ul-Abaad Un Main Rahain Ge. Khuda Un Se Khush Aur Wo Us Se Khush. Ye Sila Us Ke Liye Hai Joh Apne Parwardigar Se Darta Hai.
.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!